Bismillahirrahamanirraheem
SUNNAT (HADEES) K BAGAIR QURAN MAJEED SE TAMAAM SHARI MASA'IL MALOOM KARNA MUMKIN NAHI
SUNNAT MEIN BAYAN KIYE GAYE AHKAMAAT, QURAN MAJEED K AHKAMAAT KI TARAH WAJIBUL ITTEBA HAI
Hazrat Miqdaam bin Maadi Karb Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Loogo, yaad rakkho! quran hi ki tarah ek aur cheez (Yaani Hadees) mujhe Allah ki taraf se di gayi hai, khabardaar! ek waqt ayega k ek pait bhara (yaani takabbur shaks) apni musnad par takiya lagaye baitha hoga aur kahega loogo! tumhare liye ye quran hi kaafi hai is mein jo cheez halaal hai bas wahi halaal hai aur jo cheez haraam hai bas wahi haraam hai, halankey jo kuch Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne haraam kiya hai wo aese hi haraam hai jese Allah ne haraam kiya hai, suno! gharelu gadha bhi tumhare liye halaal nahi (halankey quran mein uski hurmat ka zikr nahi) na hi wo darindey jinki kuchliya (yaani now kiye (teekhey) daant jinse wo shikaar karte hai) hai, na hi kisi zimmey ki giri padi cheez kisi k liye halaal hai, han albatta agar uske maalik ko uski zarurat hi na ho to phir jayez hai". (Sahih Sunan Abu Dawood juzz e Saani Hadees no. 3848)
Hazrat Abu Raafee Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "(loogo!) mein tum mein se kisi ko is haal mein na pau k wo apni musnad par takiya lagaye baitha ho uske paas mere un ahkamaat mein se jinka mene hukm diya, ya jinse mene mana kiya hai, koi hukm aye aur wo yuh kahe mein to (Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k is hukm ko) nahi jaanta, humne jo kitabullah mein paya usi par amal kar liya (yaani hamare liye wahi kaafi hai)". (Sahih Sunan Abu Dawood Juzz e Saani Hadees no. 3849)
QURAN E MAJEED KO SUNNAT K ZARIYE HI SAMJHA JA SAKTA HAI, CHAND MISAALEY DARJ E ZAIL HAI
1. Hazrat Huzaifah Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Diyanat-daari aasamano se loogo k dilo mein utri hai (yaani insan ki fitrat mein shamil hai) aur quran bhi (aasman se) nazil hua hai jise loogo ne padha aur sunnat k zariye samjha". (Sahih Bukhari Kitabul Aetasaam bil Kitabis Sunnah)
2. Hazrat Yaala bin Ummayah Razi Allahu Anhu kehte hai mene Hazrat Umar Razi Allahu Anhu se pucha "Allah ta'ala farmata hai agar tumhey kafiro k sataane ka khauf ho to namaz qasar kar lene mein koi harj nahi aur ab jabke zamana e aman hai (to kya phir bhi qasar ki rukhsat hai) to Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne kaha mujhe bhi tumhari tarah tajjub hua tha, to mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se masla daryaft kiya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k (doran e safar khauf ho ya na ho) Allah ta'ala ne tumhey sadqa diya hai, lihaza uska sadqa qubool karo". (Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 433)
3. Hazrat Adi bin Hatim Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se roozey k baarey mein sawal kiya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "(Sehri us waqt tak khao piyo) jab tak safaid dhari siyah dhari se alag nazar na aye" chunanchey mene 2 dooriya (dhagey) li, unme se ek safaid, doosri siyah thi aur (raat bhar) dono ki taraf dekhta raha (mene ye soorat e haal Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko batayi to) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhse koi aesi baat kahi, jo Abu Sufyaan ko yaad nahi rahi phir farmaya "Is se muraad raat aur din hai". (Sahih Sunan Tirmizi juzz e Saani Hadees no. 2372)
4. Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu kehte hai ye aayat nazil hui "Wo loog jinhone apne emaan mein zulm shamil nahi kiya (Surah Anaam Ayat no. 83)" to tamaam musalman pareshan ho gaye aur arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! hum mein se kaun aesa hai jisne koi zulm (yaani gunah) na kiya ho? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ayat mein zulm se muraad, gunah nahi balkey shirk hai, kya tumne Hazrat Luqman Alaihis Salaam ko apne baitey ko nasihat suni ae mere baitey! Allah k saath shirk na karna, kyunki shirk bahut bada zulm hai". (Sahih Sunan Tirmizi juzz e Saani Hadees no. 2452)
SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NAZAR ANDAAZ KARENE SE BAAZ SHARI AHKAAM NA MUKAMMAL AUR GAIR WAZEY REHTE HAI, MUKAMMAL DEEN SAMAJHNE AUR US PAR AMAL KARNE K LIYE QURAN MAJEED K SAATH SAATH SUNNAT KI PAIRVI AUR ITTEBA BHI ZARURI HAI, CHAND MISAALEY DARJ E ZAIL HAI
1. Quran majeed ne sirf musafir aur bimaar ko ramazaan mein roozey chood kar qaza ada karne ki rukhsat di hai jabkey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne musafir aur bimaar k alawa haiza aur doodh pilaane wali aurato ko bhi rooza chood kar baad mein ada karne ki rukhsat di hai.
