Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Saturday, 7 June 2014

SHAB E BARAAT KI HAQEEQAT PART 1

SHAB E BARAAT KI HAQEEQAT PART 1



Bismillahirrahmanirraheem

Haqeeqat ye hai k jin do chaar raato ki fazilat khaas taur par bayan ki jaati hai aur is mai sahih wa galat ki tameez nhi ki jaati unme se ek shabaan ki pandarvi (15th) raat ki fazilat hai jisko aam taur se shab e baraat kaha jata hai maah e shabaan k shuru hote hi muslim muashare mai shab e baraat ka charcha aam ho jata hai aur is munasibat se aeen islaami aamaal k naam par samoom wa bida'aat aur khurafaat kiye jaate hai aur loog un umoor ko islaami aamaal jaante aur maante hai jinka saboot nasoos e shareeya se nahi milta, pandarvi (15th) shabaan ki shab mai bahut saare musalmaan jin aqaid wa aamaal ko badi aqeedat wa ehtaraam se anjaam dete hai aur unhe islaami aamaal se joodte hai un tamaam aamaal ka shariyat se koi tallluq nahi balke un rasoom wa aqaid e baatila mai se aksar par ulama e islaam ne nakeer ki hai.

Shab e baraat se mutalliq riwaaj paane wale aqaid aur aamal mai se baaaz ka ikhtisaar k saath yaha jayeeza liya ja raha hai, shab e baraat ki fazilat mai bahut si ahadees bayan ki jaati hai lekin ek hadees ko chood kar saari ahadees zaeef aur mouzu hai albaata is raat k baare mai Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka ye irshaad sahih sanad k saath riwayat kiya gaya hai, Allah tabarak o ta'ala shabaan ki pandarvi (15th) raat ko apni makhlooq ki taraf nazre rahmat dekhata hai phir saari makhlooq ko mushrik aur keena parwar k alawa bakhsh deta hai. (Sahih Ibne Hibban, Tabraani, Shaubul emaan behaqui) (ye hadees bhi sahih nhi hai is k liye post padhey shab e baraat se mutalliq jo ek hadees sahi ya hasan kahi jati hai uska jayeza)

Jabke dusri raato mai ye alfaar mazkoor hai k beshak Allah ta'ala shabaan ki pandarvi (15th) raat ko apne bando par nazre rahmat daalta hai phir momino ko bakhsh deta hai aur kafiro ko mohlat deta hai aur keena parwar loogo ko chood deta hai yaha tak k wo apne dilo ko keena se paak kar de. (Sahih Jamey Sageer Hadees no. 1898) (ye hadees bhi sahih nhi hai iske liye post padhey shab e baraat se mutalliq jo ek hadees sahih ya hasan kahi jati hai uska jayeza)

Is hadees ko shabaan ki pandarvi (15th) raat ki fazilat mai bayan kiya jata hai lekin is mai dusri raato ki banisbat is raat ki fazilat saabit nahi hoti kyunki sahiheen ki riwayat mai is se zayada fazilat har raat mai tauaba wa astagfaar ko hasil hai jis se saabit hua k Allah ta'la ka aasmaani dunya par nuzool har raat mai hota hai lihaaza is hadees se pandarvi (15th) shabaan ki raat ki fazilat saabit nahi hoti.

To Be Continued......

No comments:

Post a Comment