JANNAT MEIN DAKHIL HOONE WALE LOOG PART 3 OF 3
Bismillahirrahmanirraheem
SHARIYAT KI HALAAL KARDAH CHEEZO KO HALAAL AUR HARAAM KARDAH CHEEZO KO HARAAM JAAN'NE WALA YAANI UN PAR AMAL KARE WALA JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek aadmi ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se sawaal kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam agar mein farz namazey ada karu, ramazaan k roozey rakkhu (shariyat ki) halaal kardah cheezo ko halaal jaanu aur haraam kardah cheezo ko haraam jaanu lekin us se ziyaadah kuch na karu, to kya mein jannat mein chala jaunga?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "han". (Sahih Muslim Kitabul Emaan)
DO NA-BAALIGH BACCHO K FAUT HONE PAR SABR KARNE WALE WALEDAYN JANNAT MEIN JAYENGEY
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ansaar ki aurato se farmaya "Tum mein jiske teen bacche faut ho jaye aur wo Allah ki raza k liye sabr kare to jannat mein jayegi ek aurat ne arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! agar do bacche mare to uske liye kya hukm hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Agar do mare tab bhi yahi sawab hai". (Sahih Muslim Kitabul Birr Wa Silah)
HAR NAMAZ K BAAD AAYATAL KURSI PADHNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Abu Umama Razi Allahu Anahu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne har namaz k baad aayatal kursi padhi use maut k siwa koi cheez jannat mein jaane se nahi rook sakti". (Tabraani, Ibne Hibban, Sunan Nasaayi, Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 972)
"LA HAULA WA KUWWATA ILLAH BILLAH" KA KASRAT SE WAZEEFA KARNE WALA JANANT MEIN JAYEGA
Hazrat Abu Zarr Razi Allahu Anhu kehte hai k mujhe Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kya mein tujhe jannat k khazaano mein se ek khazaane k baare mein aagaah na karu? mene arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam zaroor aagaah farmaiye" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "LA HAULA WALA KUWWATA ILLAH BILLAH"(Tarjuma: Naiki karne aur buraayi se bachne ki taaqat Allah ki tofeeq k bagair nahi)". (Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 3083)
"SUBHANALLAHI WA BI HAMDIHI" KA WAZEEFA KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne "SUBHANALLAHI WA BI HAMDIHI"(Tarjuma: Azmat wala Allah apni hamd k saath paak hai) kaha uske liye jannat mein khajoor ka ek darakht lagaaya jata hai". (Sahih Jamey Tirmizi Hadees no. 2757)
JO SHAKS APNE MAAL KI WAJAH SE BE-GUNAH QATAL KIYA GAYA WO JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Abdullah bin Umar wa bin Aas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks zulm k saath apne maal ki wajah se qatal kiya gaya uske liye jannat hai". (Sunan Nasaayi Kitabul Tahreemud Damm)
JIS AURAT NE HAMAL SAAQIT HONE PAR SABR KIYA WO JANNAT MEIN JAYEGI
Hazrat Muawiyah bin Jabal Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Us zaat ki qasam jiske haath mein meri jaan hai saaqit hamal baccha apni maa ko ungli se pakad kar jannat mein le jayega ba-shart k usne sawaab ki niyat se sabr kiya ho". (Sunan Ibne Maja Kitabul Jana'iz)
HAQQ K MUTABIQ FAISLA KARNE WALA QAAZI JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Bureedah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Do qaazi jahannam mein jayengey aur ek qaazi jannat mein jayega, wo qaazi jisne haqq pehchana aur uske mutabiq faisla kiya wo jannat mein jayega aur wo qaazi jisne haqq pehchana aur jaante boojhte zulm kiya (yaani faisla haqq k khilaf kiya) aur wo qaazi jisne ilm (tehqeeq) k bagair faisla kiya dono jahannam mein jayenge". (Mustadrak E Haakim, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 1474)
KISI MUSALMAN BHAI KI ADM MOJOODGI MEIN USKI IZZAT KA DIFA KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Asma bintey Yazeed Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne kisi bhai ki adm mojoodgi mein uski izzat se buraayi ko door kiya Allah par uska haqq hai k wo use aagh se aazaad kare". (Musnad Ahmad, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 6116)
KISI SE SAWAAL NA KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Sobaan Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks mujhe is baat ki zamanat de k wo kisi se sawaal nahi karega mein use jannat ki zamanat deta hu". (Sunan Abu Dawood Kitabuz Zakaat)
GUSSA PEENE WALA JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Abu Dardah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Gussa na kar tere liye jannat hai". (Tabraani, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 7351)
SUBAH AUR FAJAR KI NAMAZ BA-QAIDAGI SE ADA KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Abu Bakr bin Moosa Ash'ari Razi Allahu Anhu apne baap se riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne thande waqt ki do namazey padhi wo jannat mein dakhil hua". (Sahih Muslim Kitabus Salaat)
ZUHAR SE QABL CHAAR RAKAAT SUNNAT PAR MUDAWAMAT IKHTIYAAR KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Ummey Habeeba Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne zuhar se pehle chaar rakaat ada ki Allah ta'ala us bande k liye jahannam ki aagh haraam kar dengey". (Sunan Tirmizi Kitabus Salaat)
MUSALSAL CHALEES ROOZ TAK TAKBEER E AULA K SAATH PANCHO NAMAZEY PADHNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne chalees din tak (paancho namazey) takbeer e aula k saath ba-jamaat ada ki uske liye do cheezo se aazaadi likhi jaati hai aagh se aur nifaaq se". (Sunan Tirmizi Abwabus Salaat)
DARJ E ZAIL SAAT AADMI JANNAT MEIN JAYENGEY
1. AADIL HAKIM, 2. JAWANI KI UMAR MEIN IBADAT KI RAGBAT RAKHNE WALA, 3. ZIYAADAH WAQT MASJID MEIN GUZAARNE WALA, 4. ALLAH K LIYE DOOSRE SE MUHABBAT KARNE WALA, 5. TANHAAYI MEIN ALLAH K DARR SE ROONE WALA, 6. ALLAH K DARR SE HASEEN WA JAMEEL AURAT KI DAWAT E GUNAH SE RUKNE WALA, 7. ALLAH KI RAAH MEIN KHUFYA KHARCH KARNE WALA
Hazrat Abu Saeed Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis rooz koi saaya nahi hoga us rooz Allah ta'ala saat aadmiyo ko apne (arsh) k saaye taley jagah dega:
1. Aadil hakim,
2. Allah ki ibadat mein mashgool nojawan
3. Wo shaks jiska dil masjid se nikalne k baad wapas aane tak masjid mein latka rahe
4. Allah k liye ek doosre se muhabbat karne wale jinka milna aur alag hona khalis Allah k liye hi ho
5. Wo shaks jisne tanhaayi mein Allah ko yaad kiya aur uski aankho se aansu beh nikle
6. Wo shaks jiske unchey khandaan ki khoobsurat aurat ne dawat e gunah di aur usne kaha "Mein Allah azz wa jall se darta hu"
7. Wo shaks jisne is tarah chipa kar sadqa kiya k baaye haath tak ko pata na chale k daaye ne sadqa kiya hai". (Sunan Tirmizi Kitabuz Zuhad)
DOOSRO KO MAAF KARNE WALA JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Muaaz bin Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks intaqaam lene par poori tarah qadir tha lekin (intaqaam na liya aur) gussa pee gaya (qayamat k din) Allah ta'ala use saari makhlooq k saamne bulayenge aur use hoor e aaeyn muntakhab karne ka ikhtiyaar diya jayega k jis se chaahe nikah karle". (Musnad Ahmad, Sahih Jamey Sageer Hadees no. 6394)
TAKABBUR, KHAYANAT, QARZ SE PAAK SHAKS JANNAT MEIN JAYEGA
Hazrat Sobaan Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks takabbur, khayanat aur qarz se paak mara wo jannat mein dakhil hoga". (Sunan Tirmizi Baab Galool)
AZAAN KA JAWAB DENE WALA JANNAT MEIN DAKHIL HOGA
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they Hazrat Bilaal Razi Allahu Anhu khade hue aur azaan di jab Hazrat Bilaal Razi Allahu Anhu khamoosh hue to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Jisne mu'azzin jese kalmaat yaqeen k saath dohraaye wo jannat mein dakhil hoga". (Sunan Nasaayi Kitabul Azaan)
The End.
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Wednesday, 13 May 2015
JANNAT MEIN DAKHIL HOONE WALE LOOG PART 3 OF 3
Labels:
JANNAT
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment