JANNAT K PHAL
Bismillhairrahmanirraheem
JANNAT K PHAL AHLE JANNAT K LIYE WAFIR MIQDAAR MEIN MOJOOD HONGEY
JANNAT MEIN HAR MOSAM KA PHAL HAR WAQT MAYASSAR HOGA
JANNAT K PHAL HASIL KARNE K LIYE KISI SE IJAZAT NAHI LENI PADEGI
JANNAT K PHALO KA ZAKHEERAH KABHI KHATAM NAHI HOGA
KAILA AUR BAIR JANNAT K PHAL HAI
"Aur daayi baazu wale, baayi baazu walo (ki khush naseebi) ka kya kehna wo be-khaar bairiyo aur ta ba ta kailo aur door tak phaili chaao aur har damm rawa rawa paani aur kabhi khatam na honey wale be rook took milne wale bakasrat phalo mein mazey karengey". (Surah Waqiyah Surah no. 56 Ayat no. 27-33)
"Jannat k phal sada bahaar aur uska saaya la-zawaal hoga ye inaam hai muttaqi loogo ka". (Surah Raad Surah no. 13 Ayat no. 35)
JANNAT MEIN HAR JANNATI K MAN-PASAND TAMAAM PHAL MOJOOD HONGEY
"Muttaqi loog (jannt mein) saayo aur chashmo mein hongey aur jo phal wo chahengey (unke liye hazir kiye jayengey aur kaha jayega) khao aur piyo mazey se un aamaal k badley mein jo tum karte rahey naik loogo ko hum aesi hi jaza dete hai". (Surah zumar Surah no.77 Ayat no. 41-44)
JANNAT K PHAL HAR WAQT JANNATIYO KI PAHUNCH MEIN HONGEY-KHADE, BAITHEY, CHALTE PHIRTE JAB CHAHENGEY TOOD SAKENGEY
"Jannat ki chaao un par jhuki hui saaye kar rahi hogi aur uske phal har waqt unki pahunch mein hongey". (Surah Dahar Surah no. 76 Ayat no. 14)
JANNAT KI KHAJOOR MATKEY K BARABAR HOGI JO DOODH SE ZIYAADA SAFAID, SHEHAD SE ZIYAADA MEETHI AUR MAKKHAN SE ZIYAADA NARAM HOGI
Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu farmate hai jannat k khajoor ka tana sabz zamrad ka hoga uski tehni se ahle jannat ki poshaak tayyar ki jayegi unke libaas aur jubbey bhi usi se banaaye jayenge, khajoor ka phal matkey ya dool k barabar hoga jo doodh se ziyaada safaid aur shehad se ziyaada meetha hoga, makkhan se ziyaada naram hoga usme sakhti bilkul nahi hogi. (Sharah Sunnah baab Sifatul Jannah wa ahliha)
JANNAT K PHAL KA EK KHOSHA ITNA BADA HAI K AGAR DUNYA MEIN AA JATA TO SAHABA E KIRAAM RAZI ALLAHU ANHUM KI JAMAAT QAYAMAT TAK USE KHATAM NA KAR SAKTI
Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se namaz e kusoof ki hadees mein riwayat hai k Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! humne aapko (doraan e namaz) dekha k aapne apni jagah par koi cheez li hai phir humne aapko dekha k Aap (wo cheez lene se) ruk gaye hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "mene jannat dekhi aur uske ek khosha ko lena chaha, agar mein use tood leta to jab tak dunya rehti tum loog use khaate rehtey". (Sahih Muslim Kitabus Salatul Kusoof)
JANNAT K PHAL KA EK KHOSHA AGAR DUNYA MEIN AA JAYE TO ZAMEEN WA AASMAAN KI SAARI MAKHLOOQ K KHAANE PAR BHI KHATAM NA HO
Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mere saamne jannat aur usme mojood saari naimatey laayi gayi phal, phool aur sar sabz wa shadabi mene tumhare liye angoor ka ek khosha lena chaha lekin rook diya gaya, agar mein wo khosha tumhare liye le aata to zameen aur aasmaan ki saari makhlooq use khatam karne k liye khaati (lekin khatam na kar paati)". (Nihaya li bin Kaseer 2: 367)
Wazahat: Jannat ki naimato k baare mein aesi hadees kam az kam musalmano k liye to bilkul ba'as e tajjub nahi hai jo apni aankho se guzishta 6 hazaar saal se musalsal zamzam k kuwey ko behta dekh rahe hai jis se saari dunya k ahle emaan saal bhar mustafeed hote rehte hai ramazaan ul mubarak aur hajj k doraan to har shaks khuli aankho se us "naimat" ka nazaara karta hai loog na sirf ji bhar ka use istemaal karte hai balkey apne apne shehro aur mulko ko wapas jaate hue bila rook took jitna chahte hai saath le jaat hai lekin na to paani mein kabhi kami aayi hai na khatam hua hai, aur qayamat tak ye paani yu hi istemaal hota rahega. SUBHANALLAHI WA BI HAMDIHI SUBHANALLAHIL AZEEM
KHAJOOR, ANAAR AUR ANGOOR JANNAT K PHAL HAI
"Dono baagho mein (har qism k) phal hai (khaas taur par) khajoor aur anaar k, phir ae jinn wa ins! tum apne rabb ki kis kis naimat ko jhutlaogey". (Surah Rahman Surah no. 55 Ayat no. 68-69)
[
"Beshak muttaqi loog hi (aakhirat mein) kaamyaab hongey jaha unke liye baagaat aur angoor hongey". (Surah Naba Surah no. 78 Ayat no. 32-33)
ANJEER JANNAT KA PHAL HAI
JANNAT K TAMAAM PHAL BAGAIR GUTHLI K HONGEY
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein anjeer ka ek thaal paish kiya gaya Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "khao" khud bhi us se anjeer khayi aur farmaya "agar mein kisi phal k baare mein kahu k ye jannat se nazil hua hai to yahi wo phal hai kyunki jannat k phal guthli k bagair hongey pas khao, anjeer bawaseer ko khatam karti hai aur gathiya k liye mufeed hai". (Tibb e Nabivi raqam rafa no. 318)
JANNATI JAB KISI DARAKHT SE PHAL TOODENGEY TO USKI JAGAH FAURAN NAYA PHAL LAG JAYEGA
Hazrat Sobaan Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab koi aadmi jannat se phal toodega to uski jagah doosra phal lag jayega". (Majmua e Zawa'id 10:414)
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Sunday, 25 January 2015
JANNAT K PHAL
Labels:
JANNAT
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment