Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday, 13 August 2014

HINNA (MEHNADI) KA BAYAN

HINNA (MEHNADI) KA BAYAN



Bismillahirrahmanirraheem

AHLE JANNAT KI KHUSHBUWO MEIN SE SAB SE ZAYADA ACCHI KHUSHBU MEHANDI KI HOGI

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Ahle jannat ki khushbuwo ki sardaar mehandi hogi". (Tarbaani, Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 1420)

KATAM K SAATH MEHNADI MILA KAR BAALO KO KHIZAAB LAGANA MUSTAHAB HAI

Hazrat Abuzar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Safaid baalo ko badalne k liye behtareen khizaab mehndi aur wasmah hai". (Ibne Maja Kitabul Libas 2: 2919)

Wazahat: "Katam" ya "Wasmah" ek booti hai jo bazaat khud siyaah rang deti hai lekin mehnadi k saath mil kar bhoora rang deti hai jise Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pasand farmaya.

AURATO K LIYE HAATHO YA PAO K NAKHUNO PAR MEHNADI LAGANA MUSTAHAB HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai kisi aurat ne, jiske haath mein kitab thi, pardeh k piche se Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki taraf irshad kiya to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apna haath piche kheench liya aur farmaya: "Mujhe maloom nahi ye haat mard ka hai ya aurat ka?" aurat ne arz ki "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! aurat ka hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Agar aurat hoti to apne nakhuno ka rang mehnadi se badal leti". (Abu Dawood Kitabut Tarjal 2: 3510)

MEHNADI SE ZAKHMO KA ILAAJ KARNA MUSTAHAB HAI

Hazrat Ali bin Ubaidullah Razi Allahu Anhu apni daadi se riwayat karte hai jo Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat par mamoor thi, wo kehti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko jab zakham ata ya kaanta chubhta to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam mujhe waha mehnadi lagane ka hukm dete. (Tirmizi Kitabut Tibb 2: 1676)

No comments:

Post a Comment