Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Monday, 9 June 2014

SHAB E BARAAT KI HAQEEQAT - MAKHSOOS NAMAZO KA EHTAMAAM PART 5 FINAL

SHAB E BARAAT KI HAQEEQAT - MAKHSOOS NAMAZO KA EHTAMAAM PART 5 FINAL



Bismillahirrahmanirraheem

Shab e baraat ko ba barkat raat samajh kar masajid mai majalis ka ineqaad hota hai aur bade shook wa ragbat k saath qayam ul lail ka ehtamam hota hai aur is mai do teen andaaz ki khud saakhta namaze padhne ka ehtamaam hota hai aur is k jawaaz k liye do teen ahadeese paish ki jati hai jo nihayat zaeef aur mauzu hai pehli namaz 14 rakaat par mushtamil hoti hai aur Hazrat Ali Razi Allahu Anhu se marvi ye hadees bataur e istedlaal laate hai jisme unhone bayan kiya hai Nabi e Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne shabaan ki pandarvi (15th) raat mai 14 rakaat padhi iske baad kuch surato ki tilawat ki phir farmaya k jo shaks is tarah kare jese k mene kiya hai to use 20 makbool hajj aur 20 makbool roozey ka sawab milta hai. (Shoub ul Emaan Behaqui Hadees no. 3559)

Allama ibne Jauzi Razimahullah kitab al Mauzu'aat jild 2 safa no. 445 mai is hadees ko bayan kane k baad kehte hai k ye hadees bhi manghadat hai aur is ki sanad nihayat tareek hai, Imam Behaqui Rahimahullah ne bayan kiya k ye hadees mauzu k mushaba hai aur ye munkir hai is k rawiyo mai Usman bin saeed se pehle k tamaam raawi majhool hai, Imam Sayooti Rahimahullah ne bhi isi tarah hukam lagaya hai. (Tanziyatul shareata la bin iraaq jild 2 safa no. 94)

Doosri namaz 12 rakaat is shab mai masnoon amal samajh kar padhi jati hai aur iski daleel mai ek mauzu aur khud saakhta hadees paish ki jati hai: Jisne shabaan ki pandarvi (15th) raat mai 12 rakaat namaz padhi aur har rakaat mai 30 martaba "QUL HU WALLAHU AHAD" padhey to wo marne se pehle jannat mai apna thikana dekh lega aur apne gharwalo mai se 10 aese loogo ki sifarish karega jinke liye jahannam wajib ho chuki hogi.

Is hadees ko bhi Allama Ibne Jauzi Rahimahullah ne kitab al Mauzu'aat mai naqal karne k baad kaha k ye hadees mauzu (manghadat) hai aur is ki sanad mai majhool raavi hai

Teesri namaz salatul fiya k naam se padhi jati hai is ki badi fazilat bayan ki jati hai jabke is namaz ki bhi koi asal nhi aur kitab o sunnat se is ajeeb wa gareeb namaz ka koi saboot nhi milta, is k saboot mai hazrat Ali Razi Allahu Anhu se marvi ye hadees badi shad wa mad se paish ki jaati hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat E Ali Razi Allahu Anhu ko mukhatib karte hue farmaya k jo shaks is raat mai 100 rakaat namaz is tarah padhega k har rakaat mai surah fatiha aur "QUL HU WALLAHU AHAD" das das baar padhey to Allah uski har zarurat poori kar deta hai aur agar looh e mehfooz mai wo badbakht likha gaya hai to Allah ta'ala use mita kar use khush naseeb likh deta hai aur uske ayenda ek saal k gunah nahi likhey jaate.

Is hadees ko Allama ibne jauzi Rahimahullah ne kitab Al Mauzu'aat mai teen tark se zikr kiya hai aur is k baad farmaya k is hadees k mauzu hone mai koi shak nahi, is k zayada tar raavi majhool hai balke unme se baaz to bilkul zaeef hai aur is tarah ki hadees ka Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam se saadir hona namumkin hai aur humne bahut se loogo ko dekha hai k jo ye namaz padhte hai jab choti raatey hoti hai to wo is k baad so jaate hai aur unki namaz e fajr faut ho jati hai jabke jahil a'emma e masajid ne is namaz ko aur isi tarah salatur raga'ib ko loogo ko jama karne aur kisi bade munsab tak pahuchne ka zariya bana liya hai aur kissa goo (yani kissey kahani bayan karne wale) loog apni majalis mai is namaz ka tazkira karte hai halanke ye sab haq se bahut door hai. (Al Mauzu'aat jild 2 safa no. 443)

