Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday, 14 August 2014

ZAIVRAAT KA BAYAN

ZAIVRAAT KA BAYAN



Bismillahirrahmanirraheem

SOONE K ZAIVRAAT MASALAN SOONE KI ANGOOTHI, SOONE KI ZANJEER, SOONE KA LOCKET, GHADI KI SOONE KI CHAIN, QAMEES K SOONE K BATAN WAGAIRAH MARDO K LIYE HARAAM HAI JABKE AURATO K LIYE JAYEZ HAI

Hazrat Abu Musa Ash'ari Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akarm Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Meri ummat k mardo k liye raisham aur soona pehan'na haraam kiya gaya hai albatta aurato k liye jayez hai". (Tirmizi Abwabul Libas 2: 1404)

MARDO K LIYE SOONE KI ANGOOTHI PEHANNA HARAAM HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne soone ki angoothi pehan'ne se (mardo) ko mana farmaya hai. (Sahih Bukhari Kitabul Libas wa Sahih Muslim Kitabul Libas Wal Zeenah)

SOONE KI ANGOOTHI, ZANJEER, LOCKET AUR BAALIYA WAGAIRAH PEHAN'NE WALE MARD (AURATO SE MUSHABAHAT KI WAJAH SE) MAL'OON HAI

Hazrat Abdullah bin Umar bin Aas Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k "Aurato mein se mardo ki mushabihat ikhtiyaar karne wali aurate aur mardo mein se aurato ki mushabihat ikhtiyaar karne wale mard hum mein se nahi". (Musnad Ahmad 11/461 tehqeeq shaubul arnaoot Hadees no. 6875)

AURATO K LIYE PAO MEIN AWAAZ DENE WALA ZAIWAR PEHAN'NA MANA HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k mere paas ek ladki aayi jisne awaaz dene wale ghungru pao mein pehne hue they Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne (uski walida se) kaha iske ghungru kaate bagair mere paas na laya karo is liye k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai k "Jis ghar mein ghanti ho us ghar mein farishte dakhil nahi hote". (Abu Dawood Kitabul Khatim 2: 3560)

JAB AURAT PAO MEIN GHUNGHRU PEHENTI HAI TO RAHMAT K FARISHTE US SE ALAG HO JAATE HAI

Hazrat Saalim Razi Allahu Anhu apne baap se riwayat karte hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Farishte un loogo k saath nahi rehte jinke saath ghunghru ho". (Nasayi Kitabuz Zeenah 3: 4816)

SOONE AUR CHAANDI K BARTAN MEIN KHANA PEENA MARDO AUR AURATO DONO K LIYE HARAAM HAI

Hazrat Ummey Salma Razi Allahu Anha kehti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jo (mard wa aurat) soone ya chaandi k bartan mein peeta hai wo gooya jahannam ki aag apne pait mein utaarta hai". (Sahih Muslim Kitabul Libas Wal Zeenah)

No comments:

Post a Comment