NAWAQIS E WUZU
Bismillahirrahmanirraheem
SHARMGAAH KO HAATH LAGAANE SE WUZU:
Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks sharmgaah ko haath lagaaye pas wo wuzu kare". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 181, ise Imam Tirmizi Kitabut Taharah Hadees no. 82 ne hasan kaha)
Ye hukm tab hai jab kapde k bagair baraahe raast haath lagaye. Wallahu Aalam
NEEND SE WUZU:
Hazrat Ali Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Dono aankhey, sireen ki sarband (tasmiya) hai, pas jo shaks soo jaye use chahiye k dobaarah wuzu kare". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 203, Ibne Maja Kitabut Taharah Hadees no. 277 ise ibne Islaah aur Imam Nauvi ne hasan kaha)
HAWA KHAARIJ HOONE SE WUZU:
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne ek aese shaks ki haalat bayan ki gayi jise khayaal aya k namaz mein uski hawa khaarij hui hai to Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Namaz us waqt tak na toodey jab tak (hawa nikalne ki) awaaz na sun le ya use badbu mehsoon ho". (Sahih Bukhari Kitabut Wuzu Hadees no. 137, Sahih Muslim Hadees no. 361)
Is hadees se maloom hua k jab tak hawa khaarij hoone ka mukammal yaqeen na ho jaye wuzu nahi toodna lihaza jise paishaab k qatro ya waham ki bimaari ho use bhi jaan lena chahiye k wuzu ek haqeeqat hai, ek yaqeen hai ye yaqeen se hi toot'ta hai, shaq ya waham se nahi.
QEY, NAKSEER AUR WUZU:
Qey ya nakseer aane se wuzu toot jane wali riwayat ko jo Ibne Maja hadees no. 1221 mein hai, Imam Ahmad aur daigar Muhaddiseen ne zaeef kaha hai balkey is silsiley ki tamaam riwayat shakht zaeef hai, lihaza Baratul Saliya par amal karte hue (ye kaha ja sakta hai k) khoon nikalne se wuzu fasid nahi hota, is ki taeed us waqey se bhi hoti hai jo gazwa zaat e riqaa mein paish aaya jab ek ansari Sahabi raat ko namaz padh rahe they kisi dushman ne un par teen teer chalaaye jinki wajah se wo sakht zakhmi ho gaye aur unke jism se khoon behne laga magar iske ba-wajood wo apni namaz mein mashgool rahey. (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 198, ise Imam Hakim 1:156 aur Zahbi ne sahih kaha)
Ye ho hi nahi sakta k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko us waqey ka ilm na hua ho ya aapko ilm hua aur aapne unhey namaz lootane ya khoon behne se wuzu toot jaane ka masla bataya magar sahih ahadees mein uska zikr na ho
Isi tarah jab Hazrat Umar Razi Allahu Anhu zakhmi kiye gaye to aap usi haalat mein namaz padhte rahe halankey aapke jism se khoon jaari tha. (Muatta Imam Malik Kitabut Taharah Hadees no. 1:39, Behaqui 1:357)
Is se maloom hua k khoon ka behna naqis e wuzu nahi hai.
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Agar namaz mein wuzu toot jaye to naak par haath rakh kar looto". (Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 1114, ise Hakim aur Zahbi ne sahih kaha)
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Thursday, 11 June 2015
NAWAQIS E WUZU
Labels:
TAHARAT
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment