Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday, 27 June 2014

TARAWEEH - MANA, SAWAAB AUR AAP (SAWS) KA AMAL

TARAWEEH - MANA, SAWAAB AUR AAP (SAWS) KA AMAL



Bismillahirrahamanirraheem


Taraweeh Ka Maana


Taraweeh tarweeha ki jama hai jiske mana aaraam karna, sustaana ata hai raat ko baad namaz e isha subah saadiq se pehle jo nafli namaz padhi jati hai usko ibtida e islaam mein qayam ul laiyl, tahajjud aur ramazaanul mubarak ki nisbat se qayaam e ramazaan bhi kaha jata tha. Kutub e Ahadees mein isi naam se is k baab mojood hai aur taraweeh Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne jamaat se khud sirf teen raatey hi padhayi, Baad mein Hazrat Umar Farooq Razi Allahu Anhu ne sarkaari taur par is ki jamaat ka ehtamaam farmaya. Taraweeh mein chunkey lambi qiraat ki wajah se taweel qayaam karna padta tha (Qaari ek rakaat mein 200 ayaatey ya 8 rakaat mein puri Surah Baqara padhta tha. Mishkaat Safa no. 115)

To is taveel qayaam ki wajah se Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum chaar rakaat k baad thodi dair k liye aaraam kar lete to yu is nafli ibadat ka naam qayaam e ramazaan se taraweeh pad gaya. (Sunan Behaqui Jild 2 Safa no. 497)

TARAWEEH PADHNE KA SAWAAB


Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ne bayan kiya k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se suna Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ramazaan k faza'il bayan farma rahe they k jisne emaan k saath aur sawaab ki niyat se ramazaan ka qayaam kiya Allah ta'ala uske pichle tamaam gunah maaf farma dete hai. (Bukhari Kitabus Salatut Taraweeh Hadees no. 2008, Muslim Kitubus Salatul Musafireen Hadees no. 759)


Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: qayamat k rooz insaan ko uske do naik amal jahannam mein jaane se bachayenge, pehla Rooza aur doosra Quran e Majeed, rooza kahega Ae Allah ye banda teri khatir din k waqt khane peene aur khawahishaat e nafsaani se ruka raha aur quran majeed kahege, Ae Allah ye banda roozey k sabab kamzoor hone k bawajood raat ko Taraweeh mein mujhe padhta aur sunta raha chunanchey Allah ta'ala use rooza aur quran majeed ki sifarish par jahannam se aazaad farma denge. (Mishkaat Safa no. 173)


Hazrat Abu Zarr Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jo shaks Taraweeh ba jamaat ada karega to Allah ta'ala usey tamaam raat ibadat k barabar sawaab ata farmayenge. (Ibne Maja Baab Qayam Shahar E Ramazaan)


Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne teen raat qayaam e ramazaan kiya


Abu Zarr Razi Allahu Anhu kehte hai k humne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath (Ramazaanul mubarak k) roozey rakkhey, (shuru mein) aapne hamare saath maheene mein se kuch bhi qayaam na kiya yaha tak k 23ve raat ko Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne tihaayi raat tak qayaam e ramazaan kiya, phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne 24vi raat chood kar 25vi raat ko aadhi raat tak qayaam kiya pas mene arz ki k kitna accha ho k agar Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam hame baaqi raat bhi nafil padhate rahe Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jo shaks imam k sath qayam (ramazaan) karta hai uske liye poori raat ka qayam likha jata hai, phir aap 26vi raat ko chood kar 27vi shab ko apne ahle khana aur apni aurato ko aur sab loogo ko jama kar k qayam kiya yaha tak k hame falah khatam hone ka darr hua, Abu Zarr Razi Allahu Anhu se pucha gaya k falah kya hai? to aapne jawab diya sehri". (Abu Dawood Kitab Abwaab shahar ramazaan hadees no. 1375, Tirmizi Kitabus Saum Hadees no. 706, Nasayi 3: 83, 1364 ise imam hibbaan 919 aur Imam Ibne Khuzaima 2206 ne sahih kaha)


Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne (3 raat k qayaam k baad) farmaya: "Mene dekha k tumhara mamool barabar qayam hai, to mujhe khatra lahaqq hua k kahi tum par (ye namaz) farz na kardi jaye (is liye mein ghar se nahi nikla) pas tum apne apne gharo mein (ramazaan ki raato ka) qayaam karo, aadmi ki nafil namaz ghar mein afzal hoti hai". (Bukhari Kitabul Azaan, Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 781)


Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam (ne teen shab qayaam e ramazaan kara k) loogo se farmaya: "Tum apne gharo mein ramazaan ki raato ka qayam karo" gharo wagairah mein fardan fardan padhne k mutalliq Imam Zahbi Rahimahullah farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki wafaat k baad bhi yahi tareeqa jaari raha, Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu ki khilafat aur Umar Farooq Razi Allahu Anhu k ibtida e daur mein bhi isi par amal hota raha


Sayyedna Umar Farooq Razi Allahu Anhu ne ba'jamaat qayaam e ramazaan (doobara) shuru karaya magar ye bhi farmaya k: raat ka akhiri hissa (Jis mein loog soo jaate hai) raat k ibtidayi hissey se (jis mein loog qayaam karte hai) behtar hai. (Bukhari Kitabus Salatut Taraweeh Hadees no. 2009, 2010, Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 759)


Isi tareeqey par Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum aur unke baad saari ummat ka amal raha hai aur jis cheez ko Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ki majmuyi taeed hasil ho jaye wo bida'at nahi hua karti, neez ijma e ummat ki wajah se bhi ye bida'at nahi hai wese bhi Umar Farooq Razi Allahu Anhu khulafa e Rashideen Razi Allahu Anhum mein se hai jin ki sunnat ikhtiyaar karne ka hukm khud Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya. (Abu Dawood Kitabus Sunnah Hadees no. 4607, Tirmizi Kitabul Ilm Hadees no. 2686)


Lihaza jab kisi Khulafa e Rashideen ki sunnat ko degar Sahaba Kiraam Razi Allahu Anhum qubool karle to wo baaqi ummat k liye hujjat ban jaati hai is lihaaz se bhi poore ramazaan mein qayamul laiyl ka ba'jamaat ehtamaam bida'at nahi hai, dar-asal Umar Farooq Razi Allahu Anhu ne ise khud bida'at kaha hai to is se muraad bida'at ka lugvi mana hai, lekin afsoos k baaz loog apni bida'at ko jayez saabit karne k liye Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ko bhi bida'ati saabit karne par tuley hue hai. NAUZUBILLAH MIN ZAALIKAL KHURAFAAT.


Allahu hum sab ko hidayat de. (Aameen Ya Rabbal Alameen)

No comments:

Post a Comment