Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Saturday, 16 May 2015

DUNYA MEIN JANNAT KI BAAZ NAIMATEY

DUNYA MEIN JANNAT KI BAAZ NAIMATEY

Bismillahirrahamanirraheem

HAJRA E ASWAD JANNAT K PATTHAR MEIN SE EK PATTHAR HAI

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Hajra e Aswad jannat se utra hua patthar hai jo k doodh se ziyaadah safaid tha lekin loogo k gunaho ne use siyaah kar diya". (Sunan Tirmizi Abwabul Hajj)


AJWAH (KHAJOOR) JANNAT KA PHAL HAI
MAQAAM E IBRAHEEM JANNAT KA PATTHAR HAI
ZAITOON JANNAT KA DARAKHT HAI

Hazrat Rafey bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ajwah (khajoor) aur chattaan (yaani maqaam e ibraheem) aur darakht (yaani zaitoon) jannat mein se hai". (Mustadrak E Haakim, Tehqeeq e Mustafa Abdul Qadir Darul qutub ilmiya bairoot 4: 226)


RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K HUJRAH E MUBARAK AUR MIMBAR SHAREEF KI DARMIYAANI JAGAH JANNAT KA TUKDA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mere hujre aur mimbar k darmiayan wali jagah jannat k baagon mein se ek baag hai aur mera mimbar mere hooz par waqey hai". (Sahih Bukhari Kitabus Salaat)


MEHANDI JANNAT KI KHUSHBUWON MEIN SE EK KHUSHBOO HAI

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ahle jannat k liye khusbuwon ki sardaar mehandi ki khushboo hai". (Tabraani, Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 1128)


BAKRI JANNAT K JAANWARO MEIN SE EK JAANWAR HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Bakri jannat k jaanwaro mein se hai (uske baadey se) uska reent aur thook wagairah saaf karo aur usme namaz padh lo". (Sunan Behaqui, Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 1430)


WAADI E BUTHAAN JANNAT KI WAADIYO MEIN SE EK WAADI HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Buthaan jannat k talaabo mein se ek talaab par hai". (Bazzaar, Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 769)

Wazahat: Buthaan, Madeena Munawwarah se basti e quba k qareeb ek waadi ka naam hai.

No comments:

Post a Comment