NAMAZ KI FAZILAT
Bismillahirrahmanirraheem
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam me farmaya "Paanch namazey, un gunaho ko jo un namazo k darmiyaan hue, mita deti hai aur (isi tarah) ek juma doosre juma tak k gunaho ko mita deta hai, jab k kabeerah gunaho se ijtanaab kiya gaya ho". (Sahih Muslim Kitabut Taharah Hadees no. 233)
Masalan fajar ki namaz k baad jab zohar padhengey to dono namazo k darmiyaani arsey mein jo gunah, lagzishey aur khataye ho chuki hongi Allah ta'ala unko baksh dega, isi tarah raat aur din k tamaam sageerah gunah namaz e panjagana se maaf ho jaate hai.
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum se farmaya "bhala mujhe batao agar tumhare darwaazey k bahar nehar ho aur tum us mein har rooz paanch baar nahao, kya (phir bhi jism par) mael baaqi rahega?" Sahaba Razi Allahu Anhum ne kaha "Nahi" aapne farmaya "Yahi misaal pancho namazo ki hai, Allah ta'ala unke sabab gunaho ko maaf kar deta hai". (Sahih Bukhari Kitabul Mawaqeetus Salaat Hadees no. 528, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 667)
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k ek shaks ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir ho kar arz kiya k (mene gunah kiya hai bataur e saza) mein hadd ko pahuncha hu pas mujh par hadd qayam kare, Aapne us se hadd ka haal daryaft na kiya (ye na pucha k konsa gunah kiya hai?) itne mein namaz ka waqt aa gaya, us shaks ne aapke saath namaz padhi jab aap namaz padh chukey to wo shaks phir khada ho kar kehne laga k ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! tehqeeq mein hadd ko pahuncha hu pas mujh par Allah ka hukm nafiz kijiye, Aapne farmaya "Kya tuney hamare saath namaz nahi padhi?" usne kaha "padhi hai" Aapne farmaya "Allah ne tera gunah baksh diya hai". (Sahih Muslim Kitabut Tauba Hadees no. 2764)
Allah ki rahmat aur bakshish kitni wasey hai k namaz padhne k sabab Allah ne uska gunah jise wo apni samajh k mutabiq "Hadd ko pahuncha" keh raha tha maaf kar diya maloom hua namaz gunhao ko mitaane wali hai.
Hazrat Abu Zarr Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne jaadey (sardi) k mosam mein nikley, patjhad ka mosam tha, Aapne ek darakht ki do shakhey pakad kar unhey hilaya to pattey jhadne lage aapne farmaya "Ae Abu Zarr Razi Allahu Anhu!" mene kaha Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! hazir hu, Aapne farmaya "musalman jab namaz padhta hai aur uske saath Allah ki raza chahta hai to uske gunah is tarah girte hai jis tarah is darakht k pattey jhadey hai". (Musnad Ahmad 5:179, 21889, Imam Munzari 1:248 ne ise hasan kaha)
Hazrat Umara bin Rawiba Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks aaftaab k tulu wa guroob se pehle (fajar aur asar ki) namaz padhega wo shaks hargiz aagh mein dakhil nahi hoga". (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 634)
Hazrat Usman Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks namaz e isha ba-jamaat ada kare (use itna sawaab hai) goya usne aadhi raat tak qayaam kiya aur phir subah ki namaz ba-jamaat padhey (to itna sawaab paaya) goya tamaam raat namaz padhi". (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 656)
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tumhare paas farishtey raat aur din ko aatey hai (aaney aur jaane wale farishtey) namaz e fajar aur namaz e asar mein jama hoote hai, jo farishtey raat ko rahe wo aasman ko chadhte hai to unka rabb unse puchata hai (halankey wo apne bando ka haal khoob jaanta hai) tumne mere bando ko kis haal mein paya? wo kehte hai humne unko is haal mein chooda k wo namaz padhte they aur hum unke paas is haal mein gaye k wo namaz padhte they". (Sahih Bukhari Kitabul Mawaqeetus Salaat Hadees no. 555, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 632)
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Munafiqo par fajar aur isha se ziyaadah bhari koi namaz nahi, agar unhey in namazo ka sawaab maloom ho jaye to wo un mein zaroor pahunchey agarchey unhey sireen par chalna padey". (Sahih Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 657, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 651)
Sireen par chalne ka matlab ye hai k agar pao se chalne ki taaqat na ho to un namazo k sawab aur ajar ki kashish unhey sireen k bal par chal kar masjid pahunchney par majboor karde yaani har haal mein pahunchey.
