Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday, 15 June 2014

ROOZA RAKHTE WAQT AUR ROOZA KHOOLTE WAQT KI DUWAO KA JAYEZA

ROOZA RAKHTE WAQT AUR ROOZA KHOOLTE WAQT KI DUWAO KA JAYEZA




Bismillahirrahmanirraheem

Ye jo pocket size namaz ki kaapiyo aur hamare mumalik mai shaya hone wale auqaat e sehri wa iftaari k tijarati Advertising aur baaz aam si kitabo mai amooman rooza rakhne ki niyat likhi hoti hai:

"BI SAUMI GADIN NAWAYETU MIN SHAHRI RAMAZAAN" yani mene kal k ramazaan k roozey ki niyat ki.

Ye alfaaz Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne na khud kahe aur na hi taleem farmaye, na ye Khulafa e Rashideen Razi Allahu Anhum se manqool hai aur na hi tabayeen wa a'imma rahimahullah mai se kisi se saabit hai, kutub e hadees wa fiqah ka sara zakheera chaan marey ye alfaaz kahi nahi milega aur jin baaz aam si kitabo mai milenge, unme bhi qata'an be sanad mazkoor honge, maloom nahi ye alfaaz kisne jood diye hai wese agar thode se gaur o fikr se kaam leya jaye to khud un alfaaz mai hi unke jaali wa manghadat hone ki daleel mojood hai,
masalan tulu subah saadiq k waqt azaan e fajr se thooda pehle sehri khaane se qabl ye kehta hai k "mene kal k roozey ki niyat ki" to uska ye qaul waqey aur darhaqeeqat k khilaaf hai, kyunki fajr to ho chuki aur ye rooza jiski wo sehri khane laga hai, kal ka nahi balke aaj ka hai, lihaza yaha "BI SAUMIL YAUM" jese alfaaz hone chahiye they k mene aaj k roozey ki niyat ki, kyunki lugat mai "GADIN" ka mana likha hai, ayinda kal ya wo din jiska intezaar hai, yani qayamat ka din jesa k irshaad e baari ta'ala hai: 

"WAL TANZUR NAFSUM MA QADDAMAT LIGADIN WATTAQULLAH" Tarjuma: Aur Chahiye k har shaks dekh le k kal ke liye usne aagey kya bheja hai. (Surah Hashr Surah no. 59 Ayat no. 18)

"SAYAALAMOONA GADAN MINAL KAZZABUL ASHIR" Tarjuma: Ab jaan lenge k kal kaun hai jhoota badayi maarne wala?. (Surah Qamar Surah no. 54 Ayat no. 26)

In dono muqamaat par "GADIN" se muraad qayamat ka din hai, jise aam taur par kal bhi kaha jata hai, jese k irshaad e baari ta'ala hai:

"ARSIL HU MA'ANA GADAI YARTAA WA YAL'AB" Tarjuma: Aap is (Yousuf Alaihis Salaam) ko kal hamare saath bhej de takey khoob khaye aur kheley. (Surah Yousuf Surah no. 12 Ayat no. 12)

"WALA TAQOOLANNA LI SHAYI'IN INNI FA'ILUN ZAALIKA GADAN ILLA IYYA SHAAA ALLAH" Tarjuma: Aur kisi kaam k baare mai ye hargiz na kahe k mai ye kal karunga iske alawa ye k (saath hi) In Shaa Allah (bhi) kahiye k Allah ne chaha to. (Surah Kahaf Surah no. 18 Ayat no. 23)

"WAMA TADRI NAFSUN MAZA TAKSIBU GADAN" Tarjuma: Aur koi shaks ye nahi jaanta k wo kal kya karega. (Surah Luqman Surah no. 31 Ayat no. 34)

Zikr kiye gaye teeno muqamaat par is laft "GAD" ka mana ayinda kal hi hai, Quran E Kareem mai ye laft inhi 5 muqamaat par warid hua hai, jin mai se 2 ka mana rooz e qayamat aur aakhiri 3 ka mana ayinda kal hai, niyat k murawajjah alfaaz tarteeb dene wale shaks k zehan mai, maloom nahi kal k rooze ka tasawwur tha ya qayamat k roozey ka?

GADU ya GADAH k alfaaz subah k maano mai hai lekin wo laye nahi gaye, garz jaha ye alfaaz shar'an saabit wa jayez nahi wahi lugwi aetabaar se bhi sahih nahi lagte, lihaza dil ki niyat aur qasad wa iraade par iktafa karna hi behtar hai aur yahi saabit bhi hai.

Yuh bhi jab koi shaks raat ko time pees ko chaabi de deta hai, aurat sehri k liye aataa wagaira tayyar kar k rakh leti hai aur chulha (ya stove ya gas wagaira) jala leti hai to ye sara ehtamaam roozey k liye hi to hai aur qasad wa iraade ka mafhoom ada kar raha hai.

AUR RAHI ROOZA KHOOLTE (YANI IFTAAR K) WAQT KI DUA

ALLAHUMMA LAKA SUMTU WA ALA RIZKI'KA AFTARTU. Tarjuma: Ae Allah mai teri raza k liye rooza rakhta aur tere hi diye hue rizk se iftaar karta hu. (Abu Dawood, Sunan Behaqui al Qubra, Musannaf ibne ibi Shaiba)

Is dua wali hadees ki sanad par Shaikh gaazi uzair ne kalaam kiya hai. (Tarjumaan Dehli jild 14, Shumara 7, 1414 hijri, 1994)

Jabke Allama Albaani Rahimahullah ne ise mursal (Zaeef) qaraar dete hue shawahid ki bina par qawi kaha hai. (Tehqeeq Mishkaat 1: 621, Arwa ul Gulail 4: 38)

Behar haal is dua mai jo (WA BIKA AAMANTU WA ALAIKA TAWAKKALTU) k alfaaz hai wo saabit nahi hai

albaatta ek doosri hadees mai ye dua sahih sanad k saath ayi hai

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab rooza iftaar farmaate to ye dua padhte: "ZAHABAZ ZAMA'U WAB TALLATIL UROOQU WA SABATAL AJRU IN SHAAA ALLAH" Tarjuma: piyaas chali gayi aur raagey tar ho gayi aur Allah ne chaha to ajr saabit ho gaya. (Sunan Abu Dawood Hadees no. 2357, Sunan al Qubra Nasayi, Daare Qutni, Mustadrak E Haakim, Sahih Sunan Abu Dawood juz e awwal Hadees no. 648)

Wazahat: Raat ko hi niyat kare k mene kal rooza rakhna hai jesa k sahih hadees se saabit hai, aur rooza bismillah padh kar iftaar kare aur jab kuch kha le to baad mai ye dua padhey:  ZAHABAZ ZAMA'U WAB TALLATIL UROOQU WA SABATAL AJRU IN SHAAA ALLAH" Tarjuma: piyaas chali gayi aur raagey tar ho gayi aur Allah ne chaha to ajr saabit ho gaya. (Sunan Abu Dawood Hadees no. 2357, Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 648)

Allah ta'ala hamari bida'at e murawajjah se hifazat farmaye aur hamare bhaiyo ko hidayat de aur Allah tu unhe zaeef aur khud saakta hadeeso ko chood kar sahih hadeeso par amal karne ki tofeeq ata farmaye aur ham sab ko siraat e mustaqeem par jama farmaye. (Aaameen Ya Rabbal Alameen)

No comments:

Post a Comment