JALSA (DO SAJDO K DARMIYAAN BAITHNA) AUR JALSEY KI DUWAYE
Bismillahirrahmanirraheem
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam sajdey se apna sar uthate aur apna baaya pao moodte (yaani bichaate) phir us par baithte, aur seedhey hote yaha tak k har haddi apne thikaane par aa jati (yaani pehle jadey se sar utha kar nihayat aaraam wa itminaan se baith jaate aur duwaye jo aagey aa rahi hai padh kar) phir (doosra) sajdah karte. (Abu Dawood Hadees no. 730, Tirmizi Hadees no. 304)
Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka mamool tha k baithte waqt apna daaya pao khada kar lete. (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 828)
Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k namaz mein sunnat ye hi k daaya pao khada kiya jaye aur uski ungliya qiblah rukh ki jaaye aur baaye pao par baitha jaye. (Nasayi Kitabut Tatbeeq Hadees no. 1158, Ise Imam Ibne Khuzaima aur Imam Ibne Hibban ne sahih kaha)
Aur kabhi kabhi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam apne qadmo aur apni aediyo par baithte, Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se qadmo aur aediyo par baithne k baare mein pucha gaya to aapne farmaya k ye tumhare Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki sunnat hai. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 536)
Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam khud bade itminaan se jalse mein baithte lekin afsoos k aam loog ko jalse ka pata hi nahi k wo kya hota hai, Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka jalsa sajdey k barabar hota tha, kabhi kabhi ziyaadah (dair tak) baithte yaha tak k baaz loog kehte k aap (doosra sajdah karna) bhool gaye. (Sahih Bukhari Hadees no. 821, Sahih Muslim Hadees no. 472)
JALSE KI MASNOON DUWAYE
Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam dono sajdo k darmiyaan (ye) padhte they:
"ALLAHUM MAGFIRLI WARHAMNI WA AAFINI WAHDINI WARZUQNI"
"Ae Allah! mujhe baksh de, mujh par rahma farma, mujhe aafiyat se rakh, mujhe hidayat de aur mujhe roozi ata kar". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 850, Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 284, ise Hakim, Zahbi aur Nawawi ne sahih kaha)
Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam dono sajdo k darmiyaan padha karte they" "RABBIG FIRLI, RABBIG FIRLI" "Ae mere rabb mujhe maaf farma, ae mere rabb mujhe maaf farma". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 874, Ibne Maja Hadees no. 897, Hakim 1:271 aur Zahbi ne sahih kaha)
DOOSRA SAJDAH
Jab aap poorey itminaan se jalse k fara'iz se faarigh ho to phir doosra sajdah karey aur pehle sajdey ki tarah us mein bhi badey khushu wa khuzu aur kaamil itminaan se duwaaye padhey aur phir uthey.
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Thursday, 17 September 2015
JALSA (DO SAJDO K DARMIYAAN BAITHNA) AUR JALSEY KI DUWAYE
Labels:
SALAAT
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment