Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday, 3 August 2014

HIJAB KA BAYAN

HIJAB KA BAYAN



Bismillahirrahmanirraheem

GHAR SE BAHAR NIKALTE HUE AURAT K LIYE APNE SEENE AUR CHAHRE CHIPANA (HIJAB) WAJIB HAI

Hazrat Ummey Salma Razi Allahu Anha farmati hai jab ("YUDNEENA ALIHINNA MIN JALA BEEBIHINNA" Tarjuma: "Aurate apni audhniya apne uper daal le". (Surah Ahzaab Surah No. 33 Ayat no. 59) nazil hui to ansaar ki auratey gharo se is tarah parda karke nikli goya unke saro par (kaali audhniyo ki wajah se) kaale kawwey baithey hue ho. (Abu Dawood Kitabul Libaas 2: 3456)

Hazrat Ali bin Abu Talib Razi Allahu Anhu kehte hai k Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu farmate hai Allah ta'ala ne momin aurato ko hukm diya hai k jab wo apne gharo se kisi zarurat k liye nikley to apne saro k uper se audhniyo k saath apne chehre dhaanp le aur ek aankh (raasta dekhne k liye) khuli rakkhey. (Ibne Kaseer 3: 684)

Hazrat Muhammad bin Sireen Rahimahullah kehte hai k mene Ubaida Salmani Razi Allahu Anhu se daryaft kiya k Allah ta'ala k is irshaad ka kya matlab hai (YUDNEENA ALAIHINNA MIN JALA BEEBIHINNA) to Ubaida Salmani Razi Allahu Anhu ne apna sar aur chehra dhaanp liya aur sirf baayi aankh nangi rakkhi. (Ibne Kaseer 3: 684)

HIJAAB K LIYE ISTEMAAL HONE WALI CHADAR YA BURKA HAR TARAH ZAIB WA ZEENAT YA AARA'ISH SE MUKAMMAL TAUR PAR PAAK HONA CHAHIYE

Aurate apna banao singaar na dikhaye siwaye uske jawaaz khud zahir ho jaye. (Surah Noor Surah no. 24 Ayat no. 31)

Wazahat: Khud zahir hone se muraad hijaab k liye istemaal hone wali saada chadar ya burka hai
Mardo k liye aurat ki har cheez mein kashish hai khawah wo hijaab ki chadar ho ya burka ho ya joote ho lihaza unhe mazeed banao singaar karke pur kashish banao se rooka gaya hai

AURAT KO AESI HARKAAT WA SAKNAAT KARNA MANA HAI JINSE GAIR MAHRAM MARDO KO UNKI MAKHFI ZEENAT KA PATA CHALE
GHAR SE NIKALTE HUE AURAT K PAO MUKAMMAL TAUR PAR DHAKE HONE CHAHIYE

Auratey zameen par apne pao maar kar na chale takey jo zeenat unhone chipa rakkhi hai uska doosro ko ilm na ho. (Surah Noor Surah No. 24 Ayat no. 31)

HIJAB KA HUKM NAZIL HONE K SAATH HI RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE APNE PURANE KHADIM HAZRAT ANAS BIN MALIK RAZI ALLAHU ANHU KO GHAR MEIN DAKHIL HONE SE ROOK DIYA

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k jab Rasool Allah Sallallahu Alahi Wa Sallam ne Hazrat Zainab binte Hijaash Razi Allahu Anhu se nikah kiya to loogo ko khane par bulaya, kuch loog khana khane k baad baith gaye aur baate karne lage, jab wo loog uth kar chale gaye to mene ja kar Nabi E Akram Sallallahu Alahi Wa Sallam ko unke jaane ki ittela di (us doraan Aap Sallallahu Alahi Wa Sallam uth kar baahar tashreef le gaye they) tab Rasool E Akram Sallallahu Alahi Wa Sallam ghar tashreef laye, mein bhi Aap Sallallahu Alahi Wa Sallam k saath (hasb e mamool) andar jaane laga to Aap Sallallahu Alahi Wa Sallam ne mere aur apne darmiyaan pardah daal diya kyunki usi waqt aayat e hijab (YA AYYUHAL LAZEENA AAMANU LA TADKHULU....Surah Ahzaab Surah no. 33 Ayat No. 53) nazil hui thi. (Sahih Bukhari Kitabut Tafseer)

AHAD E NABVI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM MEIN SAHABIYAAT RAZI ALLAHU ANHUM HIJAB KI SAKHTI SE PABANDI KARTI THI HATTA K HALAT E AHRAAM MEIN BHI MAHRAM MARDO SE APNE CHEHRE CHIPATI THI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha (waqiya e afak bayan karte hue) farmati hai k Safwan bin Muattal Sulmi Zakwani Razi Allahu Anhu lashkar k pichey aya karta (takey agar koi giri padi cheez ho to utha le ya koi kamzoor ya mareez pichey reh jaye to use saath le aye) jab wo mere thikane par pahuncha to usne dekha k koi aadmi so raha hai usne mujhe dekhte hi pehchaan liya kyunki pardey ka hukm nazil hone se pehle wo mujhe dekh chuka tha usne mujhe dekh kar INNA LILLAHI WA INNAA IALHI RAJIOON padha to meri aankh khul gayi aur mene foran apna chehra audhni se dhaanp liya. (Sahih Bukhari Kitabul Magazi)

Hazrat Asma binte Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anha farmati hai k hum (doraan e ehraam) apne chehre mardo se dhaanp leti thi halankey us se pehle hum kanghi wagairah karne mein mashgool hoti. (Sahih ibne Khuzaima Kitabul Manasik 4: 2690)

Hazrat Fatima binte Munzir Razi Allahu Anha farmati hai hum halat e ehraam mein apne chehro par audhniya le leti hamare saath Hazrat Asma binte Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anha bhi thi aur wo hame aese karne se mana nahi karti thi. (Muatta Imam Malik Kitabul Hajj)

AURAT KO APNE KHAWIND K CHOTE BHAI (DEVAR) SE BHI HIJAB KARNA CHAHIYE

Hazrat Uqba bin Aamir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alahi Wa Sallam ne farmaya "Aurato k saath alihadah hone se bacho" ansaar mein se ek aadmi ne arz kiya ki "Ya Rasool Allah Sallallahu Alahi Wa Sallam! aurat k dewar k baare mein kya hukm hai? Aap Sallallahu Alahi Wa Sallam ne irshad farmaya "Wo to Maut hai". (Tirmizi Abwabur Razaa 1: 934)

HIJAB K BAGAIR GAIR MAHRAM MARD AUR AURAT KA AAPAS MEIN MILNA HARAAM HAI

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alahi Wa Sallam ne farmaya: "Akaili aurat k paas mat jao kyunki shaitaab tumhare andar is tarah doodta hai jis tarah khoon tumhare jism mein doodta hai" hum ne arz ki "Ya Rasool Allah Sallallahu Alahi Wa Sallam! kya Aap Sallallahu Alahi Wa Sallam k jism mein bhi shaitan doodta hai?" Aap Sallallahu Alahi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Han mere jism mein bhi isi tarah doodta hai lekin Allah ta'ala ne meri madad farmayi aur wo mera farmabardaar ho gaya". (Tirmizi Abwabur Razaa)

BE HIJAB AURAT MARD K SAAMNE SHAITAN KI SHAKAL MEIN AATI HAI

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek (be hijab) aurat ko dekha to (apni zoja) Jazrat Zainab Razi Allahu Anhu k paas tashreef laye apni hajat puri farmayi aur bahar tashreef laye aur farmaya "(be hijab) aurat jab saamne ati hai to shaitan ki soorat mein aati hai lihaza jab tum mein se koi aurat ko dekhe aur wo use khoobsurat lage to use chahiye k apni beewi k paas aa kar apni haajat puri karle is liye k tumhari beewi k paas bhi wahi kuch hai jo us aurat k paas hai". (Tirmizi Abwabur Razaa 1: 925)

GHAR SE BAHAR NIKALNE WALI BE HIJAB AURATO KO SHAITAN ZAYADA KHOOBSURAT BANA KAR DIKHATA HAI JIS SE WO GAIR MAHRAM MARDO KI NAZRO KA MARKAZ BANTI HAI

Hazrat Abdullah bin Masood Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Aurat (Poori ki poori) satar hai jab wo nikalti hai to shaitan use accha (haseen wa jameel) kar k dikhata hai". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees No. 936)

BE HIJAB AURATE POORI QAUM K LIYE FITNA KA BAA'AS HAI

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Dunya waqey meethi aur sar-sabz hai Allah ta'ala tumhe dunya mein khilafat ata karne wala hai takey dekhe k tum kese aamaal karte ho lihaza dunya se bachna aur aurato se bachna, bani israeel ko gumraah karne wala sab se pehla fitna aurato ka hi tha". (Sahih Muslim Kitabul Riqaaq)

BE HIJAB AURATO KO DEKHNE WALI GAIR MAHRAM MARDO KI AANKHEY ZINA KI MURTAKIB HOTI HAI JIS SE AURAT AUR MARD DONO GUNAH E KABEERA K MURTAKIB HOTE HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "(Allah ta'ala ne apne ilm se) ibne aadam ka zina se hissa likh diya hai jise wo ba’har surat karke rahega (kyunki Allah Ta'ala ka ilm kabhi galat nahi ho sakta) aankho ka zina (gair mahram ko dekhna) hai kaano ka zina sunna hai, zuban ka zina baat karna hai, haat ka zina pakadna (aur choona) hai pao ka zina chal kar jana hai, dil ka zina khawahish karna hai, sharm-gaah un baato ko ya to sach kar dikhati hai ya jhoot". (Sahih Muslim Kitabul Imarat 1: 256)

AURAT KO APNE PAO KI ZEENAT BHI GAIR MAHRAM MARDO SE CHIPAANI CHAHIYE

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek aadmi Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua jisne apni beewi se zahaar kiya tha lekin kaffara ada karne se pehle hi sohbat kar baitha usne arz kiya Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mene apni beewi se zahaar kiya tha lekin kaffara ada karne se pehle hi sohbat karli hai, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne daryaft farmaya: "Allah ta'ala tujh par raham farmaye, kis cheez ne tumhe aesa karne par aamada kiya? usne arz kiya mene chaandni mein uski paazaib dekhi (aur apne aap par qaabo na rakh saka) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya dobara uske qareeb na jana jab tak kaffara ada na karlo". (Sahih Sunan Tirmizi Hadees No. 958)

No comments:

Post a Comment