Imam Nauvi rahimahullah farmate hai k wo namaz jo salatur raga'ib k naam se maroof hai wo aur isi tarah shabaan ki pandarvi (15th) raat ki 100 rakaat namaz ye dono namazey bahut buri bida'at hai lihaza quwwatul quloob aur ahyaa uloom ud deen mai inke tazkira se dhookey mai nhi padna chahiye aur na hi unke baare mai riwayat ki koi hadees se dhooka khana chahiye kyunki wo puri ki puri batil hai. (Majmua E Nauvi jild 3 safa no. 379)

Allama Shokaani rahimahullah farmate hai ye hadees mauzu hai aur is k baaz alfaaz mai iske padhne wale ko jo sawab milne ki sarahat ki gayi hai unke manghadat hone k baare mai kisi aqalmand insaan ko shak nhi ho sakta aur iske raavi majhool hai aur sahib e aahya wagaira jese fuqaha aur mufassareen ki ek jama'at is riwayat se dhoka kha gayi hai halankey shabaan ki pandarvi (15th) raat ki namaz k baare mai jo hadees mukhtalif tareeq se riwayat ki gayi hai wo apne tamaam tareeq k saath batil aur mauzu hai. (Al Fawa'id Majmuah safa no. 53)

Allama ibne qayyim rahimahullah shab e baraat mai kisi makhsoos tareeq se namaz padhne k baare mai mazkoora ahadees ko manghadat qaraar dete hue farmaate hai k tajjub us shaks par hai jisko sunan ki mamooli si bhi maarfat ho aur wo is tarah ki bakwaas se dhooka kha kar is namaz ko padhey jabke ye namaz islam mai choothi (4th) sadi k baad ejaad ki gayi aur is ki nashu wa numa baitul muqaddas se hui phir is k riwaaj k liye muta'addad ahadees ghad kar paish ki gayi unhi mai se ye hadees hai k jisne shab e baraat mai hazaar martaba "QUL HUWALLAHU AHAD" padha to Allah ta'ala uski taraf 100 farishto ko bhejega jo usko basharat denge aur ye hadees k jo pandarvi (15th) shabaan ki raat mai 12 rakaat namaz padhey aur har rakaat mai 30 martaba "QUL HU WALLAHU AHAD" padhey to wo apne gharo mai se aese 10 loogo ki sifarish karega jin par jahannam wajid ho gayi, is k alawa wo jo ahadees hai unme se koi hadees bhi sahih nahi hai. (Al Munarul Muneef fi sahih wal zaeef safa no. 104)

Tamaam ulama e ikraam ne ye faisla kiya hai k is raat ki namaz ya koi dusri namaz shariyat mai sabit nahi imam Tartoosi, Imam Auzayi, Hafiz Aeraaqi, Allama Nauvi, Allama Shaukani, Ibne Jauzi, Ibne Qayyim, Sheikh ibne baaz, Allama Nasiruddin albaani rahimahullah aur degar ulama e islam ne pandarvi (15th) shabaan ki raat mai padhi jane wali namaz ko be asal qaraar diya hai aur musha'hid ulama e ahnaaf jese Allama anwar shah kashmiri, Allama Yousuf banooti, Mulla Ali Qaari hanfi rahimahullah wagaira ne bhi bayan kiya hai k is raat mai koi khaas namaz saabit nahi hai.

Chunanchey mulla ali qaari hanfi rahimahullah farmaate hai k is namaz k baare mai zaeef ya mauzu ahadees k alawa kuch bhi warid nahi is liye aap ko is se dhoka khana nahi chahiye k ise quwwatul quloob aur ahyaa e uloom ud deen k muallifeen ne zikr kiya hai neez ye bida'at namaz pehli martaba 448 hijri mai baitul muqaddas mai aejaad ki gayi jab baad aatish parasto ne islaam qubool kiya to wo sab musalmano k saath namaz padhte to apne saamne aag jala liya karte they unhi loogo ne salaat aejaad kiya tha chunanchey jab shabaan ki pandarvi (15th) raat aati to wo ye namaz padhte aur apne aagey aag jalate takey raat ko zayada dair tak wo aag k aagey tazeeman khade rahe is k alawa loog is aag ki aad mai bahut si buraiyo ka irtikaab bhi karte they yaha tak k us waqt k auliya e kiraam ko ye khauf la haqq hua k kahi unhe zameen mai dhasa na diya jaye is liye wo unke ilaqo se door chale jaate they jinme is bida'at par amal kiya jata tha aur uski aadh mai kayi buraiyo ka irteqaab kiya jata tha. (Tohfatul Ahwaazi jild 3 safa no. 163, Al Mauzu'aat ul Kabeerah safa no. 330, Tazkiratul Mauzu'aat az allama qutni safa no. 45)

Nihayat afsoos ka muqaam hai k jo namaz aatish parasto ne paanchvi (5th) sadi mai ejaad ki aur uski fazilat mai jhooti ahadees bhi ghad daali aaj musalman pandarvi (15th) shabaan ki raat mai is namaz ka khasoosi ehtamaam karte hai aur poore zoor shoor k saath in jhooti aur manghadat ahadees ko bayan karte hai jabke ye aur is qisam ki degar tamaam ahadees bin ittefaaq zaeef aur mauzu hai aur a'emma e kiraam allama shokaani, ibne jauzi, ibne hibban, allama qutni, hafiz sayooti wagira ne in riwayat ko be asal aur na qabil aetabaar qaraar diya hai.

Allama shiekh bin baaz rahimahullah mufti saudi arab farmaate hai k pandarvi (15th) shabaan ko koi ibadat mashrooh nahi agar pandarvi (15th) shabaan ki raat mai ijtima ya kuch ibadat karna mashrooh hota to Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam zaroor uski taraf rehnumayi farmaate ya apni ummat ko aagaah karte ya khud ibadat karte agar aapne in raato mai kuch ibadat ki hoti ye koi khaas kaam kiya hota to sahaba e kiraam ummat e muhammadiya k loogo ko zaroor batate aur ise loogo se bhi na chipaate, ambiya alaihis salaam k baad wo tamam loogo se afzal aur behtar they aur sab se zayada loogo k khair khawah they Allah ta'ala unse raazi hua aur wo us se raazi ho gaye jabke ulama ne sarahat ki hai k nisf shabaan ki raat ki fazilat mai Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se koi cheez sabit nahi hai ,Is se maloom hua k is raat mai ijtema karne bida'at hai jo deen e islaam mai nayi aejaad hai isi tarah is raat ko kisi khaas ibadat k liye makhsoos karna bhi bidaat aur gunah ka kaam hai. (Bida'at e murawajjah shariyat e muhammadiya ki rooshni mai safa no. 42 aur 43)

Aakhir mai hum muhaddis e kabeer allama ubaidullah rahmaani mubarakpuri rahimahullah ka bayan naqal karte hai aap farmate hai k khasoosi taur par pandarvi (15th) shabaan ki raat ko zinda karna, is mai bedaar rehna, is mai qayam ka ehtamam, panjgaana namazo mai se baaz ko ya tamaam faraz namazo ko chood dena aur degar wajibaat ki adaigi se gaflat baratna jesa k hamare is zamane mai aam musalmano ki haalat hai bila shubah ye bahut buri baat hai aur fara'iz ko chood kar mandoob kaam mai mashgool rehna deeni amal nahi hai aur na raaye ka is se kuch talluq hai isi tarah is raat mai tamaam sunan ko chood kar qabro ki khaas taur par ziyarat karna bhi masnoon nahi hai aur ye kisi sahih ya zaeef hadees se saabit bhi nhi hai is raat mai murdo ki rooho k aamad wa haazri ka aqeedah karna, us k istaqbaal k liye gharo ko saaf karna, unki takraam k liye deewaro ko laip karna aur unki zaruriyaat k liye chiraag aur qandeeley jalana aur chiraaga karna ye tamaam umoor bila shak bida'at e gumraahi mai se hai. (Mar'aatul Mafateeh Sharah Mishkaatul Masabeeh jild 4 safa no. 342)

Khulasa e kalaam ye hai k pandarvi (15th) shabaan ki shab (shab e baraat) ki fazilat aur is raat mai khasoosi namaz wa ibadat karne k silsiley mai koi sahih wa marfoo hadees marvi nahi hai albatta is poore maah mai bakasrat nafli roozey rakhney ka amal masnoon hai lekin pandarvi (15th) shabaan ki shab bedaari (yani puri raat jaagna) wa qayaam aur makhsoos namaz wa ibadat karne k liye aur is k din ko rooza rakhne k liye khaas karna, jo dar haqeeqat infiraadi aur ijtimaayi taur par qabro ki ziyarat karna, chiraaga aur aatish baazi karna, roozo ki aamad wa haazri ka aqeedah rakhna, aur unke isteqbaal k liye gharo ki safayi, agarbatti wa loobaan jalana, halwa wagira pakana ye saare umoor be asal hai shariyat e islamiya mai inka koi saboot nahi ye gumrah kun bida'at hai jinse bachne ki quran wa sunnat e nabviya mai taleem wa talqeen ki gayi hai lihaza har musalman ko uswa e nabwi ko apnate hue in tamaam bida'at wa khurafaat aur baatil rasoom wa riwaaj aur gari shara'i aamaal wa aqaid se ijtinaab (bachna chahiye) karna chahiye.

Allah ta'ala hamari is bida'at se hifazat farmaye. (Aameen Ya Rabbal Alameen)

No comments:

Post a Comment