KANGHI KA BAYAN
Bismillahirrahmanirraheem
SAR K BAALO MEIN KANGHI KARNA MUSTAHAB HAI
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k mein haiz ki halat mein bhi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k sar mubarak mein kanghi karti thi. (Sahih Bukhari Kitabul Libas)
SAR K BAALO MEIN DAAYI JANIB SE KANGHI SHURU KARNA MUSTAHAB HAI
Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam wuzu karne, kanghi karne aur joote pehan'ne mein daayi taraf se ibtida pasand farmate. (Sahih Bukhari Kitabul Libas)
HAR WAQT KANGHI KARTE REHNA YA APNE AAP KO BANANE SAWAARNE MEIN WAQT ZAAYA KARNA MAKROOH HAI
Hazrat Abdullah bin Mugfal Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne har rooz kanghi karne se mana farmaya hai. (Abu Dawood Kitabul Tarjal 2: 3505)
Hazrat Abdullah bin Bureedah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Sahaba E Kiram Razi Allahu Anhum se ek aadmi jiska naam Ubaid Razi Allahu Anhu tha, ne kaha k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne zayada irfaah se mana farmaya hai, Hazrat Bureedah Razi Allahu Anhu se poocha gaya k irfaah ka kya matlab hai? unhone kaha: "Is k mafhoom mein (degar baato k alawa) kanghi karna bhi shamil hai". (Nasayi Kitabuz Zeenah 3: 4834)

No comments:
Post a Comment