JANNAT K DARAKHT
Bismillahirrahmanirraheem
JANNAT MEIN HAR TARAH K PHAL-DAAR DARAKHT HONGEY LEKIN KHAJOOR, ANAAR AUR ANGOOR K DARAKHT BAKASRAT HONGEY
"Dono baagho mein (har qism k) phal hai (khaas taur par) khajoor aur anaar k, phir ae jinn wa ins! tum apne rabb ki kis kis naimat ko jhutlaogey". (Surah Rahman Surah no. 55 Ayat no. 68-69)
"Beshak muttaqi loog hi (aakhirat mein) kaamyaab hongey jaha unke liye baagaat aur angoor hongey". (Surah Naba Surah no. 78 Ayat no. 32-33)
JANNAT K DARAKHT KAANTO K BAGAIR HONGEY
KAILA AUR BAIRI JANNAT K DARAKHT HAI
JANNAT MEIN DARAKHTO K SAAYE BAHUT TAWEEL HONGEY
"Aur daahine haath wale, daahine haath walo ka kya kehna, be-kaante ki bairiyo mein hongey, kailey teh ba teh, lambey saaye, behta hua paani aur bakasrat phool". (Surah Waqiya Surah no. 56 Ayat no. 27-32)
JANNAT K DARAKHT IS QADAR SAR SABZ WA SHADAAB HONGEY K UNKI RANGAT SABZ SIYAAHI MAYIL HOGI
JANNAT K DARAKHT HAMESHA HAREY BHAREY RAHENGEY
"(Jannat k baagh) ghaney siyaahi maayil sar sabz hai, pas ae jinn wa ins! tum apne rabb ki kis kis naimat ka inkaar karogey". (Surah Rahman Surah no. 55 Ayat no. 64-65)
JANNAT K DARAKHTO KI SHAKHEY HARI BHARI LAMBI AUR GHANI HONGI
"Jannat k baagho (k darakhto) ki tehniyan lambi aur hari bhari hongi, pas ae jinn wa ins! tum apne rabb ki kin kin naimato ko jhutlaogey". (Surah Rahman Surah no. 55 Ayat no. 48-49)
JANNAT K EK DARAKHT KA SAAYA ITNA TAWEEL HOGA K GHOODA SAWAAR 100 BARAS TAK MUSALSAL CHALTA RAHEY TAB BHI SAAYA KHATAM NAHI HOGA
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat mein ek darakht hai jiske saaye mein ek (ghooda) sawaar 100 baras tak chalta rahey (tab bhi khatam na ho) agar (quran se samajhna) chaaho to (Surah Waqiya Ayat no. 30) (WA ZILLIM MAMDOODAH - aur lamba saaya) padh lo jannat mein kisi shaks ki kamaan rakhne k barabar jagah (dunya ki) har us cheez se behtar hai jis par sooraj tuju ya guroob hota hai". (Sahih Bukhari Kitabul Bad ul Khalk)
JANNAT MEIN TAMAAM DARAKHTO K TANEY SOONEY K HONGEY
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat mein koi darakht aesa nahi jis ka tana sooney ka na ho". (Sunan Tirmizi Abwabus Sifatul Jannah)
BAAZ KHAJOORO KA TANA SABZ ZAMRAD KA HOGA AUR USKI TEHNIYO KI JADEY SURKH SOONEY KI HONGI
Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu farmate hai jannat k khajoor ka tana sabz zamrad ka hoga uski tehni se ahle jannat ki poshaak tayyar ki jayegi unke libaas aur jubbey bhi usi se banaaye jayenge, khajoor ka phal matkey ya dool k barabar hoga jo doodh se ziyaada safaid aur shehad se ziyaada meetha hoga, makkhan se ziyaada naram hoga usme sakhti bilkul nahi hogi. (Sharah Sunnah baab Sifatul Jannah wa ahliha)
JANNAT MEIN CHAAR BEHTAREEN DARAKHT LAGAANE WALI TASBEEH YE HAI
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k wo ek darakht laga rahe they k itne mein Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam unke paas se guzey pucha "Ae Abu Hurairah Razi Allahu Anhu!" kis k liye darakht laga rahe ho? mene arz kiya "apne liye" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kya mein tujhey is se behtar darakht na batau?" Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ne arz kiya kyu nahi ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! (zaroor bataiye) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "kaho SUBHAAN-ALLAHI (Allah paak hai) WAL HAMDU LILLAHI (tareef sirf Allah k liye hai) WA LAA ILAHA ILLALLAHU (aur Allah k siwa koi ila nahi) WALLAHU AKBAR (aur Allah sabse bada hai) ye kehne par har kalmey k badley tumhare liye jannat mein ek darakht lagaya jayega". (Sunan ibne Maja Kitabul Adab)
JANNAT MEIN KHAJOOR KA DARAKHT LAGAANE WALA KALMA DARJ E ZAIL HAI
Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne kaha" SUBHAAN-ALLAHIL AZEEM WA BI HAMDIHI, (Azmat wala Allah apni hamd k saath paak hai) uske liye jannat mein khajoor ka ek darakht lagaya jata hai. (Sahih Jamey Tirmizi Hadees no. 2858)
TOOBA JANNAT KA DARAKHT HAI JISKA SAAYA 100 SAAAL KI MUSAFAT K BARABAR HAI
TOOBA DARAKHT K PHALO K KHOOSHO SE AHLE JANNAT K KAPDEY TAYYAR HONGEY
Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tooba jannat ka darakht hai jiska saaya 100 saal ki musafat k barabar hai, ahle jannat k kapdey usi k khooshey se tayyar kiye jayengey". (Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 1958)
ZAITOON JANNAT KA DARAKHT HAI
Hazrat Raafey bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "ajwah (khajoor) aur chattaan (yaani muqaam e ibraheem) aur darakht (yaani zaitoon) jannat mein se hai". (Tehqeeq E Mustafa Abdul Qaadir, darul kutub ilmiyah, bairoot 4: 226)
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Tuesday, 20 January 2015
JANNAT K DARAKHT
Labels:
JANNAT
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment