Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday, 4 June 2015

MOOZO PAR MASAH KARNE KA BAYAN

MOOZO PAR MASAH KARNE KA BAYAN

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Mugeera bin Shuba Razi Allahu Anhu bayan karte hai k ek safar mein, mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k hamrah tha, mene wuzu k waqt chaha k aapke dono moozey utaar du, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Inhey rehne do mene inhey taharat ki halat mein pehna tha phir Aapne un par masah kiya". (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu Hadees no. 206, Sahih Muslim Kitbut Taharah Hadees no. 274)

Shareeh bin Haani farmate hai "Mene Hazrat Ali Razi Allahu Anhu se moozo par masah karne ki muddat k mutalliq pucha to Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ne farmaya "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne musafir k liye (masah ki muddat) teen din raat aur muqeem k liye ek din raat muqarrar farmayi hai". (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 276)

Imam Nauvi, Auzaayi aur Imam Ahmad Rahimahullah kehte hai k masah ki muddat moozey pehen'ne k baad, wuzu k toot jaane se nahi balkey pehla masah karne se shuru hoti hai yaani agar ek shaks namaz e fajr k liye wuzu karta hai aur moozey ya juraabey pehen leta hai to agle din ki fajr tak wo masah kar sakta hai.

Hazrat Safwaan bin Asaal Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k jab hum safar mein hoote to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamey hukm dete k hum apne moozey teen din aur teen raato tak pakhana, paishaab ya soone ki wajah se na utaarey (balkey un par masah karey) han janabat ki soorat mein (moozey utaarne ka hukm dete). (Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 96, Nasaayi 1:83, 84, 98 ise Imam Tirmizi, Ibne Khuzaima, Ibne Hibban aur Nauvi ne sahih kaha)

Is hadees se maloom hua k junbi hona masah ki muddat ko khatam kar deta hai, is liye gusal e janabat mein moozey utaarne chahiye albatta bol wa baraaz aur neend k baad moozey nahi utaarne chahiye balke maeena e muddat tak un par masah kar sakte hai.

No comments:

Post a Comment