Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday, 20 June 2014

WO UMOOR JINSE ROOZA MAKROOH NAHI HOTA

WO UMOOR JINSE ROOZA MAKROOH NAHI HOTA



Bismillahirrahmanirraheem

BHOOL CHOOK SE KHA PEE LENE SE NA ROOZA TOOT TA HAI NA MAKROOH HOTA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se riwayat karte hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jab koi bhool kar kha pee le to apna rooza poora kare, kyunki use Allah ne khilaya pilaya hai". (Sahih Bukhari, Mukhtasar Sahih Bukhri Hadees no. 940)

MISWAAK KARNE SE ROOZA MAKROOH NAHI HOTA

Hazrat Aamir bin Rabee'a Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko roozey ki haalat mai itni martaba miswaak karte dekha hai k gin nahi sakta. (Sahih Bukhari Kitabus Saum)

GARMI KI SHIDDAT SE ROOZADAAR SAR MAI PAANI BAHA SAKTA HAI IS SE ROOZA MAKROOH NAHI HOTA

Hazrat Abu Bakr bin Abdur Rahman Rahimahullah kehte hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k ashaab mai se ek sahabi ne kaha "Mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko dekha k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam roozey mai garmi ya piyaas ki wajah se sar par paani baha rahe they". (Abu Dawood, Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 2082)

ROOZEY KI HAALAT MAI MAZI KHARIJ HO YA EHTALAAM HO JAYE, TO NA HI ROOZA TOOT'TA HAI AUR NA HI MAKROOH HOTA HAI

Hazrat Abdullah bin Abbas aur Hazrat Akrama Razi Allahu Anhum famate hai: "Rooza kisi cheez k jism mai dakhil hone se toot'ta hai jism se kharij hone se nahi toot'ta". (Bukhari Kitabus Saum)

SAR MAI TAIL LAGAANE, KANGHI KARNE YA AANKHO MAI SURMA LAGAANE SE ROOZA MAKROOH NAHI HOTA
HANDIYA KA ZA'IKA CHAKHNA, THOOK NIGALNA AUR MAKKHI K HALAQ MAI CHALE JAANE SE ROOZA MAKROOH NHI HOTA
ROOZADAAR GARMI KI SHIDDAT MAI KAPDA PAANI MAI TAR KAR K BADAN PAR RAKH SAKTA HAI, IS SE ROOZA MAKROOH NAHI HOTA.

Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu ne farmaya: "Jab tum mai se koi roozadaar ho to use tail kanghi kar lena chahiye". (Kitabus Saum baab Agtasalus saaim)

Hazrat Hasan Razi Allahu farmaate hai: "Roozadaar k liye naak mai dawayi daal lene mai koi harj nahi bashart k halaq tak na pahunchey neez roozadaar surma laga sakta hai". (Kitabus Saum baab baab qaulun nabi iza toza'a falayitashak)

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu farmaate hai: "Roozadaar handiya ya kisi doosri cheez ka zaa'ika chakh le to koi harj nahi". (Kitabus Saum baab Agtasalus saaim)

Hazrat Ata Rahimahullah ne kaha: "Roozadaar apna thook nigal sakta hai". (Kitabus Saum baab Agtasalus saaim)

Hazrat Hasan Razi Allahu Anhu ne kaha: "Agar makkhi roozadaar k halaq mai chali jaye to koi harj nahi". (Kitabus Saum baab saaim)

AGAR KISI PAR GUSAL FARZ HO, LEKIN WO DAIR SE UTHEY TO SEHRI KHA KAR GUSAL KAR SAKTA HAI, ALBATTA KHANE SE QABL WUZU KAR LENA CHAHIYE.

Hazrat Abu Bakr ibne Abdur Rahman Rahimahullah se riwayat hai k mai aur mere walid Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha k paas aye, Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne bayan kiya: "Mai gawahi deti hu Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ehtalaam k sabab se nahi balke jima k sabab se halat e janabat mai subah karte aur (gusal kiye bagair) rooza rakhte (baad mai namaz e fajr se pehle gusal farmaate) phir hum (dono) Hazrat Ummey Salma Razi Allahu Anha k paas aye aur unhone bhi yahi baat kahi". (Bukhari Kitabus Saum)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmaati hai "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam halat e janabat mai khana ya soona chahte to pehle namaz ki tarah wuzu farma lete". (Sahih Muslim, Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 162)

ROOZEY KI HALAT MAI BEEWI KA BOOSA LENA JAYEZ HAI BASHART K JAZBAAT PAR QAABU HO

Hazrat Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek rooz mera jee chaha aur mene rooey ki haalat mai apni beewi ka boosa le liya mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mai arz kiya "Aaj mene bada (galt) kaam kiya hai roozey ki halat mai boosa le liya" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne famaya: "Accha batao agar tum roozey ki haalat mai kulli kar lo to phir?", mene arz kiya "Kulli mai kya harj hai" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne famaya: "Phir kis cheez mai harj hai? (yani boosa lene mai koi harj nahi)". (Musnad Ahmad, Abu Dawood, Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 2089)

ROOZEY MAI PAINCHA (HIJAMA) LAGWANA JAYEZ HAI

Hazrat Abdullah ibne Abbas Razi Allahu Anhu farmate hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne roozey ki haalat mai paincha (hijama) lagwaya hai. (Sahih Bukhari, Mukhtasar Sahih Bukhri Hadees no. 942)

Wazahat: Ilaaj k taur par sooyi, blade ya ustarey k saath jism k kis hissey se khoon nikalne ko paincha (Hijama) lagwana kehte hai.

No comments:

Post a Comment