NAMAZ KI SUNNATO KA BAYAN
Bismillahirrahmanirraheem
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k "Qayamat k din bande ka sabse pehle namaz ka hi hisab hoga agar wo durust hui to wo kaamyab hua aur nijaat pa gaya aur agar wo kharab hui to wo nakaam hua aur khasaarah paane walo mein se hoga, agar uske farzo se kuch naqis ho to Allah farmayega k mere bande ki nafil dekho aur phir un nafilo se farz ki kami poori ki jayegi isi tarah uske baaqi aamaal ka hisab hoga". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 864, Tirmizi Hadees no. 413, Nasayi Hadees no. 465)
NAFIL AUR SUNNATEY GHAR MEIN PADHNA AFZAL HAI
Hazrat Zaid bin Sabit Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Farz namaz k alawah baaqi namaz ghar mein padhna afzal hai". (Sahih Bukhari Hadees no. 731, Sahih Muslim Hadees no. 781)
Hazrat Adbullah bin Saad Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se daryaft kiya k nafil namaz ghar mein padhna afzal hai ya masjid mein? Aapne farmaya "Kya tum nahi dekhte k mera ghar masjid kis qadar qareeb hai iske ba-wajood fara'iz namaz k alawah mujhe ghar mein namaz padhna ziyaadah pasand hai". (Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 1378, Imam Bosiri aur Ibne Khuzaima ne ise sahih kaha)
Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum masjid mein namaz padho to namaz ka kuch hissa (nawafil, sunnatey) apne gharo mein padho, Allah us namaz k sabab ghar mein bhalaayi dega". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 778)
Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Apni namazo ka kuch hissa apne gharo mein padho (jese qabristan namaz se khali hote hai aese hi) apne gharo ko qabristan na banao". (Sahih Bukhari Hadees no. 432, Sahih Muslim Hadees no. 777)
MOKKADAH SUNNATEY: BAHISHT MEIN GHAR
Hazrat Ummey Habeeba Razi Allahu Anha kehti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks din aur raat mein (farzo k alwaah) 12 rakaatey padhey uske liye bahisht mein ghar banaya jata hai". (Sahih Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 728)
Hazrat Abdullah bin Shafeeq Rahimahullah riwayat karte hai k mene Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k nafilo ka haal daryaft kiya to Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne kaha "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam mere ghar mein zuhar se pehle chaar rakaatey padhte they, phir aap nikalte aur loogo k saath (zuhar k farz) padhte, phir (ghar mein) dakhil hote aur do rakaat namaz padhte, aap loogo k sath maghrib ki namaz padhte, phir (ghar mein) dakhil hote aur do rakaat (sunnat) padhte, phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam loogo k saath isha ki namaz padhte, phir (ghar mein) dakhil hote aur do rakaat namaz padhte aur raat ko Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam noo rakaat (tahajjud ki) namaz padhte, un mein witr bhi hota tha aur jab subah namudaar hoti to (namaz e fajar se pehle) do rakaat (sunnat) padhte". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 730)
Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu farmate hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se das rakaatey yaad ki zuhar se pehle do rakaat, do rakaat zuhar k baad, do rakaat maghrib k baad, do rakaat isha k baad aur do rakaat farjar se pehle. (Sahih Bukhari Kitabut Tahajjud Hadees no. 1180, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 729)
Ummul Momineen Ummey Habeeba Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne zuhar se pehle chaar rakaat aur zuhar k baad do rakaat ki hifazat ki us par jahannam ki aagh haraam hai". (Abu Dawood Kitabut Tatvi Hadees no. 1269)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Raat aur din ki (nafil) namaz do do rakaatey (padhi jaati) hai". (Abu Dawood Kitabut Tatvi Hadees no. 1295, Imam Ibne Khuzaima Hadees no. 1210 aur Imam Ibne Hibban ne ise sahih kaha)
Maloom hua chaar rakaat sunnat bhi do do karke ada karni chahiye.
