Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Saturday, 10 January 2015

JANNAT K DARWAAZEY

JANNAT K DARWAAZEY

Bismillahirrahmanirraheem

AHLE JANNAT KI AAMAD PAR FARISHTEY JANNAT K DARWAAZEY KHOLENGEY
DARWAAZO SE DAKHIL HOTE WAQT FARISHTE AHLE JANNAT K LIYE SALAMATI KI DUA KARENGEY

"Muttaqi loogo ko giroh dar giroh jannat ki taraf le jaya jayega yaha tak k jab wo waha pahunchengey to jannat k darwaazey khool diye ja chukey hongey jannat k khadim (farishte) unse kahengey "Salaal ho tum par bahut acchey rahey dakhil ho jao is jannat mein hamesha hamesha k liye". (Surah Zumar Surah no. 39 Ayat no. 73)


SABSE PEHLE JANNAT KA DARWAAZAH RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K LIYE KHOOLA JAYEGA

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Qayamat k rooz mein (sabse pehle) jannat k darwaazzey par aayunga aur darwaaza khulwaunga jannat ka khazin (darwaaza khatkhatane par) poochega kaun hai?" mein jawab dunga "Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam)!" khazin kahega "Mujhe isi baat ka hukm diya gaya tha k aapse pehle kisi k liye darwaaza na khoolu". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Qayamat k rooz sabse ziyadah ummati mere hongey aur sabse pehle mein jannat ka darwaaza khatkhataunga". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)


JANNAT K 8 DARWAAZEY HAI

Hazrat Sahal bin Saaad Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat mein 8 darwaazey hai jinmein se ek ka naam "Rayyaan" hai jisme se sirf roozadaar hi dakhil hongey". (Sahih Bukhari Kitabul Bad ul Khalq)


JANNAT K BAAZ DOOSRE DARWAAZO K NAAM YE HAI BABUS SALAAT, BABUL JIHAAD, BABUS SADQA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis shaks ne Allah ki raah mein jooda kharch kiya (masalan do ghoode do talwaare wagairah) use jannat mein yu keh kar bulaya jayega Ae Allah k bandey! ye hai behtar sila (tumhare infaaq ka) jo ahle salah se hoga use babus salaat se pukara jayega jo ahle jihaad mein se hoga wo baabul jihaad se pukara jayega jo ahle sadqa se hoga wo babus sadqa se pukara jayega jo ahle siyaam se hoga wo babur rayyaan se pukara jayega" Hazrat Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu ne arz kiya Ae Allah k Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam! aese shaks ko to koi khasarah nahi hoga jo sab darwaazo se pukara jayega aur koi aesa shaks bhi hai jo un sab darwaazo se bulaya jayega?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Han" aur mujhey ummeed hai k tum unhi mein se hongey". (Sunan Nasayi Kitabul Jihaad)


JANNAT K EK DARWAAZEY KI CHOODAYI TAQREEBAN 1200, 1300 KILOMETER K BARABAR HAI
BILA HISAAB KITAB JANNAT MEIN JAANE WALE KHUSHNASEEB LOOG JIS DARWAAZEY SE DAKHIL HONGE US KA NAAM "BABUL YAMAN" HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se hadees shifa'at mein riwayat hai k (Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki shifarish k baad) Allah ta'ala irshad farmayega "Ae Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam)! apni ummat k un loogo ko baabul yaman se jannat mein dakhil karo jis par koi hisaab kitab nahi hai aur wo jannat k doosre darwaazo mein se dakhil hone wale loogo k saath shareek hai (yaani agar kisi doosre darwaazo mein se dakhil hona chahey to ho sakte hai) Qasam hai us zaat ki jiske haath mein Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ki jaan hai jannat ki chokhat k darmiyaan itna fasala hai jitna makka aur hajr (bahreen k ek shehar ka naam hai) darmiyaan hai ya jitna makka aur busra (shaam k ek shehar ka naam hai) k darmiyaan hai". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

Wazahat: Yaad rahey k makka aur hajr ka darmiyaani fasala 1160 kilometer aur makka wa busra ka darmiyaani fasala 1250 kilometer hai.


