Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Monday, 18 August 2014

AHLE HADEESO PAR EK AETRAAZ AUR USKA JAWAAB

AHLE HADEESO PAR EK AETRAAZ AUR USKA JAWAAB



Bismillahirrahmanirraheem

Bida'ati hazraat kehte hai k Ahle Hadees to kal paida hue hai, uske jawab mein kaha ja sakta hai k Aalam e islaam ka ek mash'hoor mu'arrikh Allama Ahmad bin Bashaar Maqdasi ne 1375 hijri mein Hindustaan k Sindh ka safar kiya tha, Sindh k mashoor muqaam mansoora k mutalliq wo kehta hai, "KANA AKSARUHUM AHLUL HADEES" yaani mansoora sindh k aksar musalman baashindey Ahle Hadees they. (Tareekh E Sindh Safa no. 375)

Allama Maqdasi k mazkoora bayan se saaf zaahir hota hai k chooti (4th) sadi hijri mein mansoora k aksar musalman Tahreek Ahle Hadees k alambardaar they aur Quran o Hadees par barahe raast amal karne waale Ahle Hadees they.

Mash'hoor Mua'rrikh Allama Abu Mansoor Abdul Qaadir Bagdaadi kehta hai: Rome, Aljeria, aazerbaijan baabul abwaab wagairah k tamaam musalman Ahle Hadees maslak par they aesa hi Africa, Spain aur bahar magrib k sarhadi musalman baashindey sab k sab Ahle Hadees they aur aesa hi habsha k sarhadi ilaaqey yaman k tamaam musalmaan Ahle Hadees they.

Allama Bagdaadi ka ye wazey aur waashgaaf bayan babanag dehal kehlaata hai k Ahle Hadees jis tarah muhadiseen k khaas garooh ko kehte hai isi tarah Ahle Hadees se muraad wo aam loog bhi hai jo barahe raast Quran o Hadees ko maante hai aur tahreek E Ahle Hadees ka jhanda lehraate hai

jis Mua'rrikh ka ye bayan hai uski wafaat 460 hijri mein hui ab khuda ka khauf kar k aur tassub chood kar ye bataye k wo tamaam Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum wa A'imma E Kiraam wa Tabaeen E Azaam wa Mua'rrakheen jinke bayanaat abhi guzarey kya wo kal k hai?

Muqadma bin Khaaldoon “FAZLUN FI ILMIL FIQHA” mein Allama Ibne Khaaldoon Rahimahullah Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum k baad k zamaane k baare mein likhte hai k unme fiqah 2 tareeqo mein taqseem ho gayi

Ahle Raaye wa Qayaas ka tareeq aur wo Ahle Iraaq hai
Aur Ahle Hadees ka tareeq aur wo Ahle Hijaaz hai

Insaaf se bataiye k Allama Ibne Khaldoon Rahimahullah jo Ahle Hijaaz ko Ahle Hadees keh rahe hai kya ye bhi kal ki baat hai?

Shaami Sharah Durre Mukhtaar mein hai k Qaazi Abu Bakr jo zajaani k ahad mein ek hanfi ne ek Ahle Hadees se uski ladki ka rishta maanga alfaaz ye hai: "INNA RAJULAN MIN ASHAABI ABI HANEEFATA KHATABA ILA RAJULIN MIN ASHAABIL HADEES" tu us Ahle Hadees ne inkaar kar diya magar is soorat mein k hanfi apna mazhab taqleed chood de, is hanfi ne wo baat manzoor karli to Ahle Hadees ne apni ladki us se biyah di.

Gaur fameinye yaha to teesri (3rd) sadi mein Ahle Hadees ka zikr mojood hai phir wo loog kitne mutassub aur kis qadar galti par hai jo kehte hai k Ahle Hadees to Naya Firqa hai abhi kal paida hua hai.

Sach farmaya imam Tahavi Hanfi Rahimahullah ne k "LA YUQALLIDU ILLA ASBIYUN AAU GABIYUN" k taqleed wahi karega jo tassub parast aur ahmaq ho. (Rasmul Mufti li ibne Aabideen Safa no. 32)

Hazrat Imam Tahavi Rahimahullah ne saaf faramaya k muqallid bada tassub parast aur bewakoof hota hai, ab aesa aadmi jitna awwal fa'al bakey kam hai.

Allah ta’ala musalmaano ko fiqr e mustaqeem ata farmaaye. (Aameen Ya Rabbal Alameen)

No comments:

Post a Comment