SAJDEY K AHKAAM
Bismillahirrahmanirraheem
1. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum mein se koi sajdah kare to unth ki tarah na baithey balke apne dono haath ghutno se pehle rakkhey". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 840, Imam Nawawi aur Zarqaani ne iski sanad ko jaid kaha)
Sajdah mein ghtune pehle rakhne wali Hazrat Wayel bin Hujar Razi Allahu Anhu ki riwayat (Abu Dawood Hadees no. 838) ko imam Daare Qutni, Behaqaui aur Hafiz ibne Hajar Rahimahullh ne zaeef kaha hai, jab k Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ki, haath pehle rakhne wali riwayat sahih hai aur Ibne Umar ki darj e zail hadees is par shahid hai:
Hazrat Nafey Rahimahullh riwayat karte hai k Ibne Umar Razi Allahu Anhu apne haath ghutno se pehle rakhte aur farmate k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam aesa hi karte they. (Sahih Ibne Khuzaima 1:319 Hadees no. 628, Mustadrak e Hakim 1:1226, ise Hakim, Zahbi aur Ibne Khuzaima ne sahih kaha)
Ghutno se pehle haath rakhne ko imam Auzaayi, Imam Malik, Imam Ahmad ibne Hambal aur Sheikh Ahmad Shakir Rahimahullh ne ikhtiyaar kiya hai, Ibne Abu Dawood ne kaha: Mera rujhaan Hadees e Ibne Umar Razi Allahu Anhu ki taraf hai kyunki is baare mein Sahaba aur Tabaeen se bahut se riwayaat hai.
2. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam sajdey mein apni naak aur paishani zameen k saath lagaate aur haath apne pehluon se alag rakhte (yaani apne baazu ko baglon se na milaate they) aur dono haatho ko kandho k barabar rakhte. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 734, ise Imam Ibne Khuzaima 1640 aur Tirmizi 304 ne sahih kaha)
3. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam sajdey mein apne sar ko dono haatho k darmiyaan mein rakhte. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 726, ise Imam ibne Hibban Hadees no. 485 ne sahih kaha)
4. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab ruku karte to ungliyo ko kushaadah karte aur jab sajdah karte to haatho ki ungliyo ko mila kar karte. (Mustadrak e Hakim 1:227, Behaqui 2:112, Hakim aur Zahbi ne ise sahih kaha)
5. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmate hai "Mujhe hukm diya gaya hai k mein saat haddiyo par sajdah karu paishani aur haath se naak ki taraf ishaarah kiya dono haatho, dono ghutno aur dono qadmo k panjo par aur (ye k hum namaz mein) apne kapdo aur baalo ko ikattha na kare". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 812, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 490)
Har behan bhai k liye zaroori hai k wo sajdey mein un saat aazaa ko khoob acchi tarah (mukammal taur par) zameen par tika kar rakkhey aur itminaan se sajdah kare, aur mard namaz mein apne aasteeno ko na jhukaaye kyunki kapda ikattha karna mana hai.
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne sajdey mein apni hatheliyo aur ghutno ko zameen par tikaaya. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 858, 859, ise Imam Ibne Khuzaima ne sahih kaha)
6. Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k us shaks ki namaz nahi jiski naak paishani ki tarah zameen par nahi lagti. (Daare Qutni 1:348, ise Hakim aur Ibne Jauzi ne sahih kaha)
7. Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha bayan karti hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko sajdah ki halat mein dekha aapke paao ki dono aediya mili hui thi aur paao ki ungliyo k sirey qiblah rukh they. (Behaqui 2:116, ise Ibne Khuzaima 654, Hakim 1:1228 aur Zahbi ne sahih kaha)
8. Sajdey ki halat mein Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam apni kalaiyo ko zameen par nahi lagaate they balke unhey utha kar rakhte aur pehluon se door rakhte aur paao ki ungliyo k sirey qibley ki taraf mudey hue hoote they. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 828)
Hazrat Abdullah bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab sajdah karte to apne haatho ko itna khoolte k unke baglon ki safaidi nazar aati. (Sahih Bukhari Hadees no. 807, Sahih Muslim Hadees no. 495)
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Monday, 14 September 2015
SAJDEY K AHKAAM
Labels:
SALAAT
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment