Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday, 21 June 2015

NAMAZ KI AHMIYAT

NAMAZ KI AHMIYAT

Bismillahirrahmanirraheem

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Tehqeeq qayamat k din loogo k amaal mein se sabse pehle namaz hi ka hisaab hoga". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 864, Hakim 1:362, 363 ise Imam Zahbi ne sahih kaha)

Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se sawal kiya gaya k Allah ta'ala ko konsa amal ziyaadh mehboob hai? Aapne farmaya "waqt par namaz padhna" mene kaha phir konsa? aapne farmaya "Maa baap k saath naik salook karna" mene kaha phir konsa? aapne farmaya "Allah k raaste mein jihaad karna". (Sahih Bukhari Kitabul Mawaqeetus Salaat Hadees no. 527, Sahih Muslim Kitabul Emaan Hadees no. 85)

Hazrat Ali Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka aakhiri kalaam tha "Namaz aur gulaam k baare mein Allah se daro". (Ibne Maja Kitabus Wasaaya Hadees no. 2697, Ibne Hibban 1220, ise Imam Bosiri ne sahih kaha)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Namaz deen ka satoon hai". (Tirmizi Kitabul Emaan Hadees no. 2616, ise Imam Hakim 2:76, 1412 aur 1413, Imam Zahbi aur Imam Tirmizi ne sahih kaha)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Qayamat k din jab Allah ta'ala baaz dozakhiyo par rahmat karne ka iraadah farmayega to farishto ko hukm dega k wo dozakh se aese loogo ko bahar nikaal le jo Allah ki ibadat kiya karte they, farishtey unhey nishaan e sajah se pehchaan kar dozakh se nikaal lengey (kyunki) sajdah ki jagaho par Allah ta'ala ne dozakh ki aagh ko haraam kar diya hai waha aagh ka kuch asar na hoga". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 806, Sahih Muslim Kitabul Emaan Hadees no. 182)

Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mere paas Jibraeel Alaihis Salaam aaye aur kehne lagey ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam! khawah kitna hi aap zindah rahey aakhir ek din marna hai aur jis se chahey kitni muhabbat kare aakhir ek din juda ho jana hai aur aap jesa bhi amal karey uska badla zaroor milta hai aur usme koi taraddud nahi k momin ki sharafat tahajjud ki namaz mein hai aur momin ki izzat loogo (k maal) se istagna (baratne) mein hai". (Mustadrak E Hakim 4:324, 325, Imam Hakim aur Imam Zahbi ne ise sahih aur Hafiz Munzari ne hasan kaha)

Yaani jo kuch Allah ne diya hai us par sabr, shukar aur qina'at kare aur loogo k maal mein tama wa hirs na rakkhey.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "mene khawab mein apne ba-barkat aur buland qadr parwardigaar ko behtareen soorat mein dekha, pas usne kaha, Ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mene kaha Ae mere rabb mein hazir hu, Allah ne farmaya muqarrab farishte kis baat mein bahas kar rahe hai? mene kaha mein nahi jaanta, Allah ne teen baar pucha, mene har baar yahi jawab diya, phir mene Allah ko dekha k usne apna haath mere kandho k darmiyaan rakkha, yaha tak k mene Allah ta'ala ki ungliyo (Allah ka haath aur ungliya dar asal ye Allah ta'ala ki sifaat mein hai lekin unki kefiyat hum nahi jaante, hum unhey makhlooq k haat aur ungliyo se tashbiya nahi dete balkey degar gaibi umoor ki tarah Allah ki un sifaat par bhi emaan bil ghaib rakhte hai) ki thandak apni chaati k darmiyaan mehsoos ki, phir mere liye har cheez zahir ho gayi, aur mene sabko pehchaan liya, phir farmaya Ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mene kaha mere rabb! mein hazir hu, Allah ne farmaya muqarrab farishte kis baat mein behas kar rahey hai? mene kaha kafaraat (gunaaho ka kaffarah ban'ne wali naikiyo) k baare mein, Allah ne farmaya wo kya hai? mene kaha namaz ba-jamaat k liye paidal chal kar jana aur namaz k baad masjido mein baithna aur mashakkat (sardi ya bimaari) k waqt poora wuzu karna" Allah ta'ala ne farmaya aur kis cheez mein behas kar rahe hai? mene kaha darjaat ki bulandi k baare mein, Allah ta'ala ne farmaya wo kya hai? mene kaha k loogo ko khana khilana, guftagu mein naram andaaz ikhtiyaar karna aur raat ko tahajjud ki namaz ada karna jab loog soo rahe hon darjaat ki bulandi ka ba'as hai, Allah ta'ala ne farmaya "apne liye jo chaho dua karo" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k phir mene ye dua ki "ALLAHUMMA INNI AS'ALUKA FEELAL KHAIRAATI WA TARKAL MUNKARAAT WA HUBBAL MASAKEENI WA AN TAGHFIRA LI WA TARHAMNI WA IZA ARATTA FITNATAN FI QAUMIN FATA WAFFANI GAIRA MAFTOONIN WA AS'ALUKA HUBBAKA WA HUBBA MAYYUHIBBUKA WA HUBBA AMALII YUQARRIBU ILA HUBBIKA" "Ae Allah mein tujhse sawaal karta hu naikiyo k karne ka aur buraiyo k choodne ka aur miskeeno k saath muhabbat karne ka aur ye k tu mujhe baksh de aur mujh par raham kar aur agar tera kisi qaum ko aazma'ish mein daalne ka iraadah ho to mujhe aazma'ish se bacha kar maut de dena aur mein tujhse teri aur har us shaks ki muhabbat maangta hu jo tujh se muhabbat karta hai, aur mein tujhse wo amal karne ki tofeeq maangta hu jo (mujhe) teri muhabbat k qareeb kar de" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Mera ye khawaab haqq hai pas isko yaad rakkho aur doosre loogo ko bhi ye khawaab sunao". (Tirmizi Kitabut Tafseerul Quraan Hadees no. 3235, ise Imam Tirmizi ne hasan sahih kaha)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jisne subah ki namaz padhi, wo Allah ki panah mein hai, pas Allah ta'ala tum se apni panah k baare mein kisi cheez ka mutaalba na kare kyunki jis se wo ye mutaalba karega yaqeenan usko apni giraft mein le kar muh k bal jahannam mein phaink dega". (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 657)

Maloom hua k subah ki namaz padhne wale ko satana sakht gunah hai kyunki wo Allah ki panah mein hai aur jo Allah ki panah mein dakhal daalega usko Allah jahannam mein daal dega.


JIBRAEEL ALAIHIS SALAAM KI IMAMAT

Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Khana kaba k paas Jibraeel Alaihis salaam ne meri imamat ki, pas mujhe zuhar ki namaz padhaayi, aur mujhe asar ki namaz padhaayi, aur mujhe magrib ki namaz padhaayi, aur mujhe isha ki namaz padhaayi aur mujhe farjar ki namaz padhaayi". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 393, Tirmizi Kitabus Salaat Hadees no. 149, ise Imam Tirmizi, Ibne Khuzaima, Hakim, Zahbi aur Abu Bakr ibne Arbi ne sahih kaha)

Imamat e Jibraeel Alaihis Salaam ki is hadees se malom hua k namaz ka darja itna buland hai, uski imamat Allah k nazdeek itni aala wa raafe, aur use makhsoos hayet, muqarrarah qaaro, mutaeena zaabato aur nihayat khushu wa khuzu se ada karna is qadr zaroori hai k Allah ta'ala ne taleem e ummat k liye Jibraeel Alaihis Salaam ko haadi e Aalam Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas bheja, Jibraeel Alaihis Salaam ne Allah k hukm k mutabiq Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko namaz ki kefiyat, ahmiyat, uske auqaat aur uke qaadey sikhaaye aur phir Aap Jibraeel Alaihis Salaam k bataaye aur sikhaaye hue waqto, tareeqo, qaado aur zaabato k mutabiq namaz padhte rahey aur ummat ko bhi hukm diya
"Tum us tarah namaz padho jis tarah tum mujhe namaz padhte dekhte ho". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 631)

No comments:

Post a Comment