Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday, 4 June 2014

FIRQA E NAAJIYA K MANHAJ KI CHAND BUNIYAADEY PART 3

FIRQA E NAAJIYA K MANHAJ KI CHAND BUNIYAADEY PART 3



Bismillahirrahmanirraheem

6. Firqa e najiya k manhaj k chathi (6th) mustahkam bunyaad ya hai k wo us maqsad ka bharpoor ehtaraam karte hai jiske liye jinn wa ins ki takhleeq hui hai, jiske liye kitabe naazil ki gayi, jiske liye Rasool bheje gaye, yani bando ko ek Allah ki bandagi par qayam karna, Allah ki toheed mai paaye jaane wale har khalal ko door karna yahi anbiya e kiraam ki awwaleen dawat thi, ahle sunnat bhi toheed ko qayam karne aur shirk ko mitaane k liye anbiya k uswa par kaarband hote hai.

Irshaad e bari ta'ala hai: Aap keh dijiye k mujhe hukm diya gaya hai k Allah ta'ala ki us tarah ibadat karo k usi k liye ibadat ko khalis karlu. (Surah Zumar ayat no. 11)

Irshaad e bari ta'ala hai: Aur (Ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam!) aap ki taraf aur un (pegambaro) ki taraf jo aap se pehle ho chukey hai yahi wahi bheji gayi thi k agar tumne shirk kiya to tumhare amal barbaad ho jayenge aur tum khasaara uthane walo mai se ho jaoge. (Surah Zumar ayat no. 65)

Irshaad e bari ta'ala hai: Allah ta'ala us gunah ko nhi bakhshega k kisi ko uska shareek banaya jaye aur uske siwa aur gunah jis ko chahe maaf karde. (Surah Nisa ayat no. 48)

Aaj shirk ka fitna bahut buri tarah aalam e islaam ami apne panje gaade hue hai, qubbe aur mazaraat, dargaaho par urs aur meele, mushrikaana marasim, nazraane aur chadhawey, taweez aur gande, gair Allah k liye zibah wa qurbaani, gair Allah se shifa talbi, hajat rawaayi wa mushkil kushayi, faryaad rusi wa dua e talbi, al garz shirk ki wo koi soorat baaki nahi jo butt parast apne butto k saath ya saleeb parast apne saleeb ya isa ya maryam Alaihis salaam k saath karte hai magar muslamano ne use apne madfoon buzurgo k liye ikhtiyaar kar liya hai, aaj mazaraat par wahi kuch hota hai jo gair musalmano k mandiro aur tirth sathaano mai hota hai, aaj musalmaano ki ek badi tadaad toheed se bahut door ja chuki hai, zarurat hai k saare musalman dobara Allah ki naazil karda aakhiri kitab Quran e Majeed aur Sunnat e sahihya ki taraf paltey aur jis taraf salaf saliheen aur sahaba wa taabayi ne use samjha aur us par amal kiya usi tarah hum bhi use apni zindagiyo mai barte.


7. Firqa e najiya k manhaj ki saatvi (7th) mustahkam bunyaad ye hai k wo itteba e sunnat aur ijtanaab e bida'at ko apna wateera banate hai, Itteba e sunnat wo amar hai jiski taqeed quran wa hadees mai baar baar ayi hai aur jis k fazail bar ha bayan kiye gaye hai.

Ishaad e bari ta'ala hai: Aur wo muhajireen aur ansaar jinhone sabqat ki aur emaan laane mai pehal ki aur wo loog jinhone acche aur behtar andaaz mai unki itteba ki, Allah un sab se raazi hua aur wo sab Allah se raazi hue, aur Allah ne unke liye aesa baag tayyar kar rakkha hai jinke niche nehre jaari hai jinme wo hamesha rahenge, ye badi kaamyabi hai. (Surah Tauba ayat no. 100)

Muhajireen wa ansaar sahaba RA itteba e rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka aalaa namoona hai, Allah ta'ala ne unse apni raza ka elaan kiya, na sirf unse balke un tamaam loogo se bhi apni raza ka elaan kiya jinhone acche andaaz mai un itteba karne walo ki itteba ki.

Irshaad e bari ta'ala hai: Jo shakhs raah e hidayat k waazey ho jaane k bawajood bhi Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka khilaaf kare aur tamaam momino ki raah chood kar chale, hum use udhar hi mutawajjah kar denge jidhar wo khud mutawajjah hua aur jahannam mai daal denge, wo pahunchne ki bahut hi buri jagah hai. (Surah Nisa ayat no. 115)

Mazkoora aayaat mai Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur emaan walo ki raah apnaane ka hukm diya gaya hai aur unki mukhalifat karne ya unki raah chood kar kisi aur taraf jaane se rooka gaya hai, zaahir hai k Ahle emaan mai sab se pehle sahaba e kiraam RA aate hai aur phir jin loogo ne khush asloobi k saath unki pairvi ki aur yahi loog ahle sunnat hai.

Irshaad e bari ta'ala hai: Aur ye (deen) mera seedha raasta hai, so us deen par chalo, aur doosri raaho par mat chalo, k wo raahe tum ko Allah ki raah se juda kardengi, uska tum ko Allah ne takeedi hukm diya hai, taakey tum taqwa ikhtiyaar karo. (Surah An'aam ayat no. 153)

Is ayat mai siraat e mustaqeem ki pairvi aur itteba ka hukm diya gaya hai, aur degar raasto k itteba se rooka gaya hai, yaha siraat e mustaqeem se sunnat ki raah muraad hai, aur jin degar raaho se rooka gaya hai wo bida'at k raaste hai, gunah aur ma'asiyat k raaste yaha muraad nhi ho sakte kyunki ibadat wa taqarrub ki khatir koi shaks ma'asiyat ko mustaqil raasta nhi banata.

Imam mujahid farmaate hai k aayat mai subul se muraad bida'at wa shubhaat hai (Tafseer e Tabri)

Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu ki hadees hai k Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hamare liye apne haath se ek seedhi lakeer khenchi phir farmaya: ye Allah ka raasta seedha raasta hai, phir aapne uske daaye aur baaye chand lakeerey khenchi aur farmaya: ye wo raaste hai jinme se har ek par shetan baitha hua uski taraf daawat de raha hai, phir aapne is aayat ki tilawat farmaayi, WA ANNA HAZAA SIRAATI MUSTAQEEMAN FATTABI OOHU WALA TATTABIUS SUBUL. (Surah An'aam ayat no. 153) (Musnad Ahmad, Mustadrak E Haakim)

Irshaad e bari ta'ala hai: Humne aapke liye deen ka ek tareeqa muqarrar kar diya hai aap bas usi ki itteba kijiye aur un loogo ki khuwahishaat ki itteba na kijiye jo ilm nhi rakhte. (Surah Jashiya ayat no. 18)

Ayat se maloom hua k itteba shariyat hi tamaam deeni aamaal ki bunyaad hai, yaad rahe k itteba hi Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam se sacchi muhabbat ki alamat bhi hai.

Irshaad e bari ta'ala hai: Keh dijiye! agar tum Allah ta'ala se muhabbat rakhte ho to meri itteba karo khud Allah ta'ala tum se muhabbat karega aur tumhare gunah maaf farmadega aur Allah ta'ala bada bakhshane wala meharbaan hai. (Surah Ale Imran ayat no. 31)

Jab itteba ka daman haath se chooth jata hai to aadmi bida'ato mai giraftaar ho jata hai, jab tak itteba ki raah par mazbooti se qayam rehta hai tab tak siraat e mustaqeem se munharaf nhi hota.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshaad hai: Meri saari ummat jannat mai dakhil hogi siwaye uske jo inkaar kare, Sahaba ne kaha: Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! kon inkaar kare?, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jisne meri pairwi ki jannat mai dakhil hoga aur jisne nafarmaani ki usne inkaar kar diya. (Sahih Bukhari)

Arbaaz bin Saariya Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hum ko salatul fajr padhayi, phir humko ek baleeg naseehat farmayi jis se aankhey beh padi aur din dehal gaye, kisi ne kaha: Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! goya ye rukhsat karne waale ki naseehat hai lihaza aap hame wasiyat farmaiye, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Mai tumhe Allah k taqwa aur ita'at ki wasiyat karta hu agarche habshi gulaam hi kyu na ho, kyunki tum mai se jo mere baad zinda rahega wo bahut bada ikhtilaaf dekhega, lihaza tum meri sunnat aur hidayat yaafta khulafa e rashideed ki sunnat ko laazim pakdo, use mazbooti k saath thaam lo, use daanto se mazboot jakad ko, aur apne aapko nayi aejaad shuda cheezo se bachao, is liye k har aejaad shuda cheez bida'at hai aur har bida'at gumraahi hai. (Musnad Ahmad, Abd Dawood, Tirmizi)

To Be Continued......

No comments:

Post a Comment