Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Saturday, 31 January 2015

JANNAT KI NEHREY

JANNAT KI NEHREY

Bismillhairrahmanirraheem

JANNAT MEIN MEETHEY PAANI, KHUSH ZAIQA DOODH, LAZEEZ SHARBAT AUR SHAFFAAF SHEHAD KI NEHREY BEH RAHI HAI
JANNAT KI NEHRO K MASHROBAAT KA RANG AUR ZAIQA HAMESHA EK JESA HI RAHEGA

"Muttaqeen loogo se jis jannat ka wada kiya gaya hai uski shaan to ye hai k us mein meethey paani ki nehrey beh rahi hai, aese doodh ki nehrey jiske zaiqey mein zarra farq na aaya ho, aesi sharaab ki nehrey jo peene walo k liye lazeez ho aur saaf shaffaaf shehad ki nehrey beh rahi hai". (Surah Muhammad Surah no. 47 Ayat no. 15)


SEEHAAN, JEEHAAN, FURAAT AUR NEEL JANNAT KI NEHREY HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Seehaan, Jeehaan, Furaat aur Neel jannat ki nehro mein se hai". (Sahih Muslim Kitabul Jannah wa Sifatun Naeemaha)


KAUSAR JANNAT KI NEHAR HAI JISKA PAANI DOODH SE ZIYAADA SAFAID AUR SHEHAD SE ZIYAADA MEETHA HOGA
KAUSAR ALLAH TA'ALA KI TARAF SE RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO DIYA GAYA HADYA HAI

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se daryaft kiya gaya "kausar kya hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ye ek nehar hai jo mujhey Allah ta'ala ne jannat mein ata farmayi hai jiska paani doodh se ziyaada safaid aur shehad se ziyaada meetha hai, isme aese parindey (udhte hai) jinki gardaney untho ki si hai" Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne arz kiya "wo parindey to khoob mazey mein hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "un parindo ko khaane wale ziyaada mazey mein hai". (Sunan Tirmizi Abwabul Jannah)


AHLE JANNAT HASB KHAWAHISH JANNAT KI NEHRO MEIN SE CHOOTI CHOOTI NEHREY NIKAAL KAR APNE APNE MAHLAAT MEIN LE JAA SAKENGEY

Hazrat Hakeem bin Muawiyah Razi Allahu Anhu apne baap se riwayat karte hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya Jannat mein paani, shehad, doodh aur sharaab ki nehrey hai aur un nehro se (chooti) nehrey niklengi (jo jannatiyo k mahlaat mein jayengi). (Sunan Tirmizi Abwabul Jannah)


JANNAT KI EK NEHAR KA NAAM "NEHAR E HAYAAT" HAI JISKA PAANI JAHANNAM SE NIKALNE WALO PAR DALA JAYEGA TO WO DOBAARAH BEEJH KI TARAH "UGH" PADENGEY

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah ta'ala apni rahmat se jis ko chaahega jannat mein dakhil farma dega aur aagh (fire) walo ko aagh mein dakhil farma dega phir (jannati muddat baad chahega) irshad farmayega "Dekho jis shaks k dil mein raayi barabar bhi emaan ho usko aagh se nikaal lo chunanchey wo loog us haal mein niklengey k unke jism koiley ki tarah jaley hue hongey tab wo nehar e hayaat ya nehar haya mein daale jayengey aur wo loog usi tarah ugh padengey (yaani bilkul sahi saalim ho jayengey) jis tarah beejh silaab mein (foran) ughta hai kabhi tumne dekha nahi wo beejh kesa zaro lipta hua ughta hai". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

No comments:

Post a Comment