AUQAAT E NAMAZ
Bismillahirrahmanirrahemm
"INNAS SALAATA KANAT ALAL MUMINEENA KITABAM MAUQOOTA" "Baishak momino par namaz uske muqarrarah auqaat par farz ki gayi hai". (Surah Nisa Ayat no. 103)
NAMAZ E PANJGAANA K AUQAAT
Hazrat Bureedah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek aadmi ne Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se namaz k auqaat puchey, Aapne farmaya "In do dino mein hamare saath namaz padho", Jab Suraj ka zawaal hua to Aapne Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu ko zuhar ki azaan kehne ka hukm diya, asar ki namaz ka hukm diya jab suraj buland, safaid aur saaf tha, magrib ki namaz ka hukm diya jab suraj guroob hua, isha ki namaz ka hukm diya jab surkhi gayib hui aur fajar ki namaz ka hukm diya jab fajar tulu hui (yaani pancho namazo ko unke awwal waqto mein padhaya) doosre din Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu ko hukm diya k zuhar ki namaz acchi tarah thandi (kar) aur asar ki namaz padhi jabkey suraj buland tha, aur is (awwal) waqt se takheer ki jo uske liye (pehle din) tha, magrib ki namaz shafq (suraj ki surkhi) gayib hoone se pehle padhi aur isha ki namaz ek tihaayi raat guzarne par padhi, fajar ki namaz (subah) roshan karke padhi (yaani namazo ko unke aakhiri auqaat mein padhaaya) aur farmaya "Tumhari namaz k auqaat un do waqto k darmiyaan hai jisko tumne dekha". (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 613)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Namaz e zuhar ka waqt suraj dhalne se shuru hota hai aur (us waqt tak rehta hai) jab tak aadmi ka saaya uske qadd k barabar na ho jaye (yaani asar k waqt tak) aur namaz e asar ka waqt us waqt tak hai jab tak aaftaab zard na ho jaye, namaz e magrib ka waqt us waqt tak hai jab tak shafq (suraj ki surkhi) gayib na ho jaye, namaz e isha ka waqt theek aadhi raat tak hai aur namaz e fajar ka waqt tulu e fajar se le kar us waqt tak hai jab tak aaftaab tulu na ho". (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 612)
NAMAZ E FAJAR ANDHEREY MEIN
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab namaz e fajar padhte they, auratey (masjid se Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath namaz padh kar) apni chadaro mein lipti hui loot'ti to andherey ki wajah se pehchaani na jaati thi". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 867, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 645)
Maloom hua k Nabi E Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam andherey mein awwal waqt namaz padha karte they agarchey namaz ka waqt subah saadiq se suraj tulu hoone tak hai, lekin awwal waqt padhna afzal hai.
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha riwayat karti hai "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne koi namaz uske aakhiri waqt mein nahi padhi yaha tak k Allah ne aapko wafaat de di". (Behaqui 1:435, Mustadrak E Hakim 1:190, isko Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)
Is riwayat se maloom hua k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamesha namaz awwal waqt par ada karte they, albatta baaz mouqey par (shari uzr ki bina par) namaz takheer se bhi ada ki.
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Awwal waqt namaz padhna afzal hai". (Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 170)
GARAM AUR SARD MOSAMO MEIN NAMAZ E ZUHAR K AUQAAT
Ek Martaba garmi mein Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu ne zuhar ki azaan dena chahi to Aapne farmaya "Thand ho jaane do (thehar jao) garmi ki shiddat jahannam k josh se hai, garmi ki shiddat mein us waqt tak thehro k teelo (pahaad wagairah ki chotiya) k saaye nazar aane lagey". (Sahih Bukhari Kitabul Mawaqeetus Salaat Hadees no. 539, Sahih Muslim Hadees no. 616)
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab garmi sakhat ho to namaz e zuhar thandey waqt mein padho". (Sahih Bukhari Kitabul Mawaqeetus Salaat Hadees no. 533, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 615)
Thande waqt ka ye matlab nahi k asar ki namaz k waqt padho jabke muraad ye hai k shiddat ki garmi mein suraj dhalte hi fauran na padho balke thodi dair karlo, yaha tak k teelo k saaye nazar aane lagey.
NAMAZ E JUMA KA WAQT
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam juma ki namaz us waqt padhte jab suraj dhal jaata. (Sahih Bukhari Kitabul Juma Hadees no. 904)
Hazrat Sahal Bin Saad Razi Allahu Anhu se riwayat hai k hum juma padhne k baad khana khante aur dopahar ka aaraam karte. (Sahih Bukhari Kitabul Juma Hadees no. 939, Sahih Muslim Kitabul Juma Hadees no. 859)
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k aap juma ki namaz sardiyo mein jaldi padhte aur sakht garmi mein dair karte. (Sahih Bukhari Kitabul Juma Hadees no. 906)
NAMAZ E ASAR KA WAQT
Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz e asar padhte they aur aaftaab buland (zardi k bagair roshan) hota tha agar koi shaks namaz e asar k baad madeena shehar se "Awaali" (madeena ki nawaahi bastiya) jata to jab uske paas pahunchta to suraj abhi buland hota, baaz awaali, madeena se chaar kaus k faasle par waqey hai". (Sahih Bukhari Kitabul Mawaqeetus Salaat Hadees no. 550, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 621)
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Munafiq ki namaz e asar ye hai k wo baitha aaftaab (k zard hoone) ka intazaar karta rehta hai, yaha tak k jab wo zard ho jata hai aur shaitaan k do seengho k darmiyaan ho jata hai to wo namaz k liye khada hota hai aur chaar thoongey maarta hai aur usme Allah ko nahi yaad karta magar thoda". (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 622)
NAMAZ E MAGRIB KA WAQT
Hazrat Salma Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k hum Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k hamraah aaftaab guroob hotey hi magrib ki namaz ada kar liya karte they. (Sahih Bukhari Kitabul Mawaqeetus Salaat Hadees no. 561)
NAMAZ E ISHA KA WAQT
Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek raat hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka namaz e isha k liye intazaar karte rahe jab tihaayi raat guzar gayi to aap tashreef laye aur farmaya "agar meri ummat par giraah na hota to mein us waqt isha ki namaz padhata" phir mu'azzin ne takbeer kahi aur aapne namaz padhaayi. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 639)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz e isha se pehle sona aur namaz e isha k baad guftagu karna pasand karte they. (Sahih Bukhari Kitabul Mawaqeetus Salaat Hadees no. 568)
Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam isha mein kabhi takheer farmate aur kabhi awwal waqt padhte jab loog awwal waqt jama hoote to jaldi padhte aur agar loog dair se aatey to aap dair karte. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 646)
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Wednesday, 24 June 2015
AUQAAT E NAMAZ
Labels:
SALAAT
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment