Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday, 12 June 2014

RAMAZAAN KI FAZILAT

RAMAZAAN KI FAZILAT





Bismillahirrahmanirraheem

Allah tabarak o ta'ala ka bahut bada fazal wa karam aur ahsaan e azeem hai k usne hamare uper ye ba barkat wale maah ka saya kiya hai, ye maah e ramazaan nuzool e quran ka mahina, Allah ki khaas rehmato aur barkato ka mahina, faraakhi rizq ka mahina, ek doosre se khair khawahi ka mahina, jannat mai dakhil aur jahannam se aazaadi hasil karne ka mahina hai, ye maah sari duniya k musalmano k liye zikr wa fikr, tabeeh wa tehleel, tilawat wa nawafil, sadqa wa khairaat goya har qism ki ibadat ka aalami mosam bahaar hai jis se dunya ka har musalman apne apne emaan wa taqwa k mutabiq hissa pa kar dil ko sukoon aur aankho ko thandak muhayya karta hai, quan o hadees mai is maah ki bahaut fazilatey ayi hai.

Irshaad e Baari Ta'ala hai: Ae emaan walo! tum par roozey rakhna farz kiya gaya hai jis tarah tumse pehle loogo par farz kiye gaye they, taakey tum taqwa ikhtiyaar karo, ginti k chand din hai lekin tum mai se jo shaks bimaar ho ya safar mai ho to wo aur dino mai ginti ko poora karle (yaani unhe ijazat hai k wo rooza qaza kar sakte hai yaani gair ramazaan mai bhi rakh sakte hai) aur uski taaqat rakhne wale fidya mai ek miskeen ko khana na de (agar koi bimaar hai to uska kaffar ye hai k wo miskeen ko kahana khila sakta hai) phir jo shaks naiki mai sabkat kare wo usi k liye behtar hai lekin tumhare haqq mai behtar kaam roozey rakhna hi hai agar tum ba ilm ho (yani ilm rakhte ho yani agar tumhe pata hai) maah e ramazaan wo hai jisme quran utara gaya jo loogo ko hidayat karne wala hai aur jisme hidayat ki aur haqq wa batil ki tameez ki nishniya hai, tum mai se jo koi shaks isi mahine ko paye use rooza rakhna chahiye, yaha jo bimaar ho ya musafir ho use doosre dino mai ye ginti poori karni chahiye, Allah ta'ala ka iraada tumhare saath aasaani ka hai sakhti ka nhi, wo chahta hai k tum ginti poori kar lo aur Allah ta'ala ki di hui hidayat par usi ki badayi bayan karo aur uska shukr karo. (Surah Baqara surah no. 2 ayat no. 183, 184 aur 185)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Islaam ki bunyaad 5 cheezo par hai
1. Kalma E Shahadat "ASH HADU ALLAH ILAHA ILLALLAHU WA ANNA MUHAMMADAN RASOOLULLAH"
2. Namaz Qayam karna
3. Zakaat ada karna
4. Hajj karna
5. Ramazaan k Roozey rakhna". (Sahih Bukhari Kitabul Emaan Hadees no. 8)

Rooza ek aesi infiraadi haisiyat wali ibadat hai jiske baare mai Allah ta'ala ne farmaya: rooza mere liye hai aur iska ajr mai hi dunga. (Sahih Bukhari Wa Sahih Muslim)

Ramazaanul Mubarak ki sirf ek raat "LAILATUL QADR" ki ibadat ka sawaab ek hazaar (43 saal 4 maah) se zayada hai. (Surah Baqara surah no. 2 ayat no. 3)

Aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya: jab tum chaand dekho to rooza rakkho. (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim)

Allah ta'ala ne apne Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam k zariye is ummat ko 5 khaslatey aesi ata farmayi hai jo pichli ummato ko nahi mili thi:
1. Is ummat k roozadaro k muh ki hawa (badbu wagaira) mushk ki khushbu se zayda behtar hai.
2. Roozadaro k liye Allah ta'ala jannat ko har rooz sawaarta hai
3. Farishte subah se shaam tak roozadaar k liye magfirat ki dua maange hai
4. Shayateen mardood ko baandh diya jata hai
5. Roozadaro ko aakhir ramazaan tak mai bakhsh diya jata hai. (Musnad Ahmad)

Is maah k roozey rakhne walo ke pichle tamaam gunah maaf kar diye jaate hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jis ne maah e ramazaan ka emaan ehtasaab ki niyat se rozza rakkha uske pichle tamaam gunah maaf ho gaye" (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim)

Roozey ka sawaab wa jaza Allah ta'ala k zimmey hai wo bila hisaab poora poora badla ata farmayega. (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim)

Rooza dhaal k manind hai jis se roozadaar aatish jahannam se mehfooz rehne k liye tadbeer karta hai. (Musnad Ahmad)

Rooza Aur Quran apne roozadaaro aur qariyo k liye qayamat k din shifa'at karenge. (Musnad Ahmad)


Allah ta'ala hame maah e mubarak baar baar ata farmaye aur iski poori qadr karne ki tofeeq ata farmaye aur hamare gunaho ko maaf farmaye, aur Allah ta'ala hame "LAILATUL QADR" jesi azeem raat ata farmaye aur ata farmaane k saath saath us raat mai ibdaat karne ki tofeek ata farmaye. (Aameen Ya Rabbal Alameen)

No comments:

Post a Comment