Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Saturday, 5 September 2015

AADAAB E TILAWAT

AADAAB E TILAWAT

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Ummey Salma Razi Allahu Anha se riwayat hai k "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam quraan majeed ki har aayat par toquf farmate (yaani baad wali aayat ko pehli aayat k saath nahi milaate they)". (Abu Dawood Kitabul Huroof wal Qira’at Hadees no. 4001, ise Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)

Mazkoorah Hadees kasrat tark k saath marvi hai, is masley mein isko buniyaadi hesiyat hasil hai, aa'imma e salaf saaliheen ki ek jamaat har aayat par toquf farmati thi agar baad ki aayat maana k lihaaz se pehli aayat k saath mutalliq hoti thi phir bhi qataa karke padhte they, tilawat e quraan ka masnoon tareeqa yahi hai lekin aaj jamhoor qura is tarah tilawat karne se guraiz karte hai.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Namazi apne rabb k saath sargooshi karta hai, usey khayaal karna chahiye k wo kis zaat se sargooshi kar raha hai aur tum quraan majeed unchi aawaaz k saath tilawat karke apne saathiyo ko iztaraab mein na daalo". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 1332, ise Imam ibne Hibban aur Ibne Khuzaima ne sahih kaha)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Allah ta'ala k hukm k mutabiq aahista aahista quraan paak ki tilawat farmate balke ek ek harf alag alag padhte, yun maloom hota k chooti surat, lambi surat se bhi ziyaadah lambi hogi, chunanchey aapka irshad hai k "Hafiz e quran ko kaha jayega: Jis tarah tum dunya mein aahista aahista padha karte they usi tarah quran padhte jao aur jannat ki seedhiya chadhte chalo tumhari manzil waha hai jaha tumhara quran majeed (padhna) khatam hoga". (Abu Dawood Baab Istahbaab e tarteel fil qura Hadees no. 1464, Ibne Hibban aur Tirmizi Hadees no. 2914 ne ise sahih kaha)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam quran majeed ko acchi aawaaz se padhne ka hukm farmate they. (Abu Dawood Hadees no. 1468, ise Imam Ibne Hibban aur Ibne Khuzaima ne sahih kaha)

Hazrat Uqba bin Aamir Razi Allahu Anhu farmate hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah ki kitab ka ilm hasil karo usko zehan mein mehfooz karo aur usey khoobsurat aawaaz se padho, mujhe us zaat ki qasam jiske haat mein meri jaan hai ounth k ghutno ki rassi agar khool di jaaye to wo itni teezi se nahi bhaagta jitna teezi se quran paak hafiza se nikal jaata hai". (Daarmi Kitabul Fazail e Quran Hadees no. 3352, Musnad Ahmad 4:146, 12450)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah ta'ala kisi awaaz k liye is qadar kaan nahi lagaata jis qadar acchi aawaaz k saath quran majeed padhne par lagaata hai". (Sahih Bukhari Kitabul Fazail e Quran Hadees no. 5023, Sahih Muslim Kitabul Fazail e Quran Hadees no. 792)

No comments:

Post a Comment