Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday, 10 August 2014

NAKHUNO KA BAYAN

NAKHUNO KA BAYAN



Bismillahirrahmanirraheem

NAKHUN KAATNA SUNNAT HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye farmate hue suna hai k "Paanch baatey insaan ki fitrat mein hai
1. Khatna Karana
2. Zair E Naaf Baal saaf karna
3. Moochey katarna
4. Nakhun Kaatna
5. Bagal k baal saaf karna". (Sahih Bukhari Kitabul Libas)

JUMA K ROOZ NAKHUN KAATNE MUSTAHAB HAI

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k wo har juma ko apne nakhun kaat'te aur moochey katarwatey. (Sharah Sunnah Kitabul Libas 12: 114)

Hazrat Muaviyaah bin Qurrah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k unke 2 chacha jinhone Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka zamana paya wo dono apni moochey aur nakhun juma k rooz kaat'te they. (Sharah Sunnah Kitabul Libas 12: 114)

Hazrat Abraheem Nakhey Rahimahullah (Imam Abu Haneefa Rahimahullah k ustaad) farmate hai juma k rooz aadmi ka nakhun kaatna mustahab hai. (Sharah Sunnah Kitabul Libas 12: 114)

40 DIN SE ZAYADA NAKHUN BADHANA MANA HAI

Hazrat Anas bin Malik Razi Allah Anhu kehte hai hamare liye moochey katane, nakhun kaatne, sar mudhaane aur bagal k baal saaf karne ki hadd 40 din muqarrar farmayi gayi hai k 40 din se zayada na badhne de. (Tirmizi Abwabul Istaazaan 2: 2216)

No comments:

Post a Comment