BILA HISAAB KITAB JANNAT MEIN JAANE WALE 70 HAZAAR IFRAAD BAIK WAQT BABUL YAMAN SE DAKHIL HONGEY KOI AAGEY YA PICHEY NAHI HOGA

Hazrat Sahal bin Saad Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Meri ummat k 70 hazaar ifraad ya 7 lakh (hadees k raavi) abu hazam ko yaad nahi raha k 70 hazaar ya 7 lakh ifraad is tarah jannat mein dwakhil hongey k ek doosre ka haath pakdey hue hongey unme se koi bhi us waqt tak jannat mein dakhil nahi hoga jab tak aakhiri aadmi dakhil na ho jaye (yaani saare baik waqt dakhil hongey) un jannatiyo k chehre choodhvi raat k chand ki tarah chamak rahe hongey". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

Wazahat: Muslim Shareef ki doosri hadees se 70 hazaar ki tadaad sabit hai. (Wallahu Aalam bis Sawaab)


ACCHI TARAH WUZU KARNE K BAAD KALMA E SHAHADAT PADHNE WALA SHAKS JANNAT MEIN AATHO (8) DARWAAZO MEIN SE JIS SE CHAAHEGA DAKHIL HO SAKEGA

Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tum mein se jo shaks acchi tarah poora wuzu kare phir kahe "ASH'HADU ALLA ILAHA ILLALLAHU WA ANNA MUHAMMADAN ABDUHU WA RASOOLUHU (yaani mein gawahi deta hu k Allah k siwa koi mabood nahi aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam Allah k bandey aur uske rasool hai)" uske liye jannat k aatho (8) darwaazey khool diye jaate hai jis se chaahey dakhil ho". (Sahih Muslim Kitabut Taharah)


PAANCH NAMAZO KI PABANDI KANRE WALI, RAMAZAAN K ROOZEY RAKHNE WALI, PAAKDAMAN AUR APNE SHOHAR KI ITA'AT GUZAAR KHATOON JANNAT K AATHO (8) DARWAAZO MEIN SE JIS SE CHAAHEGI DAKHIL HO SAKEGI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo aurat paanch namazey ada kare, ramazaan k roozey rakkhey, apni sharmgaah ki hifazat kare aur apne shohar ki farmabardaari kare use (qayamat k rooz) kaha jayega jannat k (aatho) darwaazo mein se jis se chaaho dakhil ho jao". (Sahih Jamey Sageer Hadees no. 683)


TEEN NABAALIG BACCHO K FAUT HONE PAR SABR KARNE WALA SHAKS JANNAT K AATHO DARWAAZO MEIN SE JIS SE CHAAHEGA DAKHIL HO SAKEGA

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis musalman k teen nabaalig bacchey faut ho gaye (aur usne sabr kiya) to wo bacche use jannat k aatho darwaazo par milengey wo jis darwaazey se chaahega dakhil ho jayega". (Sunan Ibne Maja Kitabul Janaiz)


PEER (MONDAY) AUR JUMA-RAAT (THURSDAY) K ROOZ JANNAT K DARWAAZEY KHOOLEY JATE HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat k darwaazey peer aur juma-raat ko khool diye jaate hai aur har us shaks ko bakhs diya jata hai jo Allah se shirk na karta ho siwaye us aadmi k jo kisi doosre bhai k saath keena rakhta ho (un dono k baare mein farishto se) kaha jata hai un dono aadmiyo ka intazaar karo yaha tak k ye dono aapas mein mil jaye un dono ka intazaar karo hatta k aapas mein mil jaye". (Sahih Muslim Baab Shahna)


RAMAZAAN SHAREEF K POOREY MAHEENEY MEIN JANNAT K AATHO (8) DARWAAZEY KHULEY REHTE HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab ramazaan aata hai to aasman k darwaazey khool diye jaate hai, jahannam k darwaazey band kar diye jaate hai aur shayateen jakad diye jaate hai". (Al loo loo wal Marjaan Hadees no. 652)

No comments:

Post a Comment