TAYAMMUM KA BAYAN
Bismillahirrahmanirraheem
Paani na milne ki soorat mein paak mitti ko wuzu ya gusal ki niyat kar k apne haatho aur muh par malna tayammum kehlata hai.
Paani na milne ki kayi sooratey hai masalan musafir ko safar mein paani na mile, ya paani k muqaam tak pahunchane mein jaan ka darr ho, masalan ghar mein paani nahi hai bahar karfue nafiz hai ya paani laane mein kisi dushman ya darindey se jaan ka andesha ho to aesi soorat mein hum tayammum kar sakte hai khawah ye wajah barso mojood rahe tayammum bhi barso jayez rahega.
Hazrat Abu Zarr Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Paak mitti musalmano ka wuzu hai agarchey das baras paani na miley". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 332, Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 124, ise Imam Hakim 1:176-177 aur Imam Ibne Hibban ne sahih kaha)
Ummul Momineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath safar par nikley jab baidaya zatil jaish pahunchey to mere galey ka haar toot kar gir gaya, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam usko dhoondhne k liye thehar gaye, loog bhi thehar gaye waha paani na tha, Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu mere paas aaye unhone gussa kiya aur mujhe bura bhala kaha, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam meri raan par sar rakh kar soote rahey yaha tak k subah ho gayi aur paani bilkul na tha tab Allah ta'ala ne tayammum ki aayat nazil farmayi" Hazrat Usaid bin Khuzair Ansari Razi Allahu Anhu kehne lage "Ae Abu Bakr ki aulaad ye tumhari pehli barkat nahi hai (yaani is se pehle bhi tumhari wajah se Allah ta'ala ne musalmano ko faida diya) phir humne ounth ko uthaya haar uske nichey se mila". (Sahih Bukhari Hadees no. 334, Sahih Muslim Hadees no. 367)
JANABAT KI HALAT MEIN TAYAMMUM
Agar paani na miley ya paani itna kam ho k wuzu na ho sake to tayammum kiya ja sakta hai.
Hazrat Imaran Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath safar mein they, Aapne loogo ko namaz padhayi, jab namaz se farig hue to achanak aapki nazar ek aadmi par padi jo loogo se alag baitha hua tha aur usne loogo k saath namaz nahi padhi thi, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us se pucha, Ae falah! loogo k saath namaz padhne se tujhe kis cheez ne rooka? usne kaha mujhe janabat pahunchi aur paani na mil saka, Aapne farmaya "tujh par mitti (se tayammum karna) lazim hai, pas wo tere liye kaafi hai". (Sahih Bukhari Kitabul Tayammum Hadees no. 344, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 682)
AGAR KOI ZAKHMI YA MAREEZ HO AUR PAANI K ISTEMAAL SE MARZ K BADHNE KA KHATRA HO:
Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu farmate hai k sardi ka mosam tha ek aadmi ko gusal e janabat ki zaroorat paish aayi, usne iske baare mein daryaft kiya to use gusal karne ko kaha gaya, usne gusal kiya jis se uski maut waqey ho gayi, jab is waqiye ka zikr Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se kiya gaya to aapne farmaya "Un loogo ne use maar dala, Allah unko maare baishak Allah ta'ala ne mitti ko paak karne wala banaya hai (yaani wo tayammum kar leta)". (Sahih Ibne Khuzaima 1:138, 273, Ibne Hibban 2001, ise Hakim 1:165 aur Hafiz Zahbi ne sahih kaha)
Agar kisi kamzoor ya bimaar aadmi ko ehtalaam ho jaye aur shadeed sardi ho ya paani bahut thanda ho aur gusal karna uske liye halkat ya bimaari ka mojoob ho to use tayammum karke namaz padh leni chahiye, mohtalim, haiza aur nifaas se farig hoone wali auratey bhi ba-waqt e zaroorat tayammum karke namaz padh sakti hai, uske liye tayammum uzr ki halat mein wuzu aur gusal dono qayim muqaam hai.
TAYAMMUM KA TAREEQA
Sabse pehle tayammum karne ki niyat yaani iraadah kare phir paak zameen par haath maare phir apne chehrey aur dono haatho ka masah kare.
Hazrat Ammar Razi Allahu Anhu bayan karte hai k wo safar ki halat mein junbi ho gaye aur (paani na milne ki wajah se) khaak mein loote aur namaz padhli, phir (safar se aa kar) ye haal Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne bayan kiya to aapne farmaya "Tumhare liye sirf yahi kaafi tha, (aur) phir Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dono haath zameen par maare aur un par phoonk maari phir unke saath apne muh aur dono haatho par masah kiya". (Sahih Bukhari Kitabul Tayammum Hadees no. 338, Sahih Muslim Kitabul Haiz Hadees no. 368)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Ammar se kaha k "Ulte haath se seedey haath par aur seedhey hath se ultey haath par masah karo phir dono haatho se chehrey ka masah karo". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 321)
1. Quran Majeed k hukm (FA TAYAMMAMU SAEEDAN TAYYABA)(Surah Nisa Ayat no. 43) ki rooh se tayammum paak mitti se karna chahiye.
2. Tayammum jese mitti se jayez hai usi tarah shoor wali zameen aur rait se bhi jayez hai
3. Ek tayammum se (wuzu ki tarah) kayi namazey padh sakte hai kyunki tayammum wuzu ka qayid e muqaam hai, jin cheezo se wuzu toot'ta hai unhi cheezo se tayammum bhi toot jata hai, agar namaz padh lene k baad paani ki mojodgi ka ilm ho jaye to use ba-wuzu ho kar namaz dohraane ya na dohraane ka ikhtiyaar hai, ta-hum agar dohrale to behtar hai.
Hazrat Abu Saeed Razi Allahu Anhu se riwayat hai k do aadmiyo ne tayammum kiya ur namaz padhli phir unhey paani mil gaya aur abhi namaz ka waqt baqi tha, pas un mein se ek ne wuzu kiya aur namaz lotaayi aur doosre ne namaz na lootayi, phir unhone Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha pas aapne us shaks se kaha jisne namaz nahi lootayi thi k "Tumne sunnat par amal kiya aur tumhari (tayammum wali) namaz tumhare liye kaafi hai aur doosre shaks se kaha jisne namaz lootayi thi k tere liye ziyadah ajr hai". (Nasayi Kitabul Gusal Hadees no. 433, Hakim aur Hafiz Zahbi ne Bukhari aur Muslim ki shart par sahih kaha)
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Wednesday, 17 June 2015
TAYAMMUM KA BAYAN
Labels:
TAHARAT
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment