GUSAL KA BAYAN
Bismillahirrahmanirraheem
GUSAL E JANABAT KA TAREEQA:
Gusal e janabat karne wala sabse pehle gusal karne ka iraadah yaani niyat karega
Ummul Momineen Hazrat Maimoona Razi Allahu Anha bayan karti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne gusal ka iraadah farmaya to sabse pehle dono haath dhooye, phir sharm-gaah ko dhooya, phir baaya haath, jis se sharm-gaah ko dhooya tha, zameen par ragda phir usko dhoya phir kulli ki aur naak mein paani dala, phir chehra dhooya, phir kohniyo tak haath dhooye phir sar par paani dala aur baalo ki jadoo tak paani pahunchaya, teen baar sar par paani dala, phir tamaam badan par paani dala, phir jaha aapne gusal kiya tha us jagah se hat kar pao dhooye. (Sahih Bukhari Kitabul Gusal Hadees no. 265, Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 317)
Hazrat Maimoona Razi Allahu Anha farmati hai "mene gusal k baad jism saaf karne k liye Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko kapda diya magar aapne nahi liya". (Sahih Bukhari Hadees no. 266, Sahih Muslim Hadees no. 317)
Hazrat Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah farmate hai "Kisi hadees mein (gusal e janabat ka wuzu karte waqt) sar k masah ka zikr nahi hai". (Fathul Baari Sharah Sahih Bukhari)
Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k gusal e janabat mein wuzu ka zikr karte hue farmate hai k aapne sar ka masah nahi kiya balkey us par paani dala, Imam Nasaayi ne us hadees par ye baab baandha hai "Janabat k wuzu mein sar k masah ko tark karna". (Nasaayi Kitabul Gusal Hadees no. 420, 1:205)
Imam Abu Dawood farmate hai "Mene Imam Ahmad se sawal kiya k junbi jab (gusal se qabl) wuzu kare to kya sar ka masah bhi kare? Aapne farmaya k wo masah kis liye kare jab k wo apne sar par paani dalega".
EK HI BARTAN MEIN MIYAA BEEWI KA IKATTHEY GUSAL KARNA:
Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne kaha "Mein aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ek bartan se nahaate aur dono us se chullu bhar bhar kar lete they". (Sahih Bukhari Kitabul Gusal Hadees no. 273, Sahih Muslim Hadees no. 319)
Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki zooja e mohtarma ne ek lagan se paani le kar gusal kiya, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne lagan mein bachey hue paani se wuzu karna chaaha to unhone arz ki Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mein junbi thi, aapne farmaya "Beshak paani junbi (yaani na-paak) nahi hota". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 68)
GUSAL PARDEY MEIN KARNA CHAHIYE:
Hazrat Ummey Haani Razi Allahu Anha binte Abu Talib se riwayat hai k mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas gayi, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam gusal kar rehey they aur Hazrat Fatima Razi Allahu Anha aap par kapde se pardah kiye hue thi. (Sahih Bukhari Kitabul Gusal Hadees no. 280, Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 336)
GUSAL E JANABAT KA WUZU KAAFI HAI:
Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam gusal (janabat) k baad wuzu nahi karte they. (Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 107, Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 250, Ise Imam Hakim, Zahbi aur Tirmizi ne Sahih kaha)
Yaani gusal k shuru mein wuzu karte they, usko kaaf jaante aur (namaz k liye) dobaarah wuzu nahi farmate they, lekin isme ye ehtayaat zaroori hai k doraan e gusal, sharm-gaah ko haat na lage.
JUMA K DIN GUSAL:
Sayyadna Ibne Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum mein se koi shaks namaz k liye aaye to use gusal karna chahiye". (Sahih Bukhari Hadees no. 877, Sahih Muslim Hadees no. 844)
Sayyadna Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Har musalman par haqq hai k hafte mein ek din (juma ko) gusal kare, us mein apna sar dhooye aur apna badan dhooye". (Sahih Bukhari Kitabul Juma Hadees no. 897, Sahih Muslim Kitabul Juma Hadees no. 849)
Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Juma k din har baaligh musalman par nahaana wajib hai". (Sahih Bukhari Kitabul Juma Hadees no. 879, Sahih Muslim Kitabul Juma Hadees no. 846)
Hazrat Ibne Joozi Rahimahullah farmate hai "Juma k din gusal wajib hai kyunki uski ahadees ziyaadah sahih aur qavi hai, ibne Hazam aur Allama Shokaani Rahimahullah ne bhi isi mazhab ko ikhtiyaar kiya hai".
MAYYAT KO GUSAL DENE WALA GUSAL KARE:
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks murde ko gusal de use chahiye k wo khud bhi nahaaye". (Abu Dawood Kitabul Jana'iz Hadees no. 3161, Tirmizi Kitabul Jana'iz Hadees no. 993, Ibne Maja Hadees no. 1463, Ise Ibne Hibban 751 aur Ibne hazam 2:23 ne sahih kaha)
Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tum par mayyat ko gusal dene se koi gusal wajib nahi kyunki tumhari mayyat taahir marti hai najis nahi, lihaza tumhey haath dhoo lena hi kaafi hai". (Behaqui 1:306, Ise Hakim aur Zahbi ne sahih aur Ibne Hazam ne hasan kaha)
Dono ahadees k milaane se masla ye saabit hua k jo shaks mayyat ko gusal de, uske liye nahana mustahab hai, zaroori nahi, chunanchey Ibne Umar Razi Allahu Anhu farmate hai "Hum mayyat ko gusal dete (phir) hum mein se baaz gusal karte aur baaz na karte". (Behaqui 1:306, Hafiz ibne Hajar ne ise sahih kaha)
NOO-MUSLIM GUSAL KARE:
Hazrat Qais bin Aasim Razi Allahu Anhu se riwayat hai k jab wo musalman hue to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhey hukm diya k paani aur bairi k patto k saath gusal karey. (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 355, Tirmizi Kitabul Juma Hadees no. 605, Ise Imam Noovi ne hasan, Imam Ibne Khuzaima 1:26 Hadees 154-155 aur Ibne Hibban 234 ne sahih kaha)
EIDAYN K ROOZ GUSAL:
Hazrat Nafey Rahimahullah kehte hai k Sayyadna Ibne Umar Razi Allahu Anhu eid ul fitr k rooz gusal kiya karte they. (Muatta Imam Malik Hadees no. 1:17)
Hafiz ibne Abdul Barr Rahimahullah farmate hai k eidayn k din gusal k baare mein Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se koi hadees sabit nahi, Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum ka amal hai, Ahle Ilm ki ek jamaat k nazdeek ye gusal, gusal e juma par qayaas karte hue mustahab hai.
Sayyadna Ali Razi Allahu Anhu ne farmaya "Juma, Arfa, Qurbaani aur Eid ul fitr k din gusal karna chahiye". (Behaqui 3:278)
AHRAAM KA GUSAL:
Hazrat Zaid bin Saabit Razi Allahu Anhu se riwayat hai k hajj ka ahraam baandhte waqt Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne gusal farmaya. (Tirmizi Kitabul Hajj Hadees no. 830, Imam Tirmizi ne ise hasan kaha)
MAKKA MEIN DAKHIL HOONE KA GUSAL:
Sayyadna Ibne Umar Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam makka mein dakhil hoote waqt gusal karte they. (Sahih Bukhari Kitabul Hajj Hadees no. 1573, Sahih Muslim Kitabul Hajj Hadees no. 1259)
MISWAAK KA BAYAN:
Sayyadna Huzaifa Razi Allahu Anhu farmate hai "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab raat ko tahajjud k liye uthte to miswaak karte". (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 245, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 255)
Sayyadna Ibne Abbas Razi Allahu Anhu farmate hai "Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam raat ko har do rakaat k baad miswaak karte". (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 256)
Sayyadna Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Miswaak muh k liye taharat ka sabab aur Allah ki raza-mandi ka zariya hai". (Nasaayi Kitabut Taharah Hadees no. 5, Ise Imam Noovi aur Ibne Hibban ne sahih kaha)
Sayyadna Ummey Salma Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab bhi mere paas Jibraeel Alaihis Salaam aate to mujhe miswaak karne ka hukm karte they mujhe khatrah la haqq hua k mein apne muh ki ungli jaanib na cheer lu". (Behaqui 7: 49, Imam Bukhari ne is hadees ko hasan kaha hai)
Sayyadna Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Aagar mein apni ummat k liye mushkil na jaanta to har namaz se pehle miswaak karne ka hukm deta". (Sahih Bukhari Kitabul Juma Hadees no. 887, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 252)
No comments:
Post a Comment