Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Tuesday, 10 June 2014

SHAB E BARAAT JAB SHAB E MAGFIRAT TO IBADAT KYU NHI?, EK SHUBAH KA AZAALA

SHAB E BARAAT JAB SHAB E MAGFIRAT TO IBADAT KYU NHI?, EK SHUBAH KA AZAALA




Bismillahirrahmanirraheem

Yaha hum ek shubha ka azaala karna chahte hai jisko aam zehno mai paida kiya jata hai wo ye k pandarvi (15th) shab k baare mai ek hadees sahih taur par saabit hai jis mai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k beshak Allah ta'ala shabaan ki pandarvi (15th) raat ko apne bando par nazar e rahmat daalta hai phir tamaam momino ki magfirat farmata hai aur kaafiro ko mohlat deta hai aur keena parwar loogo ko chood deta hai yaha tak k wo apna dil kena se saaf karle. (ye hadees bhi sahih nhi hai is k liye post padhey shab e baraat se mutalliq jo ek hadees sahi ya hasan kahi jati hai uska jayeza)

is hadees se maloom hua k shab e baraat magfirat ki raat hai to is se to is raat ko kuch fazilat saabit hoti hai phir raat mai khasoosi ibadat wa qayam k ehtamaam karne mai kya harj hai is shubha ka azaala karna zaruri hai is liye ye wazahat paish ki ja rahi hai k Allah ta'ala ne quran majeed mai farmaya: "LAQAD KANA LAKUM FEE RASOOLILLAHI USWATUN HASANATAL LIMAN KANA YARJULLAHA WAL YAUMAL AAKHIRA WA ZAKARALLAHA KASEERA" Tumhare liye Allah k rasool ki zaat mai behtareen uswa hai har us shaks k liye jo Allah aur akhirat k din bharosa rakkhey aur Allah ka bakasrat zikr kare.

Is ayat e kareema mai Allah ta'ala ne apne Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ummat e muhammadiya k liye uswa e hasana qaraar diya hai jiska mafhoom ye hai k hum har maidaan mai aapke uswa e hasana ko saamne rakh kar aapke nakashey kadam par chale aur har amal mai aap hi ki iqtida kare ye hukm aam hai k aap k tamaam aqwaal wa af'aal aur ahwaal mai aapki iqtida har musalman k liye zaruri hai khuwah unka talluq ibadaat wa muamalaat se ho ya ma'eeshat wa siyasat se lekin jab hum ahadees e nabwiya aur seerat ki kitaabo ka jayeza lete ahi to hame maloom hota hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne is raat mai khusui taur par kisi ibdat aur qayaam ka ehtamaam na khud kiya aur na hi apne sahaba e kiraam razi Allahu alaihim ajmaeen ko uski targeeb dilayi.

Lihaza jab hamare piyare nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne is raat mai khususi ibadat wa qayaam ka ehtamaam nahi kiya to hame bhi aap k uswa e hasana ko apnaate hue nahi karna chahiye.

Al garz shabaan ki pandarvi (15th) raat ko khususi ibadat ki fazilat mai kuch bhi saabit nahi hai is liye uswa e nabvi ki muwafikat karte hue un tamaam murawajjah umoor se bachna chahiye.

Allah ta'la se dua hai k wo ummat e muhammadiya ko siraat e mustaqeem par gaamzan rakkhey aur unko kitab o sunnat par amal paira hone aur tamaam bida'at aur baatil aamaal wa aqaid se bachne ki tofeeq ata farmaye. (Aameen Ya Rabbal Alameen)

No comments:

Post a Comment