Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Monday, 19 October 2015

MASAJID K AHKAAM

MASAJID K AHKAAM

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k "Mere liye sari zameen ko masjid aur mitti ko paak karne wali banaya gaya hai lihaza jaha kahi bhi namaz ka waqt aaye ada karlo". (Sahih Bukhari Kitabut Tayammum Hadees no. 335, Sahih Muslim Hadees no. 521)

Ye Allah ta'ala ka is ummat par khaas in'aam hai, is ummat se qabl kisi bhi ummat ko ye sahoolat hasil nahi thi k namaz ka waqt aane par wo jis jagah bhi chahey namaz ada karle siwaye un jagaaho k jaha mana kiya gaya hai yaani qabristaan, hammam aur ountho ka baadah.


MASJID KI FAZILAT

Hazrat Usman Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks masjid banaaye aur uska maqsood Allah ki raza-mandi ho, Allah uske liye bahisht mein ghar banata hai". (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 450, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 533)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah ko masjidey bahut ziyaadah mehboob hai, aur bazaar nihayat na-pasand hai". (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 671)

Matloob ye hai k masjidey dunya ki tamaam jagaaho se Allah ko ziyaadah mehboob aur piyari hai kyunki unme Allah ki ibadat hoti hai aur bazaar tamaam jagaaho se Allah k nazdeek nihayat na-pasandeedah hai kyunki waha hirs, tam'a, jhoot, makar aur lain dain mein faraib wagairah ka door doorah hota hai, yaad rahe k kisi deeni ya deenivi zaroorat k bagair bazaar mein kabhi na jaye aur masjido se bahut muhabbat kare.

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo koi din k awwal hissey mein ya din k aakhiri hissey mein masjid ki taraf jaaye, Allah uske liye bahist mein mehmaani tayyar karta hai". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 662, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 669)


BAAZ MASAJID MEIN NAMAZO KA SAWAB

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Teen masajid Masjid e Haraam, Masjid e Aqsa aur Masjid e Nabwi k alawah kisi doosri jagah k liye safar ikhtiyaar na karo". (Sahih Bukhari Baab fazala salati fil masajid makkata wa madeenata Hadees no. 1189, Sahih Muslim Hadees no. 1397)

Khana Kaaba (Masjid e Haraam) mein ek namaz dosri masjid ki ek lakh namazo se afzal hai. (Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 1406)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya masjid e nabwi mein ek namaz doosri masajid ki ek hazaar namazo se behtar hai. (Sahih Bukhari Baab fazala salati fil masajid makkata wa madeenata Hadees no. 1190, Sahih Muslim Kitabul Hajj Hadees no. 1394)

Hazrat Sahal bin Saad Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis shaks ne ghar mein wuzu kiya phir masjid e quba gaya aur waha namaz padhi usko umrah k barabar ajr milega". (Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 1412)

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam har hafta ko masjid e quba mein paidal ya sawaar ho kar jaate aur do rakaat namaz padhte. (Sahih Bukhari Hadees no. 1194, Sahih Muslim Hadees no. 1399)


TAHYATUL MASJID (MASJID KA TOHFA)

Hazrat Abu Qatadah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum masjid mein dakhil ho to baithne se pehle do rakaat (tahyatul masjid k taur par) padho". (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 444, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees no. 714)

Hazrat Abu Qatadah Razi Allahu Anhu ne kaha k mein masjid mein gaya aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam loogo k saath masjid mein baithey hue they, mein bhi baith gaya, Aapne farmaya k tumhey baithne se pehle do rakaat padhne se kis cheez ne rooka hai, mene arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam mene aapko aur loogo ko baithte dekha to mein bhi baith gaya, aapne farmaya jab tum mein se koi masjid aaye to jab tak do rakaat na padh le na baithey. (Sahih Muslim Hadees no. 714)


PIYAAZ AUR LAHSUN KHA KAR MASJID MEIN NA AAO

Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne famraya "Jo shaks lahsun ya piyaaz kaaye to wo hamari masjid se door rahe aur apne ghar mein baitha rahe". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 564)

Hazrat Abu Saeed Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo koi in khabees darakhato (lahsun aur piyaaz) ko khaaye to masjid k qareeb na aaye aur farmaya agar tumne unhey khana hi hai to unko paka kar unki boo (smell) maar lo (yaani uski smell khatam kardo)" kyunki us se farishto ko aeza pahunchti hai aur aadmiyo ko bhi takleef hoti hai, loog boole lahsun haram ho gaya, haram ho gaya? Aapne farmaya loogo mein wo cheez haraam nahi kar sakta jisko Allah ta'ala ne halaal kiya hai lekin lahsun ki boo mujhe buri lagti hai. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 565)

Sheikh Albani Rahimahullah farmate hai "Kya kisi k tasawwur mein ye baat aa sakti hai k sigret peene wala piyaaz wa lahsun k hukm mein dakhil nahi? sabko maloom hai k sigret ki badboo piyaaz wa lahsun ki boo se kahi ziyaadah azeeyat naak hoti hai, un dono k khaane mein koi zarar bhi nahi jabke sigret peene k bahut se nuksanaat hai aur koi faida nahi" agar kisi ko marz ki bina par lahsun ya piyaaz istemaal karna padta ho to wo unko istemaal kar sakta hai kyunki:

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Mugeerah bin Shuba Razi Allahu Anhu ko seene k ek marz ki bina par lahsun kha kar masjid aane ki ijazat di thi. (Abu Dawood Kitabul It'amah Hadees no. 3826, ise Ibne Khuzaima Hadees no. 1672 aur Ibne Hibban ne sahih kaha)


MASJID MEIN THOOKNA

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mujh par meri ummat k acchey aur burey aamaal paish kiye gaye, mene dekha k naik aamaal mein raastey se takleef deh cheez ko door karna bhi hai aur burey aamaal mein masjid mein thookna bhi hai jis par mitti na daali gayi ho". (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 553)

Yaani aaj kal masjid se thook ko paani ya kapde wagairah se saaf kiya jayega.

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne masjid mein qible ki deewaar par balgam dekha aap loogo k aagey khade hue namaz padha rahe they, aapne (namaz hi mein) usko kheench dala, jab namaz padh chukey to farmaya "Jab koi namaz padhta hai to Allah ta'ala uske saamne hota hai usko chahiye k namaz mein apne saamne balgam na daale". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 547)

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne qible ki taraf masjid mein balgam dekha, aapne usko apne haath se khurach dala aur aapke chehre mubarak par na-khushgawaari k aasaas they, goya aapko ye thookna sakht na-gawaar guzra, phir aapne farmaya "Namaz mein insaan apne rabb se munajaat karta hai aur uska rabb uske qible k beech mein hota hai is liye usey chachiye k apne saamne na thookey balke apne baayi qadam k nichey thooke, phir aapne apni chadar ka kona liya usme thooka aur kapde ko mal diya aur farmaya k aesa kare". (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 551)

Us waqt masjidey kacchi hoti thi aajkal thookna ho to chadar k pallu mein thook kar mal de.

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Masjid mein thookna gunah hai aur uska kaffarah us par matti daal kar daab dena hai". (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 552)


MASJID MEIN EK HAATH KI UNGLIYA DOOSRE HAATH KI UNGLIYO MEIN DAALNA

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum wuzu karke masjid jaane k liye ghar se niklo to ek haath ki ungliya doosre haath ki ungliyo mein na daalo beshak us waqt tum namaz hi mein hote ho". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 562, ise imam Hakim aur Zahbi ne sahih kaha, iski sanad hasan hai)

yaani tumhey barabar namaz ka sawab mil raha hota hai.

Hazrat Kaab bin Ujrah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Masjid mein ek haath ki ungliya doosre haath ki ungliyo mein na daalo tum namaz hi ki haalat mein ho jab tak namaz ka intazaar kar rahe ho". (Musnad Ahmad 4:244, 1831, iski sanad jaid (qawi) hai, Baloogul Maani)

Ungliyo mein ungliya daalne ki mumaniyat namaz ada karne se pehle hai kyunki namaz ada karne k baad Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne masjid mein ungliya ungliyo mein daali. (Sahih Bukhari Hadees no. 482)


MASJID MEIN AAWAAZ BULAND KARNA MANA HAI

Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne taa'if k rehne wale do aadmiyo se kaha (jo masjid e nabwi mein unchi aawaaz se baatey kar rahe they) "Agar tum madeena k rehne wale na hote to mein tumhey saza deta, tum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki masjid mein apni aawaazey buland karte ho?". (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 470)


MASJID MEIN KHAREED O FAROOKHT

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum kisi shaks ko masjid mein kuch baichta ya khareedta dekho to kaho "LA AR-BAHALLAHU TIJARATAKA" "Allah teri soodagiri mein nafa na de". (Tirmizi Kitabul Buyu Hadees no. 1324, ise Imam Hakim 4:56 aur Imam Zahbi ne sahih kaha)

Aur jis waqt tum kisi shaks ko masjid mein gum-shudah cheez ka aelaan karte hue dekho to tum karo "LA RADDA HALLAHU ALAIKA" "Allah tujhe wo cheez na lootaye" pas beshak masjidey is maqsad k liye to nahi banaayi gayi. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 568)


MASJID MEIN SOONA

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k wo masjid e Nabwi mein soo jate they halanakey wo kuwarey nojawaan they. (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 440, Sahih Muslim Kitabul Fazail E Sahaba Hadees no. 2479)


MASJID MEIN MUSHRIK DAKHIL HO SAKTA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek martaba Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Banu Haneefa k ek shaks Sumama bin Aasaal ko masjid k satoon se baandh diya tha (halankey wo us waqt mushrik they). (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 469, Sahih Muslim Kitabul Jihad Hadees no. 1764)


MASJID MEIN SHA'AR PADHNA

Hazrat Saeed bin Musayyab Rahimahullah riwayat karte hai k ek dafa Hazrat Umar Farooq Razi Allahu Anhu masjid k paas se guzrey aur Hazrat Hassaan sha'ar padh rahe they (Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne Hassaan ko gussey se dekha) Hassaan kehne lage k mein masjid mein sha'ar padha karta tha aur tumse jo afzal hai yaani Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam waha mojood hote they, phir Hassan Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ki taraf mutawajjah hue aur kaha ae Abu Hurairah! tumhey Allah ki qasam kya tumne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye kehte hue nahi suna ae Hassaan tu Allah k Rasool ki taraf se kaafiro ko jawab de ae Allah! rooh ul qudus se Hassaan ki madad kar, Abu Hurairah ne jawab diya beshak (aapne farmaya). (Sahih Bukhari Kitabul Badd ul Khalq Hadees no. 3212, Sahih Muslim Hadees no. 2485)


MASJID MEIN GUFTAGU KARNA

Hazrat Jabir bin Samurah Razi Allahu Anhu bayan karte hai k hum aksar Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki majalis mein baitha karte they, aap subah ki namaz padhne k baad suraj k nikalne tak masjid mein baithte, jab suraj tulu hota to aap (jaane k liye) khade hote, hum (masjid mein) zamana e jahiliyat k muamalaat ka zikr karte (guftagu k doraan) hum haste bhi they aur muskuraate bhi. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 670)

MASJID JAANE KI FAZILAT

Hazrat Abu Qatadah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks apne ghar se ba-wuzu ho kar farz namaz ada karne k liye masjid k liye nikalta hai pas usko hajj ka ahram baandhne wale ki manind sawab milta hai". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 558, iski sanad hasan hai)

Yaad rahe k jin par baitullah ka hajj farz ho chuka hai, jab tak waha ja kar hajj na kare unse farziyat saaqit na hogi khawah sari umar ba-wuzu ho kar paancho namazey masjid mein ja kar padhte rahe, is liye Allah ki bakshish aur ajr wa sawab ki farwaani se kisi qism ki galat fehmi ka shikar nahi hona chahiye.