ASAR SE PEHLE CHAAR RAKAAT
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks asar se pehle chaar rakaat (sunnat) padhey, Allah us par rahmat kare". (Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 430, Abu Dawood Kitabut Tatvi Hadees no. 1271, Ise Ibne Khuzaima Hadees no. 1193, Ibne Hibban Hadees no. 616 aur Nawawi ne sahih kaha)
Hazrat Ali Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam asar se pehle chaar rakaat padhte they aur do rakaat k baad tashahud aur dua padh kar salaam phair dete they. (Tirmizi Hadees no. 429, Imam Tirmizi ne hasan kaha)
MAGHRIB SE PEHLE DO RAKAAT
Hazrat Abdullah Muzani Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Maghrib ki (farz) namaz se pehle namaz padho, aapne teen baar farmaya aur teesri baar kaha jiska dil chaahey, ye is liye farmaya k aap na-pasand karte they k loog usko sunnat e mokkadah bana ley". (Sahih Bukhari Abwatut Tahajjud Hadees no. 1183)
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Madeena mein mu'azzin maghrib ki azaan kehta, hum sab sunnato ki taraf doodte (bhaagte) aur do rakaatey padhte, loog is kasrat se do rakaatey padhte k ajnabi ye gumaan karta k maghrib ki jamaat ho chuki hai. (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 837)
Mursad bin Abdullah Rahimahullah Hazrat Uqba Razi Allahu Anhu k paas aaye aur kaha "Kya ye ajeeb baat nahi k Hazrat Abu Tameem Razi Allahu Anhu maghrib ki namaz se pehle do rakaat padhte hai? Hazrat Uqba Razi Allahu Anhu ne kaha k hum bhi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k zamaane mein padhte they, unhone pucha: ab kyu nahi padhte? kehne lage k masroofiyat". (Sahih Bukhari Kitabut Tahajjud Hadees no. 1184)
JUMA K DIN KI SUNNATEY
Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum juma k baad namaz padhna chaho to chaar rakaat ada karo". (Sahih Muslim Kitabul Juma Hadees no. 881)
Maloom hua k juma k baad chaar rakaat sunnatey padhni chahiye aur agar koi do rakaatey bhi padh le to jayez hoga.
Hazrat Abdullh bin Umar Razi Allahu Anhu juma k baad kuch namaz nahi padhte they yaha tak k apne ghar aatey aur do rakatey padhte, phir farmate k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam aesa hi kiya karte they. (Sahih Bukhari Kitabul Juma Hadees no. 937, Sahih Muslim Kitabul Juma Hadees no. 882)
Baaz ulama ne ye tatbeeq di hai k masjid mein chaar sunnatey (do do karke) padhey aur agar ghar mein aa kar padhey to do sunnatey padhey. (Mar'aatul Mafateeh)
FAJAR KI SUNNATO KI FAZILAT
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Fajar ki do sunnatey dunya aur jo kuch dunya mein hai, us se behtar hai aur mujhe fajar ki do rakaat (sunnatey) saari dunya se ziyaadah mehboob hai". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 725)
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam nawafil mein se kisi cheez par itni muhafizat aur muda-wa-mat nahi karte they jis qadar fajar ki do sunnato par karte they. (Sahih Bukhari Kitabut Tahajjud Hadees no. 1169, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 724)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab fajar ki do sunnatey padhte to daayi pehlu par lait'te they. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 626, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Masajid Hadees no. 7366)
Hafiz ibne Hajar Rahimahullah farmate hai k salaf mein se baaz masjid ki bajaaye ghar mein daayi pehlu laitna mustahab jaante they kyunki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se ye zikr nahi milta k aap masjid mein daayi pehlu lait'te they. (Fathul Baari Sharah Sahih Bukhari)
SUNNATO KI QAZA
