Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday, 22 May 2015

TAHARAT KA BAYAN

TAHARAT KA BAYAN

 

Bismillahirrahmanirraheem

PAANI K AHKAAM

Namaz k liye wuzu shart hai, wuzu k bagair namaz nahi hoti, isi tarah wuzu k liye paani ka paak hona shart hai.

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se sawal kiya gaya "Kya hum baza'a k kuwey se wuzu kar sakte hai? ye ek aesa kuwa hai jisme badbudaar cheezey phenki jaati hai (baza'a ka kuwa dhalwaan par tha aur barish wagairah ka paani un cheezo ko baha kar kuwey mein le jata tha) Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Paani paak hai (aur usme doosri cheezo ko paak karne ki salahiyat hai) usey koi cheez na-paak nahi kar sakti". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 66, Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 66 ise Tirmizi ne hasan jabke imam Ahmad bin Hambal, Yahya bin Maeen, ibne Hazam, Noovi Rahimahullah ne sahih kaha)

Maloom hua k kuwey ka paani paak hai

Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Daryaai aur samundari paani paak karne wala hai, aur uska murdaar halaal hai". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 83, Tirmizi Kitabut Taharah hadees no. 69, is hadees ko Tirmizi, Hakim (1:140-141), Imam Zahbi aur Noovi (Al majmua 1:82) ne sahih kaha)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Junbi thehrey hue paani mein gusal na kare, Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se pucha gaya k phir wo kya kare? farmaya "Zaroorat ka paani le kar (bahar gusal) kare". (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 282)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne khade paani mein paishab karne aur phir gusal karne se mana farmaya hai. (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 239, Sahih Muslim Hadees no. 282)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne khade paani mein paishab karne aur phir us se wuzu karne se mana farmaya hai. (Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 68 ise Tirmizi ne hasan kaha, iske rijaal Muttafiqun Alaih hai dekhiye: Saheefa Hammaam ibne Munabbey)


RAFA E HAAJAT K AADAAB

Baitul Khula mein jaate waqt ki dua:

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab rafa e haajat k liye baitul khula mein dakhil hoone ka iraadah karte to farmate: "ALLAHUMMA INNI AAUZUBIKA MINAL KHUBUSI WAL KHABA'IS" "Ae Allah! tehqeeq mein teri panah pakadta hu narr aur maada na-paak cheezo k sharr se". (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 142, Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 375)

Zaid bin Arkam Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Baitul Khula jinno aur shaitaano k hazir hoone ki jagah hai jab tum baitul khula mein jao to kaho "AAUZU BILLAHI MINAL KHUBUSI WAL KHABAAA'IS" "Mein Allah ki panah leta hu, narr aur maada khabees jinno (k sharr) se". (Abu Dawood Hadees no. 6, Ibne Maja Hadees no. 296, Ibne Hibban, Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)


Baitul Khula se nikalte waqt ki dua:

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha riwayat karti hai: jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam baitul khula se nikalte to farmate: "GUFRAANAKA" "Ae Allah mein tujh se bakhshish chahta hu". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 30, Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 7, Ibne Maja Kitabut Tahrah Hadees no. 300, isko Hakim (1:158) Zahbi aur Noovi ne sahih kaha)


RAFA E HAAJAT K MASA'IL

Hazrat Abu Ayyub Razi Allahu Anhu se riwayat hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab tum qaza e haajat ko aao to qible ki taraf muh karo na peeth". (Shaih Bukhari Kitabus Salaat Hadees no. 394, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 264, 265)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Do laanat ka sabab banne wale kaamo se bacho" Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne pucha wo kya hai? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Loogo k raaste mein aur saaya-daar darakhato k nichey rafa e haajat karna". (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 269)

Hazrat Abu Qatadah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Rahamat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tum mein se koi paishab karte hue daaye haath se sharm-gaah ko na pakde aur na hi daaye haath se istanja kare". (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 153, 154, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 247)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo koi mitti k dhailo se istanja kare wo taaq dhaile le". (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 162, Sahih Muslim Hadees no. 237)

Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne teen (Dhailo) se istanaja karne ka hukm diya. (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 8, Nasaayi Hadees no. 40, Ise Imam Daare Qutni aur Noovi ne sahih kaha)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne teen dhailo se kam k saath istanja karne se aur goobar aur haddi k saath istanja karne se mana farmaya. (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 262)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab rafa e haajat ko jaate to (itni door ja kar) baith te k koi aapko na dekh sakta. (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 1,2)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam amooman baith kar paishab karte they jesa k Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k "Jo shaks tumhey bayan kare k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam khade ho kar paishab karte they usko saccha na jaano, aap baith kar hi paishab karte they". (Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 12)

Agarchey kisi uzr ki bina kar khade ho kar paishab karne ki gunja'ish bhi hai

Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu bayan karte hai k "Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam qaum k koodey karkat ki jagah par aaye aur aapne khade ho kar paishab kiya". (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 224, Sahih Muslim Hadees no. 273)


Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam paani k saath istanja farmate they

Hazrat Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu bayan karte hai k jab ye aayat nazil hui "(FEEHI RIJALUI YUHIBBOONA AY’YATATAH HARU WALLAHU YUHIBBUL MUTATAH HIREEN) (Unme aese mard hai jo pasand karte hai k khoob paak rahe, Allah ta'ala paak rehne walo se muhabbat karta hai) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Ae Ansaar! Allah ta'ala ne paakizagi ki wajah se tumhari tareef ki hai, tum kese taharat karte ho?" unhone kaha k hum har namaz k liye wuzu karte hai, janabat ka gusal karte hai aur paani k saath istanja karte hai". (Ibne Maja Hadees no. 355)

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam paishab kar rahe they k ek aadmi ne aapko salaam kiya magar aapne uska jawab na diya. (Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 370)

is hadees se maloom hua k rafa e haajat ki haalat mein kalaam karna mana hai

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne gusal-khaane mein paishab karne se mana farmaya. (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 27,28, ise Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai "Jab Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam baitul khula jaate mein ek bartan mein paani lata aap us se istanja kiya karte they phir apna haath zameen par malte phir ek aur bartan mein paani lata phir aap wuzu kiya karte they". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 45, Ibne Hibban ne ise sahih kaha)

Maloom hua k istanja aur wuzu ka bartan alhaidah hona chahiye aur taharat k baad haath mitii ya saabun se dhona chahiye takey haath mein badboo na rahe.

Hazrat Abdullah bin Arqam Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jis shaks ko rafa e haajat ki talab ho aur jama'at khadi ho gayi ho to pehle wo haajat se faragat paaye phir namaz padhey". (Abu Dawood Kitabut Tahrah Hadees no. 88, Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 142, ise Imam Tirmizi, Hakim (1:168) aur Zahbi na sahih kaha)


PAISHAB K CHEENTO SE BACHNE KI SAKHT TAKEED

Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam do qabro k paas se guzrey to farmaya "un dono qabr walo ko azaab ho raha hai aur ba'as e azaab koi badi cheez nahi unme se ek paishab k cheento se nahi bachta tha aur doosra chugal-khoor tha". (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 216, Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 292)

Is hadees se maloom hua k paishab k cheento se sakht parhaiz karna chahiye, wo loog jo paishab karte waqt cheento se parhaiz nahi karte apne kapdo ko nahi bachaate paishab kiye bagair fauran khade ho jaate hai, unke pajaamey, patloon aur jism wagairah paishab se aaloodah ho jaate hai unhey maloom hona chahiye k paishab se na bachna ba'as e azaab aur gunaah hai.

No comments:

Post a Comment