SURMA KA BAYAN
Bismillahirrahamanirraheem
SURMA ISTEMAAL KARNA MUSTAHAB HAI
Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Surma lagaya karo ye nazar ko taiz karta hai aur baalo ko badhata hai". (Tirmizi Abwabul Libas 2: 1438)
Wazahat: Raat ko soone se qabl Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka rozana daayi aur baayi aankh mein teen teen salaayi surma lagana sahih hadees se sabit hai.
SURMA TAAQ MARTABA AANKH MEIN DAALNA CHAHIYE
Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Tum mein se jab koi shaks surma lagaye to taaq martaba lagaye aur jab koi khushbu ki dhooni le to taaq martaba le". (Musnad Ahmad, Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 1260)
DAHNI AANKH MEIN TEEN MARTABA AUR BAAYI AANKH MEIN DO MARTABA SALAAYI DAALNA MUSTAHAB HAI
Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai jab Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam surma lagate to dahini aankh mein teen martaba aur baayi aankh mein do martaba silaayi lagate aur saari tadaad e witr (yani paanch) banate. (Tabraani, Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 1633)

No comments:
Post a Comment