Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday, 7 August 2014

CHAADAR KA BAYAN

CHAADAR KA BAYAN



Bismillahirrahmanirraheem

CHAADAR KA ISTEMAAL AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K MAMOOL MUBARAK MEIN SHAMIL THA

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai jab Ummey Sulaim Razi Allahu Anha k han baccha paida hua to unhone mujhse kaha "Anas! is bacchey ka zara dhayaan rakhna, kal tak uske pait mein koi cheez jaane na paaye takey Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam koi meethi cheez uske muh mein de" agle rooz mein bacche ko Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas le gaya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ek baag mein they aur hari si chaadar oudhey hue they aur fatah makkah se aye hue ountho ko daag rahe they. (Sahih Bukhari Kitabul Libas)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k ek rooz hum loog aen dopehar k waqt apne ghar mein baithey they kisi ne Abu Bakr Razi Allahu Anhu se kaha: "Ye to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam tashreef la rahe hai, aese waqt jab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam kabhi tashreef nahi laye" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam tashreef la rahe they aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apna sar mubarak chaadar se chipa rakkha tha. (Sahih Bukhari Kitabul Libas)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha aur Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki beemari mein shiddat aa gayi to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam apni chaadar chehra mubarak par daal lete, jab ji ghabraane lagta to chaadar mubarak chehre se hata lete isi kefiyat mein Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye baat irshad farmayi "Allah ki lanat ho yahood wa nasara par, unhone apne anbiya ki qabro ko masjid bana liya". (Sahih Bukhari Kitabul Libas)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai (kafir ki rooh ki badboo ka zikr farmate hue) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apni baareek chadaar naak mubarak par rakhli (Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ne apni chadar naak par rakh kar bataya k) Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne yuh apni chaadar apni naak par rakkhi thi. (Sahih Muslim Kitabul Libas wal Zeenah)

AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI CHAADAR MUBARAK SAFAID RANG KI THI

Hazrat Abu Zar Razi Allahu Anhu kehte hai mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam soo rahe they aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k uper safaid rang ki chaadar thi, mein dobara hazir hua to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam jaag rahe they Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "jo shaks LA ILAHA ILLALLAH ka iqraar kare aur isi aqeedey par mare use Allah ta'ala jannat mein dakhil farmayega". (Sahih Bukhari Kitabul Libas)

AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE SABZ RANG KI CHAADAR BHI ISTEMAAL FARMAYI

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko kapdo mein se sabz chaadar pehan'na zayada pasand thi. (Sahih Bukhari Kitabul Libas)

Hazrat Abu Rimsah Razi Allahu Anhu kehte hai mein apne walid k saath Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam par 2 sabz rang ki chaadare dekhi. (Abu Dawood Kitabul Libas 2: 3430)

MOOTE HASHIYE KI YAMNI CHAADAR BHI AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE ISTEMAAL FARMAYI

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu farmate hai mein (ek safar mein) Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath tha aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apne uper moote hashiye wali najrani chaadar oudh rakkhi thi. (Sahih Bukhari Kitabul Libas) 

SARDIYO MEIN AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE OONI CHAADAR BHI ISTEMAAL FARMAYI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ghar se bahar tashreef laye to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k uper kajawah ki manind naksh wa nigaar wali kaale baalo se bani hui chaadar thi. (Abu Dawood Kitabul Libas 2: 3402)

KHUTBA E MINA K WAQT AAP SALLALLAHU ALAHIH WA SALLAM SHURKH CHAADAR OUDHEY HUE THEY

Hazrat Aamir Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko mina mein khacchar par baith kar khutba irshad farmate hue suna, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam surkh chaadar oudhey hue they aur Hazrat Ali Razi Allahu Anhu Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k aage khade they, jo baat Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam irshad farmate Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ounchi aawaaz se loogo tak pahunchate. (Abu Dawood Kitabul Libas 2: 3434)

SARDIYO MEIN AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE SIYAH BAALO KA KAMBAL ISTEMAAL FARMAYA

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k ek rooz Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam siyah baalo wala kambal oudh kar tashreef le gaye us kambal par ounth k baalaan ki tasweerey (be jaan) bani hui thi. (Sahih Muslim Kitabul Libas)

No comments:

Post a Comment