Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Monday, 4 August 2014

QAMEES KA BAYAN

QAMEES KA BAYAN



Bismillahirrahmanirraheem

QAMEES PEHAN'NA MUSTAHAB HAI

Hazrat Ummey Salma Razi Allahu Anha farmati hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko sab kapdo mein se qamees pehan'na zayada pasand tha. (Abu Dawood Kitabul Libas 2: 3396)

QAMEES KA DAAYA BAAZU PEHLE PEHAN'NA MUSTAHAB HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam qamees pehante to daaye taraf se shuru karte. (Tirmizi Abwabul Libas 2: 1445)

QAMEES TAKHNO SE NICHE TAK RAKHNE WALE KI TARAF ALLAH TA'ALA QAYAMAT K ROOZ NAZAR E KARAM NAHI FARMAYENGE

Hazrat Abu Saeed Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jisne takabbur ki wajah se apna izaar niche latkaya qayamat k rooz Allah ta'ala uski taraf nazar e karam nahi farmayenge". (Ibne Maja Kitabul Libas 2: 2876)

Wazahat: Yaad rahe hamare hind wa paak mein takhno se niche tak lambi qamees silwaane ka riwaaj nahi hai lekin arab loog ab bhi lambi qamees jise wo "shoob" kehte hai, bahut se loog takhno se ounchi aur baaz nisf pindli tak silwate hai aur baaz loog aese bhi hote hai jiski qamees zameen par ghaseet rahi hoti hai.

KHAWAAB MEIN QAMEES DEKHNA DEEN KI KEFIYAT KO ZAHIR KARTA HAI, LAMBI QAMEES ZAYADA DEEN AUR CHOOTI QAMEES THODA DEEN

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k "Mein soo raha tha, kuch loog mere saamne laye gaye jinhone qamees pehan rakkhi thi, kisi ki qamees chaati tak aur kisi ki is se bhi kam lambi, phir mere saamne Umar Razi Allahu Anhu laye gaye aur unki qamees (itni lambi thi k) zameen par ghisat rahi thi" Sahaba Razi Allahu Anhum ne arz ki "Aap iski taabeer kya farmayenge?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: "Deen". (Sahih Bukhari Kitabul Manaqib)

No comments:

Post a Comment