SAJDAH - NIHAYAT DARJAH QURB E ILAHI
Bismillahirrahmanirraheem
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Behsk bandah sajdey ki halat mein apne rabb se bahut nazdeek hota hai, pas (sajdey mein) bahut dua karo". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 482)
Allah ta'ala to bandey se har haal mein nazdeek hota hai lekin sajdey ki halat mein bandah uske bahut nazdeek hota hai, yahi wajah hai k Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam sajdhey mein badi aajazi aur ikhlaas se duwaye maangte they.
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam aam taur par zameen par sajdah karte they is liye k masjid e nabvi mein farsh na tha, Sahaba Razi Allahu Anhum sakht garmi mein namaz ada karte aur zameen ki garmi ki wajah se agar wo zameen par paishani na rakh sakte to sajdah ki jagah par kapda rakh lete aur us par sajdah karte. (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 385, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 620)
Ramazaan ul Mubarak ki 21vi raat thi, baarish barasi aur masjid ki chatt tapak padi aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne keechad mein sajdah kiya, aapki paishani aur naak par keechad ka nishaan tha. (Sahih Bukhari Kitabul Aetakaaf Hadees no. 2040, Sahih Muslim Kitabus Siyaam Hadees no. 1167)
Ek dafa Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne badi chataayi par namaz ada ki jo zameen par ziyaadah arsa padhi rehne se siyaah ho gayi thi. (Sahih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 380, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 658)
LAMBA SAJDAH KARNA:
Aam taur par Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka sajdah ruku k barabar hota tha, kabhi kabhi kisi aarza ki bina par ziyaadah lamba karte, ek dafa Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam zohar ya asar ki namaz mein Hazrat Hasan ya Hussain Razi Allahu Anhuma ko uthaye hue tashreef laaye, aap namaz ki imamat k liye aagey badhey aur unhey apne qadam mubarak k qareeb bitha liye, phir aapne namaz shuru ki aur lamba sajdah kiya, jab aapne namaz khatam ki to loogo ne arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ! aapne is namaz mein ek sajdah bahut lamba kiya yaha tak k hamey khayaal guzra k koi waqiya ru-numa ho gaya, ya phir wahi nazil ho rahi hai, aapne farmaya "Aesi koi baat nahi thi bas mera baita meri kamar par sawaar ho gaya to mene ye baat pasand na ki k sajdey se jaldi sar utha kar usey pareshani mein mubtala karu". (Nasaayi Kitabut Tatbeeq Hadees no. 2:229, 230, 1141, ise Imam Hakim 3:627, ibne Khuzaima 1037 ne sahih kaha)
BAHISHT MEIN RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA SAATH:
Hazrat Rabee'a bin Kaab Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein raat guzaarta tha, aapke wuzu ka paani aur aapki (daigar) zarooriyaat (miswaak wagairah) lata tha, (ek raat khush ho kar) Aapne mujhe farmaya "(kuch deen wa dunya ki bhalaayi) maang" mene arz kiya k bahisht mein aapki rifaqat chahta hu aapne farmaya "Uske alawa koi aur cheez?" mene kaha bas yahi! phir aapne farmaya "Pas apni zaat k liye sajdo ki kasrat se meri madad kar". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 489)
Is hadees se maloom hua k zindah buzurgo se mulaqaat k doraan unse dua karwaana jayez hai, is hadees mein ye kahi nahi hai k mein chunkey kul makhlooq ka haajat-rawa aur mushkil-kusha hu lihaza mujhse har qisam ki ghaibi madad maanga karo, iske bar-aks Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam Janab Rabee'a bin kaab Razi Allahu Anhu se madad maang rahe hai k sajdo ki kasrat se meri madad kar.
Jis tarah Ma'alij mareez ko kahe k husool e shifa k liye mein tere liye koshih karta hu aur tu meri hidayaat k mutabiq dawaayi aur parhaiz karne k saath meri madad kar, isi tarah aapne rabee'a ko farmaya k mein tere husool e mad'aa k liye dua se koshih karta hu aur tu sajdo ki kasrat k saath meri koshih mein meri madad kar, isi tarah tujhe bahisht mein meri rifaqat hasil hogi.
Hazrat Sobaan Razi Allahu Anhu ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se jannat mein le jaane wala amal pucha to aapne farmaya "Allah k liye (Pooey khuloos wa huzoor k saath) sajdo ki kasrat laazim kar, pas tere har sajdey k badle Allah ta'ala tera darja buland karega aur uske sabab se gunah (bhi) mita dega". (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 488)
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Monday, 14 September 2015
SAJDAH - NIHAYAT DARJAH QURB E ILAHI
Labels:
SALAAT
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment