Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday, 14 August 2014

ANGOOTHI KA BAYAN

ANGOOTHI KA BAYAN



Bismillahirrahamanirraheem

MARDO K LIYE SOONE (GOLD) KI ANGOOTHI PEHAN'NA MANA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne soone ki angoothi pehan'ne se (mardo) ko mana farmaya hai. (Sahih Bukhari Kitabul Libas)

JO SHAKS SOONE KI ANGOOTHI PEHANTA HAI WO DAR HAQEEQAT JAHANNAM KI AAG KA ANGAARAH HAATH MEIN LETA HAI

Hazat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek aadmi k haath mein soone ki angoothi pehne hue dekhi to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne uske haath se utaar kar door phaink di aur irshad farmaya: "Tum mein se koi shaks aag k angaare ka qasad karta hai aur phir use haath mein leta hai" jab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam tashreef le gaye to Sahaba E Kiram Razi Allahu Anhum ne us se kaha "Apni angoothi utha lo (use baich kar) faida hasil karo" us aadmi ne kaha "Allah ki qasam! jis angoothi ko Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne (gusse se) phainka hai mein use kabhi nahi uthaunga". (Sahih Muslim Kitabul Libas wal Zeenah)

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek aadmi najraan k shehar se Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua uske haath mein soone ki angoothi thi, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apna chehrah mubarak doosri taraf phair liya aur farmaya: "Tu mere paas apne haath mein aag ka angaarah le kar aya hai". (Nasayi Abwabuz Zeenah)

MARDO K LIYE CHAANDI KI ANGOOTHI PEHEN'NA JAYEZ HAI

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu kehte hai Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne jab Qaisar, Roam ko khat likhna chaha to Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko bataya k Ahle Roam mehar k bagair tehreer ka aetabaar nahi karte, chunanchey Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne chaandi ki angoothi banwayi aur us par Muhammadur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k alfaaz guda (yani ye alfaaf banwaye) they. (Sahih Bukhari Abwabuz Zeenah)

Hazrat Muhammad bin Ishaaq Rahimahullah kehte hai mene Salat bin Abdullah Razi Allahu Anhu ki daayi jagah par angoothi dekhi to poocha ye kya hai? unhone kaha "Mene Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu ko isi tarah angoothi pehne dekha" aur angoothi k nageeney ko hatheli ki pusht par kar diya aur saath hi Salat bin Abdullah Razi Allahu Anhu ne ye kaha "Ye na samajhna k aesa sirf Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu karte they balke Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu bayan karte they k Rasool Allah  apni angoothi is tarah pehante they". (Abu Dawood Kitabul Khatim 2: 3559)

RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM APNI ANGOOTHI KA NAGEENAH HATHELI KI TARAF RAKHTE THEY

Hazrat Anas bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam chaandi ki angoothi pehne hue they jis mein habshi nageenah laga hua tha jise Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam apni hatheli ki jaanib rakhte they. (Ibne Maja Kitabul Libas 2: 2941)

ANGASHT SHAHADAT AUR DARMIYAANI UNGLI PAR ANGOOTHI PEHAN'NA MANA HAI

Hazrat Ali Razi Allahu Anhu farmate hai k mujhe Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne un doo ungliyo mein angoothi pehan'ne se mana farmaya hai, angasht shahadat aur darmiyaani ungli. (Nasayi Kitabuz Zeenah 3: 48007)

LOOHEY (IRON) KI ANGOOTHI PEHAN'NA BHI MANA HAI

Hazrat Umar bin Shuyeb Razi Allahu Anhu apne baap se aur wo apne dada se riwayat karte hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne soone aur loohe ki angoothi pehan'ne se mana farmaya hai. (Sunan Behaqui, Silsila Ahadees E Saheeya Hadees no. 1242)

No comments:

Post a Comment