Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday, 26 June 2015

JAHA DIN AUR RAAT BAHUT TAWEEL HO WAHA NAMAZ K AUQAAT

JAHA DIN AUR RAAT BAHUT TAWEEL HO WAHA NAMAZ K AUQAAT

Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Nawaas bin Sam'aan Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k "Dajjal chalees din zameen par rahega uska ek din ek saal k barabar, ek din mahina k barabar ek din ek hafta k barabar aur baaqi din aam dino ki tarah hongey" Sahaba Razi Allahu Anhum ne arz kiya k jo din ek saal k barabar hoga to kya us din ek din ki namaz ada karni hogi? Aapne farmaya "Nahi balke tum andaazey se namazey ada karna". (Sahih Muslim Kitabul Fitan Hadees no. 2937)

Maloom hue k jin muqamaat par lambi muddat tak kabhi lagataar din aur kabhi lagataar raat hi rehti hai neez 24 ghante mein waha zawaal aur guroob ka koi nizaam na ho unhey paanch waqt ki namazey andaazey se ada karni hogi (yaani waqt wagairah k hisaab se).

No comments:

Post a Comment