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jamaat k saath namaz padhne ka sawab apne ghar ya bazaar mein tanha namaz padhne se (kam az kam) 25 darje ziyadah hai, pas jab wo acchi tarah wuzu karke masjid jaye to uske har qadam se uska darja buland hota hai aur gunah maaf hote hai, jab wo namaz padhta hai to farishte uske liye us waqt tak dua karte rehte hai jab tak wo namaz ki jagah par baitha rehta hai, farishte kehte hai "ALLAHUMMA SALLI ALAIH" "Ae Allah! is par apni rahmat utaar, ae Allah iski tauba qubool kar" jab tak wo kisi ko aeza nahi deta wo hirs nahi karta farishte uske liye dua karte rehte hai, jab tak namazi namaz ka intazaar karta hai wo namaz hi mein hota hai. (Sahih Bukhari Kitabul Buyu Hadees no. 2119, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 649)

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k masjie e Nabwi k gird kuch makaan khali hue, banu salma ne masjid k qareeb muntaqil hone ka iraadah kiya, aapne farmaya "Ae banu salma apne (mojoodah) gharo mein thehrey raho (masjid ki taraf aate waqt) tumhare har qadam (ka sawab) likha jata hai". (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 665)


MASJID KA NAMAZI, ALLAH K SAAYE MEIN

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Saat shaks hai jinhey Allah ta'ala us din (hashar mein) apne saaye mein rakkhega jis din siwaye uske saaye k koi saaya nahi hoga (pehla) aadil hakim (doosra) wo nojawaan jo Allah ki ibadat mein jawani guzaare (teesra) wo shaks jiska dil masjid mein atka hua ho, jis waqt namaz padh kar nikalta hai to uski taraf dobaarah aane k liye betaab rehta hai (chootha) wo do shaks jo (sirf) Allah ta'ala (ki raza) k liye aapas mein muhabbat rakhte hai (jab) milte hai to usi ki muhabbat mein aur juda hote hai to usi ki muhabbat mein (paanchwa) wo shaks jo tanhaayi mein Allah ko yaad karta hai aur (ifraat e muhabbat ya khashyat se) uski aankho se aansu beh padhte hai (chata (6th)) wo shaks k jise kisi khandaani, khoobsurat aurat ne (buraayi k liye) bulaya phir us shaks ne kaha mein Allah se darta hu (saatwa) wo shaks k jisne Allah k naam par kuch diya phir usko chipaaya yaha tak k uske baaye hath ko ilm na hua k uske daaye haath ne kya kharch kiya (yani khairaat ko bilkul makhfi (chipa kar) rakkha hai)". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 660, Sahih Muslim Kitabuz Zakat Hadees no. 1031)


MASAJID MEIN KHUSHBOO

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha riwayat karti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hukm diya "Muhallo mein masjidey banao (yani jaha naya muhalla aabaad ho waha masjid bhi banao) aur unhey paak saaf rakkho, aur khushboo lagao". (Abu Dawood Kitbus Salaat Hadees no. 455, Ibne Maja Kitabul Masajid Hadees no. 758, 759 ise Imam ibne Khuzaima 394 aur Imam Ibne Hibban 306 ne sahih kaha)


MASJID K NAMAZIYO K LIYE KHUSH-KHABRI

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Andhairon mein (namaz k liye) masjid ki taraf chal kar aane walo ko qayamat k din poorey noor ki khush-khabri suna do". (Ibne Maja Kitabul Masajid Hadees no. 780, Imam Hakim 1:212 aur Imam Zahbi ne ise sahih kaha)


QABRISTAAN AUR HAMMAM MEIN NAMAZ KI MUMANIYAT

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tamaam rooh e zameen masjid hai (yani sab jagah namaz jayez hai) siwa e qabristan aur hammam k". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 492, Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 317, ise Imam Hakim 1:251, Imam Ibne Khuzaima 791, Ibne Hibban 338, 339, Zahbi aur Ibne Hajam ne sahih kaha)

Masjid k maana hai sajde ki jagah, jamaz ki jagah, jab qabristan mein sajdah aur namaz mana hui to namaz aur sajdah k liye masjid (sajdah ki jagah) banana bhi mana hui.

No comments:

Post a Comment