Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Tuesday, 19 May 2015

JANNAT K TALLUQ SE MUTAFARRIQ MASA'IL

JANNAT K TALLUQ SE MUTAFARRIQ MASA’IL

Bismillahirrahmanirraheem

JANNAT MEIN DAKHILA SIRF ALLAH TA'ALA K FAZAL WA KARAM SE HI MUMKIN HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Koi shaks apne aamaal se jannat mein nahi jayega" arz kiya gaya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! kya aap bhi?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Han mein bhi, albatta ye k mera rabb apni rahmat se mujhe dhaanp le". (Sahih Muslim Kitabus Sifaatul Munafiqeen)


TEEN MARTABA ALLAH TA'ALA SE JANNAT KA SAWAL KARNE WALE K LIYE KHUD JANNAT SIFARISH KARTI HAI

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne teen martaba Allah ta'ala se jannat ka sawal kiya (uske haqq mein) jannat kehti hai "Ya Allah! ise jannat mein dakhil farma aur jo shaks teen martaba aagh se Allah ta'ala ki panaah maangey (uske haqq mein) aagh kehti hai Ya Allah! ise aagh se panaah de". (Sunan Tirmizi Abwabul Jannah)


ALLAH KI RAAH MEIN HIJRAT KARNE WALE MASAKEEN AUR FUQARA E AGNIYAA SE PAANCH SOO SAAL PEHLE JANNAT MEIN JAYENGEY

Hazrat Abu Saeed Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Muhajir fuqara e agniyaa se paanch soo saal qabl jannat mein jayengey". (Sunan Tirmizi Abwabuz Zuhad)


HAR INSAAN KI JANNAT AUR JAHANNAM MEIN JAGAH HOOTI HAI LEKIN JAB KOI AADMI JAHANNAM MEIN CHALA JATA HAI TO USKI JANNAT WALI JAGAH JANNATIYO KO DE DI JAATI HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "tum mein se koi shaks aesa nahi jiske do muqaam na ho ek jannat mein ek jahannam mein lekin jab koi shaks marne k baad jahannam mein chala jata hai to ahle jannat uske jannat wale muqaam k waaris ban jaate hai aur yahi tafseer hai Allah ta'ala k qaul "ULAIKA HUMUL WAARISOON" ki yaani ye loog hai (jannat k) waaris (Surah Momineen Ayat no. 10)". (Sunan Ibne Maja Kitabuz Zuhad)


JAHANNAM MEIN JAANE K BAAB NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI SHIFA'AT PAR JAHANNAM SE NIKAL KAR JANNAT MEIN DAKHIL HOONE WALE LOOGO KO JANANTI LOOG "JAHANNAMI" K NAAM SE PUKAARENGEY

Hazrat Imran bin Hussain Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kuch loog Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki sifarish se aagh se nikaale jayengey aur jannat mein dakhil kiye jayengey loog unhey "Jahannami" k naam se pukaarengey". (Sahih Bukhari Kitabuz Zikr wa Dua)

Wazahat: Jahannami, taana k taur par nahi kaha jayega balke Allah ka fazal yaad dilaane k liye kaha jayega jisne unhey apne fazal wa karam se jahannam se nijaat dilaayi takey wo Allah ta'ala k ziyaadah shukar guzaar baney.


JANNATI AADMI KI ROOH QAYAMAT SE PEHLE JANNAT MEIN PAHUNCH JAATI HAI

Hazrat Abdur Rahan bin Kaab Ansari Razi Allahu Anhu se riwayat hai k unke baap Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki hadees bayan karte they k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Momin ki rooh (marne k baad) jannat k darakhato par udhti phirti hai yaha tak k jis rooz murde uthaaye jayengey us rooz wo apne jism mein loota di jayegi". (Sunan Ibne Maja Kitabuz Zuhad)


MOMIN KO ALLAH KI RAHMAT KA UMMEEDWAAR AUR USKE AZAAB SE HAMESHA KHAYIF REHNA CHAHIYE

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai "Agar kafir ko maloom ho jaye k Allah ta'ala ki rahmat kis qadr waseey hai to wo jannat se kabhi mayoos na ho aur agar momin ko maloom ho jaye k Allah ta'ala k han kya kya azaab hai to wo kabhi jahannam se be-khauf na ho". (Sahih Bukhari Kitabur Riqaaq)

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek qareebul marg nojawaan k paas tashreef le gaye aur pucha "Tum kya mehsoos karte ho?" usne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Allah ki qasam! darta bhi hu aur Allah ta'ala ki rahmat se ummeed bhi hu" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "us moqey par jab kisi k dil mein khauf aur ummeed jama hoote hai, to Allah ta'ala hasb e ummeed fazal wa karam karte hai aur hasb e khauf mehfooz wa mamoon rakhte hai". (Sahih Jamey Tirmizi Hadees no. 696)


