Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Monday, 23 June 2014

NAFLI ROOZEY

NAFLI ROOZEY



Bismillahirrahmanirraheem

NAFLI ROOZEY KI FAZILAT

Hazrat Abu Saeed Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmaate hue suna: "Jis ne Allah ki raah mai ek din rooza rakkha Allah ta'ala use 70 saal ki musafat k barabar jahannam ki aag se door kar dengey". (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim, Mishkaatul Masabeeh Hadees no. 2004)

HAR SAAL K SHAWWAAL K 6 ROOZEY RAKHNE KA SAWAAB UMAR BHAR K ROOZEY RAKHNE K BARABAR HAI

Hazrat Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jo shaks ramazaan k roozey rakh kar (har saal) shawwaal mai bhi 6 roozey rakkhey use umar bhar k roozey rakhne ka sawaab milta hai". (Sahih Muslim, Abu Dawood, Nasayi, Tirmizi, Ibne Maja, Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 2125)

BA QAAIDAGI SE AYYAAM E BAIZ (CHAAND KI 13/14/15 TAREEKH) K ROOZEY RAKHNE SE UMAR BHAR K ROOZO KA SAWAAB MILTA HAI

Hazrat Abu Qatadah Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Ek ramazaan se doosre ramazaan k darmiyaani arsa mai har maah 3 din (ayyaam e baiz yaani chaand ki 13/14/14 tareekh) k roozey rakhna umar bhar k roozey rakhne k barabar hai". (Sahih Muslim, Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 620)

SAFAR MEIN NAFLI ROOZA RAKHNA JAYEZ HAI

Hazrat Hamzah bin Umar Aslami Razi Allahu Anhu se riwayat hai k unhone Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha: "Kya mein safar mein rooza rakkhu?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: "Agar chaho to rakkho chaho to na rakakho". (Nasaayi, Sahih Sunan Nasaayi Hadees no. 2180)

PEER (MONDAY) AUR JUMA RAAT (THURSDAY) KA ROOZA RAKHNA RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALIHI WA SALLAM KO PASAND THA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Peer (monday) aur juma raat (Thursday) ko loogo k aamaal Allah k huzoor paish kiye jaate hai, mein chahta hu k jab mere aamaal Allah k yaha paish kiye jaye to mein (us waqt) roozey se hun". (Tirmizi, Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 596)

YAUM E ARFA (9 ZILL HIJJAH) KA EK ROOZA EK GUJISHTA AUR EK AYINDAH YAANI 2 SAAL K (SAGEERA) GUNAHO KA KAFFARA HAI JABKE YAUM E AASHURA (10 MUHARRAM) KA ROOZA GUJISHTA EK SAAL K (SAGEERA GUNAHO) KA KAFFARA HAI

Hazrat Abu Qatadah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Mein Allah ta'ala se ummeed rakhta hu k yaum e arfa k rooz k badle mein Allah ta'ala ek gujishta aur ek ayindah saal k gunaah maaf farmaayenge aur yaum e aashura k roozey k badle mein gujishta ek saal k gunaah maaf farmayenge". (Sahih Muslim, Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 620)

SIRF 10 MUHARRAM KA ROOZA RAKHNA MAKROOH HAI

Hazrat Abdullah bin Abbaas Razi Allahu Anhu farmaate hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne aashura (10 Muharram) ka rooza rakkha aur loogo ko bhi rakhne ka hukm diya, loogo ne arz kiya "ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! 10 muharram to yahood o nasaara k nazdeek badi azmat ka din hai", Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Accha ayinda saal hum in Shaa Allah! (10 MUharram k saath) 9 Muharram ka rooza bhi rakkhenge", lekin ayinda saal aane se pehle hi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam is duniya se rukhsat ho gaye. (Sahih Muslim Kitabus Siyaam)

Wazahat: Yaum e aashura (10 muharram) ki fazilat ki wajah ye hai k jab Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam madeena tashreef laye to yahoodi 10 muharram ka rooza rakhte they, in se wajah puchi gayi to unhone kaha: "is rooz Allah ta'ala ne Musa Alaihis Salaam ko firoun par galba ata farmaya tha, lihaza hum shukraane k taur par is din ka rooza rakhte hai", Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye baat maloom hui to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "yahoodiyo ki nisbat hum Musa Alaihis Salaam k zayada qareeb hai aur musalmano ko is din ka rooza rakhne ka hukm diya gaya, magar jab ramazaan k roozey farz kiye gaye tab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Ab jo chaahe 10 muharram ka rooza rakkhey jo chaahe na rakkhey". (Sahih Muslim) 

RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SHABAAN K MAHEENE MEIN BAAQI SAB MAHEENO SE ZAYADA ROOZEY RAKHTE THEY

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ramazaan k alawa kisi maheene k poorey roozey rakhte hue nahi dekha na hi shabaan k alawa kisi doosre maheene mai kasrat se roozey rakhte dekha hai. (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim, Al loo loo wal Marjaan Hadees no. 711)

Wazahat: 15 Shabaan ko khaas taur par rooza rakhne ki tamaam ahadees gair motabar hai, zayada se zayada jo cheez sahih hadees se saabit hai wo ye hai k is maheene mai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam kasrat se roozey rakhte they.

