Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday, 26 June 2015

NAMAZEY MAJBOORAN FAUT HO JAYE TO KESE PADHEY?

NAMAZEY MAJBOORAN FAUT HO JAYE TO KESE PADHEY?

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k gazwa e khandaq k din Umar Razi Allahu Anhu guroob aaftaab k baad quraish ko bura bhala kehte hue aaye aur arz ki Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mene namaz e asar ada nahi ki hatta k suraj guroob ho chuka hai, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Wallah mene bhi namaz e asar ada nahi ki" phir hum sab muqaam e Bathaan mein aaye, humne wuzu kiya aur guroob aaftaab k baad pehle namaz e asar padhi phir namaz e magrib ada ki. (Sahih Bukhari Kitabul Mawaqeetus Salaat hadees no. 596, Sahih Muslim Hadees no. 631)

Maloom hua k namazo ki tarteeb qayem rakhni chahiye.

No comments:

Post a Comment