Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday, 8 June 2014

SHAB E BARAAT KI HAQEEQAT - QABRO KI ZIYARAT KA EHTAMAAM PART 2

SHAB E BARAAT KI HAQEEQAT - QABRO KI ZIYARAT KA EHTAMAAM PART 2



Bismillahirrahmanirraheem

Shar e barat ko hamare muasharey mai shehar khamoosha ki eid karaar de diya gaya hai loog is raat mai khasoosi taur par jamaat dar jamaat mard aur bacche namaz e magrib k baad qabro ki ziyarat ka ehtamaam karte hai aur ise is raat ka masnoon amal karaar dete hai is munasibat se qabaritaano mai chiraga (yani chiraag wagira) aur roshni k saat hi qabro ki safayi aur choona kaari ka bhi ehtamaam kiya jata hai.

Qabro ki ziyarat karna mashrooh amal hai jesa k Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hazrat Buraida Razi Allahu Anhu ki hadees mai farmaya k mene tum ko pehle qabro ki ziyarat karne se mana kiya tha ab tum loog qabro ki ziyarat karo. (Sahih Muslim Hadees no. 977)

Aur Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu ki hadees mai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya qabro ki ziyarat karo is liye k ye tumhe maut yaad dilaati hai. (Sahih Muslim Hadees no. 976)

Qabro ki ziyarat karna bila tayeen zamaan wa waqt wa munasibat mashroo amal hai albatta is k liye kisi khaas din ya kisi khaas munasibat ko makhsoon karna durust nahi, is raat mai khaas taur par naamaz e magrib k baad qabristaano ki khususi ziyarat k liye:

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se marvi hadees se istedlaal karte hai k ek raat Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha k waha they Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam achanak waha se nikle hazrat Ayesha Razi Allahu Anha bhi aap ke piche nikli to kya dekhti hai k Aap Baqee Qabristaan mai tashreef le gaye Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhe dekha to farmaya kya tumhe is baat ka andaza tha k Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam tum par zulm karenge, Ayesha Razi Allahu Anha ne kaha k Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mujhe ye shak hua tha k shayad aap kisi aur beewi k yaha chale gaye tab aap ne farmaya: Beshak Allah tabarak o ta'ala shabaan ki pandarvi (15th) raat ko aasmaani dunya par nuzool farmaata hai phir is se zayada wo utne loogo ki magfirat karta hai jitne banu kalb ki bakriyo k baal hai. (Sunan Tirmizi Hadees no. 739, Sunan Ibne Maaja Hadees no. 1389)

Is hadees ko imam tirmiz, imam bukhari, imam daare qutni, allama ibne jauzi, allama ibne baaz aur muhaddis sheikh muhammad nasiruddin albaani rahimahullah wagaira ne zaeeef qaraar diya hai phir is se shab e baraat mai qabro ki khasoosi ziyart ki mashroiyat ka saboot kese hasil hoga.

Jabke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne baqee qabristaan mai jaane wale ahle baqee k liye dua e magfirat karne ka waqiya Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se marvi ek Sahih Hadees mai mazkoor hai is ki tafseel sahih muslim wagaira mai hai, is mai shabaan ki pandarvi (15th) raat ka koi zikr nhi hai is hadees mai ye alfaaz hai k 

Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Yaani jab tumne dekha to us waqt mere paas jibraeel alihis salaam aye they unhone tum se chipate hue ahista se mujhe pukara to mene bi tum se chipate hue unhe ahista se jawab diya aur tumne apne baaz kapde utaare hue they is haal mai wo andar nhi a sakte they mene ye samjha k tum so gayi ho is liye mene tujhe jagana pasand na kiya aur mujhe ye khauf bhi tha k kahi tum mere bagair wahshat mai na mubtala ho jao jibraeel alaihis salaam ne kaha k aap k rabb ne aap ko hukm kiya hai k aap ahle baqee k paas aiye aur unke liye magfirat ki dua kare. (Sahih Muslim Hadees no. 974)

Lihaza sabit hua k waqiya e baqee ka shab e baraat se koi talluq nhi hai aur na uska kisi sahih hadees mai zikr hai is liye ek zaeef hadees ko hujjat bana kar ye aqeedah rakhna durust nahi k is raat mai qabristaan mai jana masnoon hai balke is raat mai murawajjah andaaz se qabro ki ziyarat karna bida'at hai jis se bachna chahiye.

To Be Continued......

No comments:

Post a Comment