Ummul Momineen Ummey Salma Razi Allahu Anha bayan karti hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se suna k aap asar k baad namaz padhne se mana karte they phir mene dekha k aapne asar ki namaz k baad do rakaatey padhi mene aapse uski wajah puchi to aapne farmaya "Baat ye hai k mere paas qabeela Abdul Qais k loog (ahkaam e deen seekhne k liye) aaye they unke saath (meri masroofiyat ne) mujhe zuhar k baad ki do rakaat sunnato se baaz rakkha pas ye wo dono thi (jo mene asar k baad ada ki hai)". (Sahih Bukhari Kitabus Sahu Hadees 1233, Sahih Muslim Hadees no. 834)
FAJAR KI SUNNATEY FARZO K BAAD PADH SAKTE HAI
Agar aap aese waqt masjid mein pahunchey k jamaat khadi ho gayi ho aur aapne sunnatey na padhi ho to us waqt sunnatey mat padhey kyunki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab namaz ki iqamat (takbeer) ho jaye to farz namaz k alawah koi namaz nahi hoti". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 710)
Aesi surat mein aap jamaat mein shamil ho jaye aur farz padh kar sunnatey padh le chunanchey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek shaks ko subah ki farz namaz k baad do rakaatey padhte hue dekh kar farmaya "Subah ki (farz) namaz do rkaatey hai (tumne mazeed do rakaatey kesi padhi hai?) us shaks ne jawab diya, mene do rakaatey sunnat (jo farzo se pehle hai) nahi padhi thi, unko ab padha hai (ye sun kar) aapne farmaya "phir koi harj nahi". (Abu Dawood Kitabut Tatvi Hadees no. 1267, Ibne Maja Hadees no. 1154, Ibne Khuzaima Hadees no. 1116, ise Ibne Hibban Hadees no. 624, Hakim 1:274, 275 aur Zahbi ne sahih kaha)
Ek shaks masjid mein aaya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam subah k farz padh rahe they, usne masjid k ek kooney mein do rakaat sunnat padhi, phir jamaat mein shamil ho gaya, jab aapne salam phaira to farmaya "Tuney farz namaz kisko shumar kiya jo akele padhi thi usko ya jo hamare saath jamaat se padhi hai?". (Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 712)
Maloom hua k farz hote waqt sunnato ka padhna durust nahi hai
NAFIL NAMAZ
Koi sahab ye khayal na kare k humne namazo ki rakaato ko kam kar diya hai yaani fara'iz aur sunnatey gin li hai aur nafil chood diye hai, musalman bhaiyo ko maloom hona chahiye k nawafil apni khushi aur marzi ki ibadat hai, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne kisi ko padhne k liye majboor nahi kiya, is liye hamey koi haqq nahi k hum apne nafilo ko farzo ka zaroori aur laazmi zameema bana le, farzo k saath aapki nafil ibadat yaani sunnatey aa gayi hai jin se namaz poori aur mukammal ho gayi hai nawafil hum mamnua auqaat k siwa din aur raat k sab auqaat mein ada kar sakte hai.
Hazrat Umar bin Absa Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se arz ki k mujhe namaz k mutalliq khabar dijiye to aapne farmaya "Subah ki namaz padh, phir suraj tulu aur uncha hone tak namaz se ruk ja is liye k ye shaitan k do seengho k darmiyan tulu hota hai aur us waqt kuffaar usko sajdah karte hai, phir namaz padh yaqeenan namaz mein farishte hazir hote hai aur suraj k seedah sar par hone k waqt namaz se ruk ja is liye k us waqt jahannam bhadkaayi jati hai aur phir suraj dhalne k baad padh is liye k namaz k liye farishte hazir hote hai phir namaz e asar padh, phir uske baad guroob e aaftaab tak thehar ja is liye k ye shaitan k do seengho k darmiyan guroob hota hai aur us waqt kuffaar usey sajdah karte hai". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 832)
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Friday, 23 October 2015
NAMAZ KI SUNNATO KA BAYAN
Labels:
SALAAT
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment