Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Saturday, 30 May 2015

WUZU KA BAYAN

WUZU KA BAYAN

Bismillahirrahmanirraheem

Allah ta'ala farmata hai: "Ae emaan walo! jab tum namaz k liye khade ho to apne chehro ko aur haatho ko kohniyo tak dhoo aur apne sar ka masah karo aur takhno tak apne pao dhoo". (Surah Maida Ayat no. 6)


MASNOON WUZU SE GUNAHO KI BAKHSHISH:

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis waqt bandah momin wuzu shuru karta hai phir kulli karta hai to uske muh k gunah nikal (jhad) jaate hai, phir jis waqt naak jhaadta hai uske naak k gunah nikal jaate hai, phir jis waqt chehra dhoota hai uske chehrey k gunah nikal jaate hai, yaha tak k uski aankho ki palko k nichey se bhi gunah nikal jaate hai, chehra dhoote waqqt gunah daadhi k kinaaro se bhi girte hai aur jis waqt wo haath dhoota hai to uske dono haatho se gunah nikal jaate hai yaha tak k dono haatho k nakoonu k nichey se bhi nikal jaate hai, phir jis waqt masah karta hai uske sar se gunah nikal jaate hai, yaha tak k dono kaano se bhi gunah nikal jaate hai, phir jis waqt pao dhoota hai to uske dono paao se gunah nikal jaate hai, yaha tak k dono pao k nakhoono k nichey se bhi nikal jaate hai, yaha tak k wo sab gunaho se paak saaf ho kar nikalta hai". (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 244)

Ek shaks ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha k aap apni ummat ko (maidaan e hashr mein) doosri ummato k (be-shumaar loogo k) darmiyaan kis tarah pehchanengey? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya mere ummati wuzu k asar se safaid (noorani) chehre aur safaid (noorani) haath pao wale hongey, is tarah unke siwa koi nahi hoga. (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 247)


WUZU SE BULAND DARJAAT:

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Taharat aadha emaan hai". (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 223)

Sayyadna Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mene apne dost Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye farmate hue suna "(jannat mein) momin ka zaivar waha tak pahunchega jaha tak wuzu ka paani pahunchega". (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 250)

Rasool Allah  ne farmaya "Kya mein tumhey wo cheez na batau k jiske sabab Allah ta'ala gunaho ko door aur darjaat ko buland karta hai?" Sahaba Razi Allahu Anhum ne arz kiya, Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam irshad farmaiye, Aapne farmaya "Mashakkat (beemari ya sardi) k waqt kaamil aur sawaar kar wuzu karna, kasrat se masjido ki taraf jana aur namaz k baad namaz ka intazaar karna gunaho ko door aur darjaat ko buland karta hai". (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 251)


NEEND SE JAAG KAR PEHLE HAATH DHOIYE:

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum neend se jaago to apna haath paani k bartan mein na daalo jab tak k usko (teen baar) na dhoolo kyunki tum nahi jaante k us haath ne raat kaha guzaari hai". (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 162, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 678)


TEEN BAAR NAAK JHAADEY:

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum neend se baidaar ho phir wuzu ka iraadah karo to (paani chadha kar) teen baar naak jhaado kyunki shaitaan naak k baansey mein raat guzaarta hai". (Sahih Bukhari Kitabul Badd ul Khalq Hadees no. 3295, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 238)

Soone wale k naak k baansey mein shaitan k raat guzaarne ki asliyat aur haqeeqat Allah hi behtar jaanta hai, hamara farz emaan lana hai k waqae shaitan raat guzaarta hai.


MASNOON WUZU KI MUKAMMAL TARTEEB:

1. Wuzu karne se pehle dil mein wuzu karne ki niyat karey.

2. Wuzu k shuru mein "BISMILLAH" zaroor padhni chahiye kyunki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum se farmaya "BISMILLAH" keh kar wuzu karo. (Nasaayi Kitabut Taharah Hadees no. 78, Ibne Khuzaima Hadees no. 144)

Wazey rahe k wuzu ki ibtida k waqt sirf "BISMILLAH" kehna chahiye "AR-RAHMAN-NIR-RAHEEM" k alfaaz ka izaafa sunnat se saabit nahi.

Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks wuzu k shuru mein "BISMILLAH" nahi kehta uska wuzu nahi". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 101, Hafiz Munzari wagairah ne shawahid ki bina par hasan kaha)

Agar "BISMILLAH" bhool gayi aur wuzu k doraan yaad aayi to fauran padh le wuzu dobaara karne ki zaroorat nahi kyunki bhool maaf hai.

3. Hazrat Ummey Ateeya Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Zainab Razi Allahu Anha ko gusal dene waliyo se kaha dahini taraf se aur wuzu k muqaamo se unka gusal shuru karo. (Sahih Bukhari Hadees no. 167, Sahih Muslim Hadees no. 939)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jooti pehan'ne, kanghi karne, taharat karne aur garz tamaam kaamo mein daayi taraf se shuru karna pasand farmaate. (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 168, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 268)

4. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dono haath kohniyo tak teen baar dhooye. (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 159, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 226)

5. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Wuzu mukammal karo aur haatho ko dhoote waqt haatho ki ungliyo k darmiyaan khalal karo, aur naak mein paani chadhane mein mubaalagha karo illa ye k tum rooza-daar ho". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 146, Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 38, Ise Tirmizi, Hakim (1:147-148) aur Noovi ne sahih kaha)

6. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek chulllu le kar aadhey se kulli ki aur aadha naak mein daala aur naak ko baaye haath se jhaada, ye amal teen dafa kiya. (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 191, 199, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 235)

7. Phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne teen baar muh dhooya. (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 185, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 235)

8. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam daadhi ka khalaal karte they. (Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 31, Iben Hibban aur Ibne Khuzaima ne sahih kaha)

9. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne daaya haath kohni tak teen baar dhooya phir baaya haath kohni tak teen baar dhooya. (Sahih Bukhari Kitabus Soum Hadees no. 1934, Sahih Muslim Hadees no. 226)

10. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne sar ka masah kiya, dono haath sar k agle hisse se shuru kaar k gardan tak pichey le gaye, phir pichey se aagey usi jagah le aaye jaha se masah shuru kiya tha. (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 185, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 235)

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne sar ka ek dafa masah kiya. (Sahih Bukhari Hadees no. 186, Sahih Muslim Hadees no. 235)

11. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne kaano ka masah kiya shahadat ki ungliya dono kaano k suraakho mein daal kar kaano ki pusht par angootho k saath masah kiya. (Ibne Maja Kitabut Taharah Hadees no. 439, Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 36, Ise Ibne Khuzaima (1:77 Hadees 148) ne sahih kaha)

12. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne daaya pao takhno tak teen baar dhoya aur baaya pao bhi takhno tak teen baar dhoya. (Sahih Bukhari Kitabus Saum Hadees no. 1934, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 226)

13. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k jab wuzu karo to haatho aur pao ki ungliyo ka khalaal karo. (Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 39, Ibne Maja Kitabut Taharah Hadees no. 447, Ise Tirmizi ne hasan kaha)

Hazrat Mastoorad bin Shaddaad Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko wuzu karte hue dekha k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam apne pao ki ungliyo ka khalaal haath ki chooti ungli se kar rahe they. (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 148, Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 40, Imam Malik ne hasan kaha)

14. Hakam bin Sufyaan Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab paishab karke wuzu karte to apni sharm-gaah par paani ka cheenta dete. (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 166, Nasaayi Kitabut Taharah Hadees no. 135)

15. Wuzu karte hue aazaa k dhoone mein tarteeb qaayam rakhna wajib hai aur wuzu ek hi waqt mein kiya jaaye aazaa k dhoone mein waqfa aur taakheer na ho.

16. Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya "K Agar zakham par patti bandhi hui ho to wuzu karte waqt patti par masah karle aur ird gird ko dhoo le". (Behaqui 1:228, Imam Behaqui ne ise hasan kaha)


TANBIHAAT:

1. Kulli aur naak mein paani daalne k liye alag alag paani lene ka zikr jis hadees mein hai use (Abu Dawood Hadees no. 139) Imam Noovi aur Hafiz ibne Hajar ne zaeef kaha hai, Imam Noovi aur Imam Ibne Qayyam farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k wuzu ka tareeqa ek chullu se aadha paani muh mein aur aadha naak mein daalna hai.

2. Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kaano ka talluq sar se hai "(Daare Qutni 1:98 Ise Ibne Joozi Rahimahullah wagairah ne sahih kaha hai) iska matlab ye hai k kaano k liye naaye paani ki zaroorat nahi, kaano k masah k liye naya paani lene wali riwayat ko Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne shaaz kaha hai"

3. Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah farmate hai k k (guddi k nichey) gardan k (alag) masah k baare mein qata'an koi sahih hadees nahi, gardan k masah ki riwayat k mutalliq Imam Noovi farmate hai "Ye Hdees Bil-ittefaaq zaeef hai". (Majmua E Fatawa 21:127, Zadul Maad 1:195, Al Majmua 1:489)

No comments:

Post a Comment