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Agar loog azaan dene aur pehli saff mein namaz padhne ka sawaab jaante to uske liye qura daalte, agar unhey zuhar ki namaz k liye jaldi masjid mein jaane ka sawab maloom hota to ek doosre se aagey badhte, agar unhey farjar aur isha ki namaz ba-jamaat ka ajr maloom hota to ghasit'te hue (masjid) aatey". (Sahih Bukhari Hadees no. 615, Sahih Muslim Hadees no. 437)
Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko namaz e asar is qadar piyaari thi k jab jang e khandak k din kuffar k hamley aur teer andaazi k sabab ye namaz faut ho gayi to aapko shadeed ranj pahuncha us par Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki zubaan e mubarak se ye alfaaz nikle "Hamey kafiro ne darmiyaani namaz, Namaz e Asar, se baaz rakkha, Allah ta'ala unke gharo aur qabro ko aagh se bhar de". (Sahih Bukhari Kitabul Jihad was Sahar Hadees no. 2931, Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 627, 628)
NAMAZI AUR SHAHEED:
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k ek qabeela k do shaks ek saath musalman hue, unme se ek jihaad fi sabilillah mein shaheed ho gya aur doosra ek saal k baad faut hua, Hazrat Talha Razi Allahu Anhu kehte hai k mene khawab mein dekha k wo sahab jinka ek saal baad intaqaal hua us shaheed se pehle jannat mein dakhil ho gaye, mujhe bada tajjub hua k shaheed ka rutba to bahut buland hai is liye jannat mein usey pehle dakhil hona chahiye tha, mene khud hi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein arz ki (yaani is taqdeem wa takheer ki wajah puchi) to aapne farmaya "Jis shaks ka baad mein intaqaal hua kya tum uski naikiya nahi dekhte kis qadar ziyaadha ho gayi? kya usne ek ramazan k roozey nahi rakkhey? aur (saal bhar ki farz namazo ki) 6 hazaar aur itni itni rakatey ziyaadah nahi padhi? (un namazo aur roozo ki barkat se wo jannat mein pehle chala gaya)". (Musnad Ahmad 2:333, 838, Imam Munzari 1:1244 aur Imam Haishmi 10:207 ne ise hasan kaha)
Yahi Qissa Talha bin Abdullah Razi Allahu Anhu khud zara tafseel se bayan karte hai k ye qissa kis darja emaan afrooz aur namaz ki ragbat dilaane wala hai, Talha Razi Allahu Anhu kehte hai k mene subah loogo ko apna khawaab sunaya, sabko is baat par tajjub hua k shaheed ko (jannat jaane ki) ijazat baad mein kyu mili? halankey usey pehle milni chahiye thi, loogo ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se daryaft kiya, Aapne farmaya "isme tajjub ki koi baat nahi hai, batau! kya baad wale shaks ne ek saal ibadat (ziyaadah) nahi ki? usne ek ramazaan k roozey nahi rakkhey? usne ek saal ki namazo k itne itne sajdey ziyaadah nahi kiye? sabne arz kiya, ji han Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! to aapne farmaya "Phir to un dono k darmiyaan zameen wa aasmaan ka farq ho gaya". (Ibne Maja Kitabur Roya Hadees no. 3925, Ibne Hibban 2466 ne ise sahih kaha)
"Aur Bahut Se Loog Allah Par Emaan Laane Ke Bawajood Mushrik Hote Hai" (Surah Yousuf Surah No. 12 Ayat No. 106)
Muhammadi Blog
Sunday, 21 June 2015
NAMAZ KI FAZILAT
Labels:
SALAAT
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment