Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Monday, 12 January 2015

JANNAT K DARJAAT

JANNAT K DARJAAT

Bismillahirrahmanirraheem

JANNAT K BULAND WA BAALA MAHLAAL JANNATIYO K DARJAAT K AETABAAR SE UPER NICHEY BANE HUE HAI

"Jo loog apne rabb se darr kar rehe unke liye buland imaratey hai (darja ba darja) manzil ba manzil bani hui hai jinke nichey nehrey beh rahi hai ye Allah ta'ala ka wada hai aur Allah ta'ala apne wadah ki kabhi khilaaf warzi nahi karta". (Surah Zumar Surah no. 39 Ayat no. 20)


JANNAT KA AALA TAREEN DARJA "WASEELA" HAI JIS PAR HAMARE PIYAARE RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM RONAQ AFROOZ HONGEY

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum mujh par darood bhejo to mere liye Allah ta'ala se "Waseela" ki dua karo, Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! waseela kya hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Jannat mein aala tareen darja jo sirf ek aadmi ko hasil hoga aur mein ummeed karta hu k wo mein hi hu". (Musnad Ahmad Hadees no. 7588)


JANNAT K 100 DARJAAT HAI HAR DARJA MEIN ITNA FARQ HAI JITNA ZAMEEN WA AASMAAN K DARMIYAAN HAI
JANNAT KI SABSE UPER WALE DARJA KA NAAM FIRDAUS HAI JIS SE JANNAT KI CHAAR NEHREY JAARI HOTI HAI
HAR MOMIN KO ALLAH TA'ALA SE JANNAT KA SABSE UPER WALA DARJA "FIRDAUS" MAANGNA CHAHIYE
FIRDAUS K UPER ALLAH TA'ALA KA ARSH HAI

Hazrat Ubada bin Saamit Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat mein 100 darjey hai har 2 darjo k darmiyaan zameen o aasmaan k barabar faasla hai sab se aalaa tareen darjey ka naam firdoos hai firdoos se jannat ki chaaro nehrey (meehaan, jeehaan, faraat aur nail) jaari hoti hai firdoos k uper Allah ta'ala ka arsh hai jab bhi Allah ta'ala se (jannat ka) sawaal karo to firdoos ka sawaal karo". (Sunan Tirmizi Abwabul Jannah)


NICHEY DARJA K MAHLAAT WALE JANNATI UPER WALE DARJAAT K MAHLAAT KO DEKH KAR YUH MEHSOOS KARENGEY JESE DOOR KOI CHAMAKTA HUA SITAARA NAZAR AA RAHA HAI

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannati loog apne se uper wale mahlaat k jannatiyo ko dekhengey (to aesa mehsoos karengey) jesa k door aasman k mashriqi ya magribi kinaarey par koi tara chamak raha hai itna faasala jannatiyo k ba'hami darjaat k farq ki wajah se hoga" Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! us buland muqaam par ambiya k alawa aur kaun pahuncheyga?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Kyu nahi (pahunchega) qasam us zaat ki jiske haath mein meri jaan hai wo loog un darjaat mein hongey jo Allah par emaan laaye aur Rasoolo ki tasdeeq ki". (Sahih Muslim Kitabul Jannah was Sifaah)


JANNAT K 100 DARJEY HAI HAR DO DARJO K DARMIYAAN 100 SAAL KI MUSAFAT KA FARQ HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anahu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat mein 100 darjey hai har do darjo k darmiyaan 100 saal (ki musafat) ka farq hai". (Sunan Tirmizi Abwabul Jannah)


ALLAH K LIYE EK DOOSRE SE MUHABBAT KARNE WALO K GHAR MASHRIQ YA MAGRIB SE TULU HONEY WALE CHAMAKDAAR SITAARO KI TARAH NAZAR AAYENGEY

Hazrat Abu Saeed Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah k liye ek doosre se muhabbat karne walo k ghar jannat mein tumhey is tarah nazar aayengey jese mashriq ya magrib se tulu hone wala sitaara! loog puchengey ye kaun hai? unhey bataya jayega ye Allah k liye ek doosre se muhabbat karne wale loog hai". (Musnad Ahmad Kitabul Ahle Jannah)


"SAABIQOON" K LIYE SOONEY K DO BAAGH "ASHABUL YAMEEN" K LIYE CHANDI K DO BAAGH HONGEY

Hazrat Abu Bakr bin Musa (Ash'ari) apne baap se riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Saabiqoon k liye sooney k do baagh aur ashabul yameen k liye chaandi k do baagh". (An Nihaya Li bin Kaseer Hadees no. 346)

Wazahat: "Saabiqoon" se muraad emaan laane mein pehal karne wale aur ashabul yameen se muraad tamaam naik-o-kaar loog hai, "Saabiqoon" ashabul yameen se afzal hai. (Wallahu Aalam bis Sawaab)

No comments:

Post a Comment