MUSHRIKEEN K FAUT HOONE WALE NA-BAALIGH BACCHO KA MAAMLA ALLAH BEHTAR JAANTA HAI

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se mushrikeen ki (faut hoone wali na-baaligh) aulaad k baare mein sawal kiya gaya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Allah khoob jaanta hai k wo (bade ho kar) kya amal karte". (Mukhtasar Sahih Bukhari Hadees no. 696)


MUSALMAANO K FAUT SUDAH NA-BAALIGH BACCHO KI PARWARISH JANNAT MEIN HAZRAT IBRAHEEM ALAIHIS SALAAM AUR HAZARAT SAARA ALAIHIS SALAAM KARTE HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Musalmano k bacchey (faut hoone k baad) jannat mein parwarish paate hai Hazrat Ibraheem Alaihis Salaam aur unki beewi Hazrat Saara Alaihis Salaam unki nigehdaasht farmaate hai hatta k qayamat k rooz wo unhey unke waledayn k supurd kar dengey". (Ibne Asakir Kitabuz Zuhad)


JANNAT AUR USKI NAIMATEY ALLAH TA'ALA K FAZAL WA KARAM AUR RAHAM KI ALAMAT HAI
JAHANNAM AUR USKI TAKLEEFAEY ALLAH TA'ALA K AZAAB KI ALAMAT HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jannat aur jahannam ne aapas mein behas ki aagh ne kaha mere andar mutakabbir aur jabir loog dakhil hongey jannat ne kaha mere andar sirf zaeef loog hi aayenge, girey padey aajiz loog, tab Allah ta'ala ne jannat se farmaya tu meri rahmat hai mein apne bando se jis par chahunga tere zariye raham karunga aur jahannam se kaha tu mera azaab hai apne bando mein se jise chahunga tere zariye azaab dunga, aur tum bhari jaogi, (Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya) jahannam loogo se to bhar sakegi albatta Allah ta'ala uske uper apna qadam mubarak rakkhengey tab wo kahegi bas! bas! aur bhar jayegi, uska ek hissa doosre par simat jayega". (Sahih Muslim Kitabul Jannah wa Sifatun Naemaha)


HAR JANNATI JANNAT MEIN APNE MAHAL KO DUNYA K MAKAAN SE BEHTAR PEHCHAANTA HOGA
JANNAT MEIN DAKHIL HONE SE PEHLE SABKO EK DOOSRE K HUQOOQ ADA KARNE PADENGEY

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab Ahle emaan jahannam k uper (rakkhey hue pul siraat) se guzar jayengey to jannat aur jahannam k darmiyaan ek pul k uper rook liye jayengey aur dunya mein loogo ne ek doosre par jo zulm kiye hongey unka badla chukaya jayega jab saare ahle emaan paak saaf ho jayengey to phir unhey jannat mein jaane ki ijazat di jayegi qasam hai us zaat ki jiske haath mein meri jaan hai har jannati jannat mein apni jagah se dunya ki jagah k muqabiley mein ziyaadah aasaana hoga". (Sahih Bukhari Kitabul Mazalim)


JANNAT MEIN AHLE EMAAN KI AULAADEY AGAR DARJA MEIN KAM HONGI TO ALLAH TA'ALA APNE FAZAL WA KARAM SE UNKI AULAAD KA DARJA BADHA KAR UNKE WALEDAYN K BARABAR KAR DENGEY TAKEY AHLE EMAAN K WALEDAYN KI AANKHEY THANDI HO

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah ta'ala ahle emaan ki aulaado k darjaat ko buland farma dengey khawah unke amal un darjaat wale na hi ho takey us se ahle emaan ki aankho ko qaraar hasil ho phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye aayeat tilawat farmayi "wo loog jo emaan laaye aur unki aulaad ne bhi kisi darja emaan mein unki pairvi ki unki aulaad ko bhi hum un (k waledayn) k saath mila dengey aur waledayn k amal se koi cheez kam na karengey (Surah Toor Ayat no. 21) phir Aapne irshad farmaya "Waledayn k saath unki aulaado ko milaane k auz mein hum unke waledayn ki naimato se koi cheez kam nahi karengey". (Bazzaar, Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 2490)


JIS SHAKS K DIL MEIN RAAYI K BARABAR EMAAN HOGA BIL AAKHIR ALLAH TA'ALA APNI RAHMAT SE USE BHI JAHANNAM SE NIKAAL KAR JANNAT MEIN DAKHIL FARMA DENGEY

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis shaks ne "LA ILAHA ILLALLAH" kaha aur uske dil mein joo k barabar bhalaayi hui wo bhi jahannam se nijaat paa jayega (aur jannat mein dakhil ho jayega) phir jisne "LA ILAHA ILLALLAH" kaha aur uske dil mein gaihu barabar bhalaayi hui wo bhi jahannam se nikal ayega, phir jisne "LA ILAHA ILLALLAH" kaha aur uske dil mein zarrah barabar bhalaayi hui wo bhi jahannam se nikal aayengey". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)

No comments:

Post a Comment