QURAN MAJEED KA HUKM:
"Tum mein se jo shaks bimaar ho ya safar mein ho (aur roza na rakkhey) to (ramazaan k baad) doosre dino mein ginti poori kare". (Surah Baqarah Ayat no. 184)
RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA HUKM:
Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala ne musafiro ko rooza mu'akkhar karne aur nisf namaz ki rukhsat di hai jabke hamila aur doodh pilane wali aurat ko sirf rooza mu'akkhar karne ki rukhsat di hai". (Sahih Sunan Nasayi Juzz e Saani Hadees no. 2145)
Hazrat Abu Zanaad Rahimahullah farmate hai masnoon aur shari ahkaam basa auqaat raaye k bar-aks hote hai lekin musalmano par un ahkaam ki pairvi karna lazim hai unhi ahkaam mein se ek ye bhi hai k haiza roozo ki qaza ada kare, lekin namaz ki qaza ada na kare. (Sahih Bukhari Kitabus Saum)
2. Quran majeed ne zaani mard aur zaani aurat ko 100-100 koodey maarne ka hukm diya hai jabke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne gair shadi-shuda mard aur aurat ko 100-100 koodey maane ka hukm diya hai aur shadi-shuda mard aur aurat ko sangsaar karne ki saza di hai.
QURAN MAJEED KA HUKM:
"Zaniya aurat aur zaani mard dono mein se har ek ko 100-100 koodey maro aur Allah ta'ala k deen (ko nafiz karne) k maamley mein tumko taras na aye, agar tum Allah aur yaum e akhirat par emaan rakhte ho". (Surah Noor Ayat no. 2)
RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA HUKM:
Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai k Maaiz bin Malik Razi Allahu Anhu, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hue aur do martaba zina ka aetraaf kiya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhe wapas loota diya, Hazrat Maaiz Razi Allahu Anhu phir hazir hue aur do martaba zina ka aetraaf kiya, tab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Tumne char martaba apne khilaf gawahi de di (tab loogo ko hukm diya) jao use sangsaar kardo". (Sahih Sunan Abu Dawood juzz e Saani Hadees no. 3823)
3. Quran majeed ne tamaam murdaar haraam qarar de diye hai jabkey Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mari hui machli halal qaraar di hai.
QURAN MAJEED KA HUKM:
"Haraam kiya gaya hai tum par murdaar, khoon, khinzeer ka goosht aur har wo janwar jispar (zibah karte waqt) Allah k alawa kisi aur ka naam liya jaye". (Surah Maaida Ayat no. 3)
RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA HUKM:
Hazrat jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se samundar k baarey mein sawal kiya gaya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Samundar ka paani paak hai aur uska murdaar (yaani machli) halal hai". (Sahih Ibne Khuzaimah Juzz e Awwal Hadees no. 112)
4. Quran e majeed ne mardo aur aurato k liye har tarah ki zeenat ko jayez aur halaal qaraar diya hai jabke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mardo k liye soona aur raisham haraam qaraar diya hai.
QURAN MAJEED KA HUKM:
"Ae Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam)! un se kaho jisne rizk ki pakeezah cheezo ko aur Allah ki us zeenat ko haraam qaraar diya jise Allah ne apne bando k liye nikaala hai". (Surah Aaraaf Ayat no. 32)
RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA HUKM:
Hazrat Abu Moosa Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Meri ummat ki aurato k liye soona aur resham halal kiya gaya hai aur mardo k liye haram kiya gaya hai". (Sahih Sunan Nasayi juzz e Saani Hadees no. 4754)
5. Quran majeed ne wuzu ka tareeqa muh aur haath kohniyo tak dhoona phir sar ka masah aur pao ka dhoona bataya hai jabke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne teen martaba haath dhoona, teen martaba kulli karna, teen martaba naam saaf karna aur phir muh dhoona, teen martaba dono haath kohniyo tak dhoona, uske baad sar aur kaano ka masah karna aur phir teen martaba dono pao takhno tak dhoona bataya hai.
QURAN MAJEED KA HUKM:
"Ae loogo, jo emaan laye ho! jab namaz k liye utho to muh aur apne haath kohniyo tak dhulo, saro par masah karlo aur pao ko takhno tak dho liya karo". (Surah Maaidah Ayat no. 6)
RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA HUKM:
Hazrat Humraan Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Hazrat Usman Razi Allahu Anhu ne wuzu k liye paani mangwaya aur bartan se dono haato par paani daala aur dono haato ko teen baar dhooya phir apna haath bartan mein dala, kulli ki, naak saaf ki aur unme paani dala, phir apna chehra teen martaba dhooya aur kohniyo tak baazu teen martaba dhooye phir sar ka masah kiya phir teen martaba dono pao dhooye phir farmaya "Mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko isi tarah wuzu karte dekha hai". (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim Kitabul Wuzu)