NAFLI ROOZA RAKHNE MEIN EK DIN CHOOD KAR DOOSRA DIN ROOZA RAKHNE KA TAREEQA SAB SE AFZAL HAI

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Har maah 3 din k roozey rakkho" mene arz kiya "Mujh mein is se zayada taaqat hai" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam barabar mujhse roozey kam karaate rahe hatta k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Ek din rooza rakkho ek din tark karo, ye afzal tareen roozey hai, mere Bhai Dawood Alaihis Salaam ka yahi tareeqa tha". (Sahih Bukhari Wa Sahih Muslim)

MUHARRAM K MAHEENEY MEIN ROOZEY RAKHNE KI FAZILAT

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Ramazaan k baad sab se afzal roozey muharram k roozey hai, jo Allah ka maheena hai aur farz namaz k baad sab se afzal tahajjud ki namaz hai". (Sahih Muslim, Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 610)

PEER (MONDAY) K ROOZEY KI FAZILAT

Hazrat Abu Qatadah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se peer (monday) k roozey k baarey mein sawaal kiya gaya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Is din mein paida kiya gaya aur isi din mujh par quran naazil hona shuru hua". (Sahih Muslim, Mukhatas Sahih Muslim Hadees no. 624)

ZILL HIJJAH K PEHLE 9 ROOZEY RAKHNA MUSTAHAB HAI
HAR MAAH KOI SE 3 ROOZEY RAKHNA MUSTAHAB HAI
HAR MAAH K PEHLE PEER (MONDAY) AUR PEHLI DONO JUMA RAAT K ROOZEY RAKHNA BHI AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA MAMOOL MUBARAK THA

Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki kisi zooja e mohtarma se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam zill hijjah k (pehle) 9 roozey aur yaum e aashura ka rooza rakkha karte they neez har maah mein 3 roozey rakkha karte they ek rooza har maah k pehle peer (monday) ko aur har maah ki pehli 2 juma raat ko (ek ek rooza). (Nasayi, Sahih Sunan Nasayi Hadees no. 2274)

NAFLI ROOZEY KI NIYAT DIN MEIN ZAWAAL SE PEHLE KISI BHI WAQT KI JA SAKTI HAI BA SAHRT K KUCH KHAYA YA PIYA NA HO

Ummul Moomineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek din Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam mere ghar tashreef laye aur pucha "kya tumhare paas kuch (khaane ko) hai?" humne kaha "nahi" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Accha to phir mera rooza hai", kisi aur din phir Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamare ghar tashreef laye "mene arz kiya " Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Hais (halwa) tohfa aya hai, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "to lao mai subah se roozey se tha". (Sahih Muslim, Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 630)

NAFLI ROOZEY KI QAZA WAJIB NAHI

Hazrat Ummey Haani Razi Allahu Anha kehti hai yaum e fatah yaani fatah makkah k rooz Hazrat Fatima Razi Allahu Anha Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki baayi taraf aa kar baithi aur mai (yani Ummey Haani Razi Allahu Anha) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k Daaye taraf, itne mai ek loondi bartan le kar aayi, jis mai peene ki koi cheez thi, loondi ne wo bartan Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko diya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us bartan se piya, phir wo bartan mujhe diya, mene bhi us se piya aur kaha: "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mera rooza tha mene (Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka jhoota peene k liye) rooza tood diya" "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pucha: kya tumne qaza rooza rakkha tha?", mene arz kiya "nahi" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: "Agar nafli rooza tha, to koi harj ki baat nahi". (Abu Dawood, Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 2145)

NAFLI IBADAT MEIN AETADAAL AUR MAYANAARVI AFZAL HAI

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Nafil namaz apni tabiyat ki khushi aur shouk k mutabiq padho, jab tabiyat thak jaye to baith jao". (Sahih Bukhri wa Sahih Muslim, Al loo loo wal Marjaan Hadees no. 448)

SIYAAM AR'BAEEN (MUSALSAL 40 ROOZO KA CHILLA) SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE SAABIT NAHI.

Allah ta'ala se dua hai k Allah ta'ala hame nafli roozey rakhne ki tofeeq ata farma aur hamare dil mein sunnat e nabvi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki muhabbat paida farma. (Aameen Ya Rabbal Alameen)

No comments:

Post a Comment