SURAH FATIHA KA MASLA
Bismillahirrahmanirrahmeem
"BISMILLA HIR RAHMA NIR RAHEEM, ALHAMDU LILLAHI RABBIL AALAMEEN, AR RAHMA NIR RAHEEM, MALIKI YAUMUD DEEN, IYYAKA NA'ABUDU WA IYYAKA NASTAEEN, IHDINAS SIRAATAL MUSTAQEEM, SIRAATAL LAZEENA AN'AMTA ALAIHIM, GAIRIL MAGZOOBI ALAIHIM WALAZ ZAAALLEEN"
"Allah k naam se (shuru karta hu) jo nihayat meharbaan be-hadd raham karne wala, saari tareef Allah k liye hai jo tamaam makhlooqaat ka rabb hai, be-hadd raham karne wala be-hadd meharbaan, badle k din ka maalik hai, (Ae Allah!) hum teri hi ibadat karte hai aur tujh hi se madad maangte hai, hamey seedhey raaste par chala, un loogo k raaste par jin par tuney inaam kiya jin par tera gazab nahi kiya gaya jo gumraah nahi huwe".
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Abu Bakr, Umar aur Usman Razi Allahu Anhum k pichey namaz padhi wo surah fatiha se pehle ya baad mein (buland aawaaz se) "BIS MILLAHIR RAHMA NIR RAHEEM" nahi padhte they. (Sahih Muslim Hadees no. 399)
Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam "BIS MILLAHIR RAHMA NIR RAHEEM" aahista padhte they. (Sahih Ibne Khuzaima Hadees no. 495)
NAMAZ AUR SURAH FATIHA
Hazrat Ubada bin Saamit Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis shaks ne (namaz mein) surah fatiha nahi padhi uski namaz nahi hui". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 756, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 394)
Imam Bukhari Rahimahullah is hadees par yun baab baandhte hai: "Namaz mein surah fatiha padhna har namazi par wajib hai khawah imam ho ya muqtadi, muqeem ho ya musafir, namaz sirri ho ya zehri"
Hazrat Ubada bin Saamit Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k hum namaz mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey they aapne quran padha pas aap par padhna bhaari ho gaya, jab namaz se faarigh hue to farmaya "Shayad tum imam k pichey padha karte ho? humne kaha han, Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! aapne farmaya Surah fatiha k aur kuch na padha karo kyunki us shaks ki namaz nahi hoti jo fatiha na padhey". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 823, Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 311, ise Ibne Khuzaima 1581, Ibne Hibban 460, 461, Behaqui ne sahih jabke Imam Tirmizi aur Daar e Qutni ne hasan kaha)
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu bayan karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis shaks ne namaz padhi aur us mein surah fatiha na padhi pas wo (namaz) naqis hai, naqis hai, poori nahi" Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se pucha gaya hum imam k pichey hote hai (phir bhi padhey?) to Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ne kaha (han) to usko dil mein padh. (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 395)
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apne Sahaba Razi Allahu Anhum ko namaz padhaayi, farigh ho kar unki taraf mutawajjah ho kar pucha kya tum apni namaz mein imam ki qiraat k doraan mein padhte ho? sab khamosh rahe, teen baar aapne unse pucha, to unhone jawab diya han! hum aesa karte hai, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Aesa na karo tum sirf fatiha dil mein padha karo". (Ibne Hibban 5:152, 162, Behaqui 2:166, Majmua uz zawa'id mein Imam Behaqui farmate hai: iske sab raavi siqa hai aur isko ibne Hajar ne hasan kaha)
In Ahadees se sabit hua k muqtadiyo ko imam k pichey (chahey wo buland aawaaz se qiraat kare ya aahista aawaaz se) Alhamdu Shareef dil mein zaroor padhni chahiye.
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Friday, 4 September 2015
SURAH FATIHA KA MASLA
Labels:
SALAAT
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment