RAFULYADAIN
Bismillahirrahmanirraheem
Rafulyadain yaani dono haatho ka uthana namaz mein chaar jagah sabit hai:
1. Shuru namaz mein takbeer e tehrima k waqt
2. ruku se qabl
3. ruku k baad aur
4. teesri rakaat ki ibtida mein
in muqamaat par rafulyadain karne k dala'il darj e zail hai:
1. Hazrat Abdullah bin Jubair Razi Allahu Anhu farmate hai "Mene Hazrat Abu Bakr Siddique Razi Allahu Anhu k pichey namaz padhi wo namaz k shuru mein aur ruku se pehle aur jab ruku se sar uthaate they to apne dono haath (kandho tak) uthaate they aur kehte they k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam bhi namaz k shuru mein, ruku se pehle aur ruku se sar uthaane k baad (isi tarah) rafulyadain karte they". (Behaqui 2: 73, iske raavi siqa hai)
2. Hazrat Umar Farooq Razi Allahu Anhu ne ek martaba loogo ko namaz ka tareeqa batane ka iraadah kiya to qiblah rukh ho kar khade ho gaye aur dono haatho ko kandho tak uthaaya, phir Allahu Akbar kaha, phir ruku kiya aur usi tarah (haatho ko buland) kiya aur ruku se sar utha kar bhi rafulyadain kiya. (Behaqui fil khalaqiyaati war rijaal asnaada marufoon, Nasbur Raaya 1:415, 416)
3. Hazrat Ali Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz k shuru mein, ruku mein jaane se pehle aur ruku se sar uthaane k baad aur do rakaatey padh kar khade hote waqt rafulyadain karte they. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 744, Ibne Maja Hadees no. 864, ise Imam Tirmizi ne Kitabud Dawaat Hadees no. 3423 ne hasan sahih kaha)
4. Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu farmate hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam shuru namaz mein, ruku se pehle aur ruku k baad apne dono haath kandho tak uthaya karte they aur sajdey mein aesa nahi karte they. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 735, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 390)
Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu (khud bhi) shuru namaz mein, ruku se pehle, ruku k baad aur do rakaatey padh kar khade hote waqt rafulyadain karte they aur farmate they k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam bhi isi tarah karte they. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 739, Sahih Muslim Hadees no. 390)
Imam Bukhari Rahimahullah k ustaad Ali bin Madeeni Rahimahullah farmate hai k hadees ibne Umar Razi Allahu Anhu ki bina par musalmaano par rafulyadain karna zaroori hai. (Al Talkheesul Habeer jild 1 Safa no. 218 tabey jadeed, wa hamish sahih bukhari darsi nuskha)
5. Hazrat Malik bin Huwairis Razi Allahu Anhu shuru namaz mein rafulyadain karte, phir jab ruku karte to rafulyadain karte, aur jab ruku se sar uthaate to rafulyadain karte aur ye farmaate they k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam bhi isi tarah kiya karte they. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 737, Sahih Muslim Hadees no. 391)
6. Hazrat Wayel bin Hujar Razi Allahu Anhu farmate hai k mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko dekha, jab aap namaz shuru karte to Allahu Akbar kehte aur apne dono haath uthaate, phir apne haath kapde mein dhaank lete phir daya haath baaye par rakhte, jab ruku karne lagte to kapdo se haath nikaalte, Allahu Akbar kehte aur rafulyadain karte, jab ruku se uthtey to (SAMI ALLAHULIMAN HAMIDAH) kehte aur rafulyadain karte. (Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 401)
Hazrat Wayel bin Hujar Razi Allahu Anhu 9 hijri aur 10 hijri mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas aaye, lihaza sabit hua k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam 10 hijri tak rafulyadain karte they, 11 hijri mein Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne wafaat paayi lihaza iski mansookhi ki koi daleel mojood nahi.
7. Hazrat Abu Humaid Saadi Razi Allahu Anhu ne 10 Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum k ek majmey mein bayan kiya k "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab namaz shuru karte aur jab ruku mein jaate, jab ruku se sar uthaate aur jab do rakaatey padh kar khade hote to rafulyadain karte they, tamaam Sahaba e Kiram Razi Allahu Anhum ne kaha "Tum sach bayan karte ho, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam isi tarah namaz padhte they". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 730, Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 304, Ibne Hibban 5:182 ise Imam Tirmizi ne hasan sahih kaha)
Imam Ibne Khuzaima Rahimahullah is hadees ko riwayat karne k baad farmate hai k mein Muhammad bin Yahya ko ye kehte hue suna k jo shaks hadees e Abu Humaid sun'ne k ba-wajood ruku mein jaate aur us se sar uthaate waqt rafulyadain nahi karta to uski namaz naqis hogi. (Sahih Ibne Khuzaima 1:298, 588)
8. Hazrat Abu Musa Ash'ari Razi Allahu Anhu ne (ek din loogo se) farmaya "Kya mein tumhey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki namaz na batau? ye keh kar unhone namaz padhi jab takbeer e tehrima kahi to rafulyadain kiya, phir jab ruku kiya to rafulyadain kiya aur takbeer kahi aur ruku se sar uthate waqt (SAMI ALLAHULIMAN HAMIDAH) keh kar dono haath (kandho tak) uthaaye phir farmaya "Isi tarah kiya karo". (Daare Qutni 1:292, Hafiz Ibne Hajar ne kaha hai k iske raavi siqa hai, Al Talkhees 1:219)
9. Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam shuru namaz mein ruku se pehle aur ruku k bad apne dono haath (kandho tak) uthaaya karte they. (Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 860, ise Imam Ibne Khuzaima 1:344, Hadees no. 694 ne sahih kaha)
10. Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu jab namaz shuru karte, jab ruku karte aur jab ruku se sar uthaate to rafulyadain karte aur farmaate they k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam bhi isi tarah karte they. (Musnad Siraaj, Ibne Maja Iqamatus Salaat Hadees no. 868, Hafiz ibne Hajar ne kaha hai k iske raavi siqa hai)
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Tuesday, 8 September 2015
RAFULYADAIN
Labels:
SALAAT
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment