JANNAT K MAHLAAT
Bismillahirrahmanirraheem
JANNAT K MAHLAAT HAR CHOOTI BADI GALAZAT AUR GANDAGI SE PAAK AUR SAAF HONGEY
"Momin mardo aur aurato se Allah ta'ala ne wada kar rakkha hai k wo unhey aese baagh dega jiske nichey nehrey behti hongi aur wo un mein hamesha rahengey un baagho mein unke liye pakeeza qayaam-gaahey hongi aur sab se badh kar ye k unhey Allah ta'ala ki khushnudi hasil hogi yahi badi kaamyabi hai". (Surah Touba Surah no. 9 Ayat no. 72)
JANNAT K MAHLAAT MEIN TAMAAM BARTAN SOONEY AUR CHAANDI K HONGEY
JANNATIYO K MAHLAAT MEIN HAR WAQT AUOR JALTI RAHEGI JISKI KHUSHBU SE UNKE MAHLAAT MUATTAR RAHENGEY
JANNATIYO K PASEENE SE MUSHK KI KHUSHBU AAYEGI
JANNAT MEIN THOOK, NAAK AUR RAFEY-HAAJAT WAGAIRAH NAHI HONGEY
TAMAAM JANNATI BAAHAM WA SHAIR O SHUKR HONGEY KISI K DIL MEIN DOOSRE K KHILAAF KOI HASAD YA BUGAZ NAHI HOGA
AHLE JANNAT HAR SAANS K SAATH ALLAH KI HAMD AUR TASBEEH KAREGEY
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat mein sabse pehle (mardo aur aurato ka) jo garooh dakhil hoga unke chehrey choodvi raat k chand ki tarah (roshan) hongey unhey thook nahi ayega na naak aur rafey-haajat ki zaroorat mehsoos karengey unke bartan sooney k hongey kanghiya (tak) sooney aur chaandi ki hongi, angeethiyo se auos ki khusbu nikal rahi hogi, jannatiyo k paseene se mushk ki khushbu ayegi, har jannati k paas do beewiya aesi hongi jinke husn ki wajah se unki pindali ka gooda goosht k andar se dikhayi dega jannati loogo mein baahami ikhtalaaf nahi hongey na hi bugz hoga, balkey yak jaan hongey subah wa shaam Allah ki tasbeeh karte rahengey". (Sahih Bukhari Kitabul Bad ul Khalq)
JANNAT K MAHLAAT SOONEY AUR CHAANDI KI EENTO SE BANE HONGEY
JANNAT K SANGREEZEY MOOTI AUR YAQOOT K HAI AUR MITTI ZAAFRAAN KI HAI
JANNAT MEIN MAUT NAHI AYEGI JANNATI HAMESHA HAMESHA ZINDA RAHEGA
JANNAT MEIN BUDHAPA NAHI AYEGA BALKEY WO HAMESHA JAWAAN RAHENGEY
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mene arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam makhlooq kis cheez se paida ki gayi hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "paaki se" mene arz kiya "jannat kis cheez se bani hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "uski ek eent chandi ki hai ek sooney ki, uska seement taiz khushbu wala mushk hai, uske sangreezey moti aur yaqoot k hai uski mitti zaafraan hai, jo shaks usme dakhil hoga wo aish karega kabhi takleef nahi dekhega, hamesha zinda rahega kabhi nahi marega, jannatiyo k kapde kabhi puraane nahi hongey aur unki jawaani kabhi fana nahi hogi". (Sunan Tirmizi Abwabus Sifatul Jannah)
JANNATUL ADN KO ALLAH TA'ALA NE APNE HAATH SE TAAMEER FARMAYA
JANNATUL ADN K MAHLAAT KI EK EENT SAFAID MOTI KI EK EENT SURKH YAQOOT KI EK EENT SABZ ZAMRAD KI HAI USKI MITTI MISK KI HAI USKE SANGREEZEY LO LO K AUR USKI GHAAS ZAAFRAAN KI HAI
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannatul adn ko Allah ta'ala ne apne haath se taameer farmaya hai jiski ek eent safaid moti ki ek surkh yaqoot ki ek sabz zamrad ki hai, uski mitti misk ki hai uske sangreezey se lo lo k hai uska ghaas zaafraan ka hai (jannat ki tameer k baad) Allah ta'ala ne jannat se irshad farmaya "Kuch keh" jannat ne kaha "falah paa gaye emaandaar loog" phir Allah azz wa jall ne irshad farmaya "Mere jalaal aur izzat ki qasam! koi bakheel tujh mein dakhil nahi ho sakega" phir Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye aayat tilawat farmayi "Jo loog nafs ki bakheeli se bacha liye gaye wo falah paa gaye". (An Nihaaya li bin Kaseer Hadees no. 352)
BAAZ MAHLAAT MEIN SOONEY K BAAGAAT HONGEY JISKI HAR CHEEZ SOONEY KI HONGI BAAZ MAHLAAT MEIN CHAANDI K BAAGH HONGEY JINKI HAR CHEEZ CHANDI KI HOGI
Hazrat Abdullah bin Qais Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "(Jannat mein jannatiyo k liye) do baagh chandi k hongey uske bartan aur har cheez chandi ki hogi aur do baagh sooney k hongey (yaani) uske bartan aur har cheez sooney ki hongi loogo k liye jannatul adn (jannat ka naam hai) mein apne rabb ko dekhne mein koi cheez rukawat na banegi siwaye uski kibriyaai ki chadar k jo uske chehrey mubarak par hogi". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)
JANNAT K MAHLAAT MEIN BADE BADE GUMBAD KHOOBSURAT SAFAID MOTIYO SE TAMEER KIYE GAYE HAI
Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se meraaj ki hadees mein riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Phir mujhey jannat mein le jaya gaya jis mein gumbad safaid mootiyo k baney hue hai aur uski mitti misk ki hai". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Thursday, 15 January 2015
JANNAT K MAHLAAT
Labels:
JANNAT
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment