TASHAHUD AUR MASLA RAFA E SABBAABA
Bismillahirrahmanirraheem
Hazrat Ibne Umar Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam doosri rakaat k baad (doosre sajdey se uth kar) baaya paao bicha kar us par baithte aur daaya paao khada rakhte, unse kaha gaya aap to aesa nahi karte to farmane lagey mere pao mujhe sahara nahi de sakte. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 827)
MASLA RAFA E SABBAABA
Tashahud mein ungli ka uthana Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki badi ba-barkat aur azmat wali sunnat hai.
Hazrat Ibne Umar Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab namaz (k qaadah) mein baithte to apne dono haath apne dono ghutno par rakhte aur dahiney haath ki tamaam ungliya band kar lete aur apni daahini ungli jo anguthey k nazdeek hai utha lete, pas uske saath dua maangte aur baaya hath baaye ghutne par bicha lete. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 580)
Hazrat Abdullah bin Zubair Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab (namaz mein) tashahud padhne baithte to apna daaya hath daayi aur baaya haath baayi raan par rakhte aur shahadat ki ungli k saath ishaarah karte aur apna angootha apni darmiyaani ungli par rakhte, ek riwayat mein hai k baaya hath baayen ghutne par aur daaya hath daayi raan par rakhte. (Sahih Muslim Hadees no. 579)
Maloom hua k namazi ko rukhsat hai chahey dono haath ghutno par rakkhey chahey raan par.
Hazrat Wayel bin Hujar Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam doosre sajdey se uth kar qaadah mein baithte, do ungliyo ko buland kiya, angoothey aur darmiyan ki badi ungli se halqa banaya aur angasht shahadat (kalmey ki ungli) se ishaarah kiya. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 726, Ise Imam Ibne Hibban 485 aur Ibne Khuzaima 713, 714 ne sahih kaha)
Hazrat Wayel bin Hujar Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ungli uthaayi aur usey hilaate they. (Nasayi Kitabul Iftaah Hadees no. 889, ise Ibne HIbban 485 aur ibne Khuzaima 714 ne sahih kaha)
Sheikh Albaani farmate hai ungli ko harkat na dene wali riwayat shaaz ya munkir hai, lihaza ise Hadees wayel bin Hujar k muqabiley mein lana jayez nahi hai.
Sirf (LA ILAHA ILLALLAH) kehne par ungli uthana aur kehne k baad rakh dena kisi riwayat se sabit nahi hai.
Hazrat Abdullah bin Zubair Razi Allahu Anhu bayan karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki nazar (tashahud mein) unki ungli k ishaarey se tajawuz nahi karti thi. (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 990)
Hazrat Saad Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam mere paas se guzrey aur mein (tashahud mein) do ungliyo se ishaarah kar raha tha, aapne farmaya "Ek ungli se, ek ungli se (ishaarah karo) yaani shahadat ki ungli k saath ishaarah karo". (Nasayi Kitabus Sahu Hadees no. 1273)
TASHAHUD
Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum namaz mein (qaadah k liye) baitho to ye dua padho:
"AT TAHIYAATU LILLAHI WAS SALAWAATU WAT TAYYIBAATU, ASSALAAMU ALAIKA AYYUHAN NABEEYU WA RAHMATULLHI WA BARAKATUHU, ASSALAAMU ALAINA WA ALAA IBADILLAHIS SAALIHEEN, ASH'HADU AN LA ILAHA ILLALLAHU WA ASH'HADU ANNA MUHAMMADAN ABDUHU WA RASOOLUHU"
"(Meri saari) qauli (zubani), badni aur maali ibadat sirf Allah k liye khaas hai, ae Nabi aap par Allah ta'ala ki rahmat, salamati aur barkatey ho aur hum par aur Allah k (doosre) naik bando par (bhi) salamati ho, mein gawahi deta hu k Allah k siwa koi (saccha) mabood nahi hai aur mein gawahi deta hu k Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam Allah k bandey aur Rasool hai" phir jo dua pasand ho wo maang, in kalmaat ko ada karne se har naik bandey ko khawah wo zameen par ho ya aasmaan mein namazi ka salam pahunch jata hai. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 831, Sahih Muslim Kitabus Salaat Hadees no. 402)
Hazrat Abdullh bin Mas'ood Razi Allahu Anhu bayan karte hai k jab tak Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamare darmiyaan mojood rahe hum (ASSALAMU ALAIKA AYYUHAN NABI) kehte rahe, jab aap faut ho gaye to humne khitaab ka saiga chood kar gaayib ka saiga padhna shuru kar diya, yaani phir hum (ASSALAMU ALAN NABI) padhte they. (Sahih Bukhari Kitabul Istazaan Hadees no. 6265)
Pehle jumle ka maana hai: "Ae Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam aap par salamati ho" doosre jumle ka maana hai "Nabi Akaram Sallallahu Alaihi Wa Sallam par salamati ho".
Is se maloom hua k Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko aalim ul ghaib ya hazir nazir nahi samajhte they, wa garna wo (ASSALAAMU ALAIKA AYYUHAN NABI) ki jagah (ASSALAAMU ALAN NABI) na padhte, alfaaz e tashahud (ASSALAAMU ALAIKA AYYUHAN NABI) se shirkiya aqeedah (aapke aalim ul ghaib ya hazir nazir hoone) ki qata'an tayeed nahi hoti, kyunki musalman "ASSALAMU ALAIKA AYYUHAN NABI" is liye nahi balke sunnat ki pairvi ki bina par padhte hai, neez Allah ta'ala apne bando ka salaam Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam tak pahunchate hai. (Abu Dawood Kitabul Manasik Hadees no. 2042)
Jis tarah hum apne khatoot mein ba-saiga khitab ek doosre ko salaam bhajte hai usi tarah hamara salaam bhi Allah ta'ala aap tak pahuncha deta hai, ye salaam chunckey Allah ta'ala ki Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur Sahaba Razi Allahu Anhum se sabit hai is liye ye is Salat o Salaam ki daleel nahi ban sakta jo loog azaan se qabl ya uthte baithte "ASSALAATU WAS SALAAMU ALAIKA YA RASOOLALLAH" ye samajh kar padhte hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamara salam sun rahe hai yaqeenan Sahaba ki pairvi mein kaamyabi hai aur khud-saakhta aamaal bida'at hai gumraahi mein le jaane ka sabab ban sakte hai.
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam darmiyaani tashahud se farigh ho kar khade ho jate they. (Musnad Ahmad ibne Hambal 1:459m 4382 is ki sanad sahih hai) lihaza darmiyaani tashahud mein sirf tashahud kaafi hai, aur agar koi shaks tashahud k baad darood aur dua karna chahey to bhi jayez hai.
Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum do rakaat par baitho to At-Tahhiyaat k baad jo dua ziyaadah pasand ho wo karo". (Nasayi Kitabut Tatbeeq Hadees no. 1163)
Aur dua se pehle darood padhna chahiye, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya jab koi namaz padhey to pehle apne parwardigaar ki badaayi bayan kare, uski tareef kare phir Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam par darood bhejay phir apne liye jo chahey dua maangey. (Abu Dawood Kitabul Witr Hadees no. 1481, Ise Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)
Lihaza darmiyaani tashahud mein tashahud k baad darood aur dua bhi ki ja sakti hai.
Qaada e tashahud se teesri rakaat k liye khade ho to Allahu Akbar kehte hue uthey aur rafulyadain karey, Hazrat Ibne Umar Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam do rakaat padh kar (tashahud k baad) khade hoote to Allahu Akbar kehte aur dono haath uthaate. (Sahih Bukhari Hadees no. 739)
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Monday, 21 September 2015
TASHAHUD AUR MASLA RAFA E SABBAABA
Labels:
SALAAT
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment